GB Whatsapp Kya Hai ? Gb Whatsapp Ke Sabhi Features Ke Bare Me Puri Jankari

Friends ager aap janna chahte hai ki GB Whatsapp kya hai ? aur iske ander official whatsapp se alag aur kon kon se features hai ?  To ish post ko last tak jarur padhe, kyunki aaj hum ishi ke bare me baat krne wale hai.

Note:- Dosto gb whatsapp ek untrusted app hai. Ish par trust nhi kiya ja skta hai. Ish liye hum aapko ise use na krne ki hi advice dete hai.

GB Whatsapp Kya Hai ? Gb Whatsapp Ke Sabhi Features Ke Bare Me Puri Jankari

GB Whatsapp Kya Hai in Hindi ?


Friends GB Whatsapp, whatsapp ka hi ek upgraded version hai jisme hume aise bahut sare mazedar features milte hai to jo ki real whatsapp me nhi milte hai.

Halaki yeh ek third party application hai ish liye ye kabhi bhi band ho skta hai, but jab tak ye available hai tab tak hum ishe use kar skte hai.

Ye aapko play store par nhi milega. Ish liye ishe aapko iski official website se download karna pdega. But iski official site se ishe download krna thoda muskil hota hai, ish liye Gb whatsapp kaise download karte hai ? Ish par mene post likhi hai taki aap aasani se ishe download kar ske. Wo post padhne ke liye niche click kare.

Iske sath hi ek baat aur dhyan me rakhe ki GB whatsapp her month update hota rehta hai. Ish liye download krne ke baad jab bhi wo aapse update mange to aap humari ush post par jake ushe update kar le taki wo humesha thik se kaam kare.

GB Whatsapp Me Kya Kya Features Hai ?


Gb whatsapp me aise bahut sare extra features hai jo ki ishe official whatsapp se behtar bnata hai. Waise to isme bahut sare features hai jo aap ishe use karne par jan jayenge, but phir bhi main yaha par aapko iske kuch khas features ke bare me bta rha hun.

Gb Whatsapp Ke Most Useful Features


1. 24 hour online rehna.

2. Apne online status ko hide krna.

3. Message read krne ke baad aane wale second green right tik ko hide kar skte hai.

4. GB Whatsapp ke icon aur notifications ko customize kar skte hai.

5. Kisi bhi whatsapp contacts ki sirf calls ko blacklist me dal kar unhe block kar skte hai.

Ye Bhi Padhe

6. 139 characters ki jgah 250 characters ka status rakh skte hai.

7. Friends ke video, image story status ko download kar skte ho.

8. Story status me 7 minutes tak ka video lga ske hai.

9. Kisi bhi personal chat par password lga kar ushe lock kar skte hai.

10. Font style change kar skte hai.

Ye Bhi Padhe

11. Messages schedule karke apne friends ko kisi particular time par daily auto messages send kar skte hai.

12. Messages ka auto reply kar skte hai.

13. HD quality ki images share kar skte hai.

14. 16 MB ki jagah 50 MB tak ke video share kar skte hai.

15. DND Mode use kar skte hai. ( Ishe ON karne ke baad aapke mobile me internet connection on hone par bhi aapko koi bhi message receive nhi hoga aur na hi aap send kar payenge. )

Ye Bhi Padhe

17. Iski theme change kar skte hai iske theme store me aapko bahut sari themes mil jayenge.

18. Kisi ko bhi group me mention kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ye Gb whatsapp ke kuch extra features hai jo hume official whatsapp me nhi milte hai. Ishe apne mobile me install karke aap in features ko istemal kar skte hai.


 FAQ

Gb Whatsapp Ka Kya Fayda Hai ?

Gb whatsapp ka sabse bada fayda yahi hota hai ki isme hame aise bahut sare features milte hai jo ki normal whatsapp me nahi milte hai.

Kya Gb WhatsApp Safe Hai ?

Gb whatsapp ek mode application hai jo ki aapke device ke liye dangerous ho sakti hai, iske alawa agar aap gb whatsapp use karte hai to official whatsapp aapko ban bhi kar sakta hai.

Gb Whatsapp Ka Nuksan Kya Hai ?

1. Gb whatsapp use krne se aapko whatsapp use krne se hi ban kiya ja sakta hai.

2. Gb whatsapp ek mode app hai jo ki 100% safe nahi hai, ye aapke data ko chori bhi kar skta hai.

Kya Gb Whatsapp Use Krne Se Humare Number Ban Ho Sakte Hai ?

Ji haa, agar aap gb whatsapp use karte hai to aapko whatsapp ka istemaal karne se ban kiya ja skta hai.


To friends ummid karta hun ki gb whatsapp ke bare me ye jankari aapke liye useful rhi hogi. Ager abhi bhi aapka koi swal ho to niche comment box me comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

16 टिप्पणियाँ

  1. Mene link update kar diya hai, abhi aap latest version download kar skte hai.

    जवाब देंहटाएं
  2. Kya ye save hai humari pursnol bate kisi third person ko to nhi pta lgti

    जवाब देंहटाएं
  3. Ha ish se humara personal data leak ho skta hai, but aaj tak aisa kisi ke sath nhi hua hai.

    जवाब देंहटाएं
  4. Message read krne ke baad aane wale second green right tik ko hide kar skte hai.






    Kese kr skte h muje process btao

    जवाब देंहटाएं
  5. gb whatsapp me only selected contact se hi apna last seen hide kaise kren

    जवाब देंहटाएं
  6. Isme koi aisa b features h ka bhaiyya jisse kon mere profile pe kb aaya tha kb mera last seen dekha ye pta chle🤔

    जवाब देंहटाएं