Blocked Website's Ko Kaise Chlaye ? Top 10 Proxy Sites List

Blocked Website's Ko Kaise Chlaye ? Top 10 Proxy Sites List:- Friends ager aapne kabhi apne office, school, collage ya university ke wifi ko use kiya hai to aap jarur jante honge ki ush se hum social websites jaise facebook, twitter aur other bahut si websites ko access nhi kar pate hai. Kyunki ush network me un site ko block kiya hua hota hai, ish liye hum ush network se un blocked websites ko open nhi kar pate hai.

Iske alawa kai baar government authority ke dwara bhi kuch websites ko puri country me ya kisi particular area me block kar diya jata hai. Ish liye ush area ya country me hum un websites ko access nhi kar pate hai.

Blocked Website's Ko Kaise Chlaye ? Top 10 Proxy Sites List

But internet par aise bahut se application browsers aur sites hai inke dwara hum blocked websites ko bhi apne mobile ya computer me chla skte hai. Blocked websites ko apne mobile ya computer me chlane ka sabse aasan trika proxy sites hai. Ish liye aaj ish post me hum aapko aisi Top 10 proxy sites ke bare me batane wale hai.

Blocked Website's Ko Kaise Chlaye ? Top 10 Proxy Sites List


Internet par aisi kai free aur paid proxy sites hai jinki madad se hum apne mobile ya computer me blocked websites ko chla skte hai. Iske liye aap simply ush proxy site par jakar ush website ka link dal kar ushe access kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Main aapko kuch free proxy sites ke naam btauga but ush se pahle main aapko ye bta dun ki proxy site kaam kaise karti hai ?

Example ke liye maan lijiye ki aap india me rehte hai aur india me facebook ko block kar diya gya hai, ish liye aap india me facebook ko nhi chla skte hai. But baki other countries me facebook allow hai ish liye wnha ke log ushe access kar skte hai.

Proxy sites bilkul yahi kaam karti hai. Jab hum kisi block website ko ish par search krenge to ye humari location ya IP address hide karke kisi dusri country ke server se ush site ko open karegi, jaha se hum ushe use kar skte hai.

Top 10 Free Proxy Websites


1. Proxysite.com

2. Hide.me

3. Proxy.toolur.com

4. Kproxy.com

5. Hidester.com

6. Vpnbook.com

7. Whoer.net

8. Megaproxy.com

9. Anonymouse.org

10. Filterbypass.me

To ye Top 10 Proxy Sites hai jinke dwara aap ek Anonymous ki trah kisi bhi blocked website ko fake IP address se access kar skte hai. In proxy sites ke alwa aap VPN (Virtual Private Network) aur Tor bowser ke dwara bhi block websites ko apne computer ya mobile me unblock karke chla skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To friends ummid karta hun ki ye post Blocked Website's Ko Kaise Chlaye ? Top 10 Proxy Sites List aapko pasand aayi hogi ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare

Tags:- how to unblock websites on android, best free proxy sites in india, free website unblocker online, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ