LPG Gas Subsidy Details/Amount Online Kaise Check Kare

How to check LPG gas subsidy online:- Friends ager aapki LPG gas subsidy amount achanak se bank account me aane se ruk gayi hai ya aapko nhi pta hai ki aapki gas subsidy ke paise bank account me aa rhe hai ya nhi to ye post aapke liye bahut hi helpful rehne wali hai, ish liye ishe last tak jarur padhe.

LPG Gas Subsidy Details/Amount Online Kaise Check Kare

Aaj ish post me hum aapko ek aisa trika btayenge jiske dwara aap ghar baithe apne LPG gas ki subsidy details online check kar skte hai aur pta kar skte hai ki aapke LPG gas subsidy ke paise bank account me aa rhe hai ya nhi.

Iske bare me batane se pahle mai aapse kehna chahunga ki ager aap ish jankari ko video me dekhna chahe to ish article ke last me aapko iska video mil jayega, to aap ish jankari ko video me dekh kar ishe achhe se samjh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

LPG Gas Subsidy Online Mobile Se Kaise Check Kare ?


1 Sabse pahle mylpg.in ki site par jaye.

2 Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko apne gas cylinder par click karna hai. Jaise ager aap bharat gas use karte hai to Bharat Gas Cylinder par click kare.


3 Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha 'Give Your Feedback' par click kare.

4. Uske baad aisa page open hoga.


1. Yaha sbse pahle 'Yes'par click kre.

2. Yaha wo Mobile Number dale jo aapki gas agency me register hai.

3. Ager aapke pass wo mobile number nhi hai to iske sthan par yaha apne gas connection number dale, jo aapko aapki gas passbook me mil jayenge.

4. Yaha click krke 'Query' ya koi bhi ek option select kre aur last me 'Next' button apr click kre.

Ager aap chahe to Normal Search me apna State, District, aur Distributor select karke bhi proceed kar skte hai.

5 Uske baad aapke samne ek message show hoga, usme aapko 'OK' par click krna hai.

6. Phir aisa page open ho jayega.


Yaha aapke samne aapke pichhle 10 gas cylinder ki detail aa jayegi, in sabhi ki subsidy jis bank me transfer huyi hogi uski details aapke samne aa jayegi.

Ish Jankari Video Me Dekhne Ke Liye Yaha Click Kare 👇👇👇


FAQ

Kya Hum Online Gas Subsidy Check Kar Sakte Hai ?

Haa, aap online apni gas subsidy check kar sakte hai.

Gas Subsidy Detail Konsi Website Par Check Karte Hai ?

Gas Subsidy mylpg.in website se check karte hai.

Kya Mobile Number Se Gas Subsidy Check Kar Sakte Hai ?

Ji haa, aapko gas subsidy check karne ke liye mobile number ya lpg id inme se ek dalna padta hai.

Mobile Number Se Gas Subsidy Kaise Dekhe ? 2024

Aap mylpg.in ki website par jakar apne mobile number se gas subsidy check kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne LPG gas subsidy ka status check kar skte hai aur pta kar skte hai ki aapke bank account me LPG gas ki subsidy ke paise aa rhe hai ya nhi kaise check kare

Ager aapko ye dekhne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai aur ager aapko ye article pasand aaya ho to ishe apne friends ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ