Youtube Search History Delete Kaise Kare ? Naya Tarika

How to delete youtube search history on android:- Friends youtube ek bahut hi bada social network hai jise millions log use karte hai, jinme se kuch user aap aur hum bhi hai aur jio ke aane ke baad to youtube ka istemal kuch jyada hi hone lga hai.

Persant time me entertainment aur desh duniya ki baki khabro ko dekhne ke liye youtube first choice hai. Kyunki isme hume wo sari jankariya video ke rup me mil jati hai, jinhe hum dekhna chahte hai.

Youtube ke ander hume jo bhi video dekhna ho ushe hum iske search box me search karke dekh skte hai. Ish liye apne favorite videos ko dekhne ke liye aapne youtube application me search box ka istemal jarur kiya hoga.

Youtube Search History Ko Kaise Delete Kare

Ager aapne aisa kiya hai to aapne jarur notice kiya hoga ki jab bhi hum search box me kuch type karne ke liye ush par click karte hai to search box ke niche humare samne keywords ki ek list aa jati hai, jisme wo keywords hote hai jo humne last bar search kiye the.

Ab un keywords me kuch words aise bhi ho skte hai jo aap wnha dikhana nhi chahte, to iske liye sabse achha option yahi hai ki aap youtube ki search history ko clear kar de. Youtube search history ko kaise clear ya delete karte hai ? ager aapko iske bare me nhi pta hai to koi baat nhi kyunki aaj ish post me main aapko iske bare me batane wala hun.

Ye Bhi Padhe...

Youtube Search History Delete Kaise Kare ? Naya Tarika


Post ke last me ye jankari video me bhi di gayi hai

Yaha ham aapko youtube search remove krne ke 2 trike btayenge. Ek trike se aap ek ke krke YouTube par search kiye gye video ki history delete kar skte hai, to wahi dusre trike se aap ek sath sari youtube search history clear kar skte hai. To chliye pahle ham aapko one by one search history delete krne ka trika batate hai.

1. Iske liye sabse pahle aapko YouTube app open krna hai aur search button par click krna hai.

2. Fir aapke samne aapke dwara search kiye gye video aa jayenge. Yaha aapko jis search history ko delete krna hai ush par kuch der ke liye long press kare.


3. Fir aapke samne 2 option aa jayenge.


4. Yaha Remove option par click kar de, aapki ye wali search history delete ho jayegi. To ish trike se to aap ek ek krke youtube search history delete kar skte hai, abhi agar aap sari history ek sath delete krna chahte hai to iske liye dusra trika kaam me le.

How To Delete All Youtube Search History


1 Sabse pahle apne android mobile me youtube application ko open kare.


2 Uske baad profile icon par click kare.

3 Phir ‘Settings’ icon par click kare.


4 Uske baad 'Manage All History' par click kare. Fir aisa page open ho jayega.


5. Yaha aapko sari youtube video watch history aur search history dono dikhai jayegi. Yaha sabse pahle aap Calander icon par click krke wo date range select kar skte hai jiske bich ki history delete krni hai. Uske baad Delete button par click krke aap history delete kar skte hai.

6 Uske baad aapse fir se puchha jayega ki kya aap youtube ki search history ko delete karna chahte hai ? Hume ushe delete hi karna hai, ish liye ‘OK’ par click kar de. Bas itna karte hi aapke mobile me se youtube ki search history delete ho jayegi.


FAQ

Youtube Search History Settings Kaha Milegi ?

Jab aap youtube Settings me jate hai to aapko Manage All History naam se youtube search history settings mil jayegi.

Sirf Ek YouTube Search History Kaise Delete Kare ?

Sirf ek search history delete karne ke liye youtube search button par click karke ush search history ko long press krke rakhe, fir aapko remove ka option mil jayega, to aap remove option par click krke sirf ek youtube history ko delete kar sakte hai.

YouTube Search History Delete Krne Ka Naya Trika Kya Hai ? 2024

Youtube search delete krne ka naya trika 2024 bahut simple hai.

> Sabse pahle youtube app open kare aur apni profile par click kare.

> Fir Settings option par click kare.

> Fir Manage All History par click kare.

> Fir aapko youtube history delete krne ka option mil jayega.


Ye Bhi Padhe...
Ishi Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Ynha Click Kare

Ager aapko humari posts free me apne mail box me chahiye to abhi niche subscription box me apni email id dalkar Dainiktricks ko subscribe kare.

Tags:- , youtube search history delete new process, how to delete only one youtube search history, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ