Comments Me Link Hide Karke Kaise Dale

Comments Me Link Hide Karke Kaise Dale:- Friends ager aap ek blogger hai to ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai, kyunki aaj ish post me main aapko btauga ki kisi bhi blog ya website par comment kaise karte samay comments ke ander kisi bhi URL link ko kaise dalte hai.

Ye Bhi Padhe

Ager aap blogger nhi hai tab bhi ish post ko jarur padhe, kyunki ye jankari aapke liye bhi helpful ho skti hai.

Comments Me Link Hide Karke Kaise Dale

Friends aapne aksar bahut si websites ya blogs par visit karte samay dekha hoga ki unke pages ya posts me kuch keywords aise hote hai jinke ander koi URL (Link) dala hua hota hai, ish liye jab bhi hum ush par click karte hai to humare samne ek new page open ho jata hai.

Kyunki un pages/posts ko publish krne se pahle unme wo links dale jate hai, bilkul ushi trah se ager hum chahe to kisi bhi link ko apne comments ke bich me kinhi words ke ander hide karke dal skte hai.

Ager aap ek blogger hai to ish trike se dusre blogs par comments karte samay usme apne blog ka link dalkar aap apne blog ke liye jyada se jyada backlinks bna skte hai. Halaki ye trika sahi nhi ish liye main aapko iski advice nhi dunga.

Comments Me Link Hide Karke Kaise Dale


To chliye abhi main aapko bta deta hun ki kisi bhi URL link ko words ke ander kaise dalte hai ya kaise hide karte hai.

To aisa aap HTML coding ki madad se kar skte hai. Jab bhi aapko kisi link ko kinhi words ke ander hide karke comment karna ho to aapko ush comment me ish coding ko use karna hoga.

HTML Coding Se Words Me URL (Link) Kaise Dale ?


Iska use aapko ish trah se karna hai. Jaise ki example ke liye maan lete hai aap ye comment karna chahte hai “HTML Coding Kya Hai ?” aur ish comment me “HTML Coding” words ke ander aap koi link hide karna chahte hai to aapko ye comment kuch ish trah se krna hoga.

html code

1. Yaha "Link" ki jagah wo URL link dale jo aap comment me dalna chahte hai.

2. "HTML Coding" ki jgah wo words likhe, jinme aap wo link dalna chahte hai.

3. "Kya Hai ?" jaise comment ke baki words ish html tag ke shuru hone se pahle aur baad me daal de. Uske baad wo comment publish kar de.

To ish trah se ish chhote se HTML code ka use karke aap kisi bhi shabad (words) me koi bhi link hide kar skte hai.


FAQ

Normal Text Me Koi Link Kaise Dalte Hai ?

HTML coding ka istemal karte huye aap normal text me bhi koi bhi link daal sakte hai.

Text Me Hyperlink Dalne Ki HTML Coding Kya Hai ?

Ish article me aapko normal text me hyperlink dalne ki HTML coding btai gyi hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends ummid karta hun ki ye jankari Comments Me Link Hide Karke Kaise Dale aapke liye helpful rahi hogi. Ager aapko ish code ko use karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ