Twitter Par New Account Kaise Bnaye ?

Friends aap ek internet user hai, ish liye aapne twitter ka naam to jarur suna hoga. But kya aapko pta hai ki twitter kya hai ? kis kaam aata hai ? ya twitter par ek new account create kaise karte hai ?


Ager aapko iske bare me nhi pta hai, to ye post aapke bahut kaam aane wali hai, kyunki aaj ish post me hum aapko yahi btane wale hai ki twitter par ek naya account kaise bnate hai ?


Twitter par new account kaise bnaye

To iske bare me btane se pahle me aapko btana chahunga ki twitter kya hai aur kis kaam aata hai ?

To dekhiye friends twitter bhi Facebook, Instagram, Google+ aur Whatsapp ki trah ek social site aur application hai, jis par hum apna account bna kar apne thoughts puri duniya ke sath share kar skte hai, aur sath hi apni family aur friends ke sath online connect me reh skte hai.

Iske alawa twitter ek bahut hi popular aur trusted social site hai, jis par hume duniya ke lagbhag sabhi celebrities aur politician ke accounts mil jate hai. So twitter par hum unhe follow karke unke attached me reh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Twitter Par Followers aur Followings Kya Hai ?

Bahut se logo ko twitter par followers aur followings ka matlab pta nhi hota hai, aur wo nhi jante hai ki inka twitter me kya kaam hai aur inme kya deference hai.

To dekhiye friends twitter par ager aapko kisi person se connect hona hai to iske liye aapko ushe follow karna hoga. Twitter par aap jin jin logo ko follow krenge, wo sab aapke followings honge, aur jo log twitter par aapko follow krenge wo aapke followers honge.

So I hope aap twitter par followers aur followings ko achhe se samjh gye honge, ager aap iske bare me detail se janna chahte hai ? to ye article padhe.
Abhi hum aapko bta dete hai ki twitter par ek naya account kaise bnate hai ?

Ynha hum aapko mobile me twitter account kaise bnate hai ? iske bare me bta rhe hai, kyunki jyadater log apne mobile se hi internet chlate hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye, hum iske bare me jan lete hai.

1. Twitter par account bnane ke liye sabse pahle aapko Twitter.com ki site par jana hai.

2. Uske baad iska home page open ho jayega, wnha aapko ‘Sign Up’ button par click karna hai.

3. Uske baad aisa page open ho jayega.

Create new account on twitter

Ynha aapko apna naam aur mobile number dalkar upper Next ke option par click kar dena hai. Ager aap mobile number ki jgah email id se twitter account bnana chahe to Use Email Instead par click kare, aur uske baad mobile number ki jgah email id dalkar Next ke option par click kare de.

4. Uske baad aapke mobile number ya email id jo bhi aap fill kroge, ush par ek OTP ( one time password ) aayega, next page me aapko wo OTP dal kar account ko verify karna hai.

5. Uske baad next page me aapko ek new password set karne ke liye kaha jayega, So aap apne account ke liye ek hard sa password type kare, aur Next button par click kar de.

Bas ab aapko twitter account ban chuka hai, abhi next ke kuch pages me aapko kuch popular pages aur celebrities ki profiles milengi, ager aap chahe to unme se kuch ko follow kar skte hai, nhi to Skip For Now button par click karke unhe skip kar de. Niche screenshot me dekhe.

Suggestions for follow people on twitter

Itna karne ke baad aapka twitter account completely ready ho jayega, iske baad aap twitter par apni photos, videos aur posts tweet karke apne thoughts duniya ke sath share kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To friends ummid karta hun ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko twitter par account bnane me kisi parkar ki problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ