Apne Bank Account Me Aadhar Kaise Link Kare [ 3 Methods ]

How To Link Aadhar Card With Bank Account in Hindi:- Friends jaisa ki aap bhi jante hai ki aadhar card india me ek most identify document hai. Ish liye ishe bahut si services aur accounts se link kraya ja rha hai. Mostly bank accounts aur telecom services se.

Indian government aur RBI ke new rules ke according ab sabhi ko apne Aadhar card aur Pan Card ko apne bank account se link krwana hoga. Aisa na krne par jald hi aapka bank account band bhi kiya ja skta hai.

Ish liye ager aapne ab tak aadhar card ko bank account se link nhi karwaya hai, to jaldi se kra le. Nhi to aapka account band bhi ho skta hai.

Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare [ 3 Methods ]

Ish post me main aapko 3 easy trike btaunga. Jinse aap Apne Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kar Skte Hai.

1. Mobile Se SMS Send Karke Aadhaar Card Ko Bank Account Se Link Kare

Ish trike se aap ghar baithe apne phone se sirf ek message send karke apne bank account ko aadhar card se link kar skte hai.

Iske liye mobile ke message box me jakar ek message ish trah se type kare.

UID (Aadhar Number) (Bank Account Number)

Example:-

UID 123456789012 675635251728

Ish trah se SMS type karke ishe 567676 par send kar de. Uske baad aadhar card ke bank account ke sath successfully link hone ka ek message aapko wapas prapat ho jayega.

Note:- SMS sirf ushi number se send kare jo aapke bank account ke sath registered hai.

Ye Bhi Padhe...

Technical problems ke karan kai baar ye trika kaam nhi karta hai. Ager ye kaam na kare to second trika use kare.


2. ATM Se Aadhar Ko Bank Account Se Link Kare

Aap apne pass ke ATM me jakar bhi aadhar card ko bank account se link kar skte hai. Par sirf apne bank ke ATM me jaye. Jaise ager aapka SBI ka account hai to SBI ke kisi ATM me ye process puri kare.

1. Sabse pahle ATM me apna card dale.

2. PIN enter kare.

3. Ab aapko kai options milenge. Aapko Service Registrations par click krna hai.

4. Phir Aadhar Registration par click kare.

5. Aapka account Saving hai ya Current wo select kare.

6. 12 digit aadhar number enter kare.

7. Ek phir se aadhar number enter kare.

Bas ab aapka aadhar card bank account se link ho jayega. Iski jankari aapko aapke registered number par SMS ke dwara bhi mil jayegi.

Ye Bhi Padhe...


3. Bank Me Jakar

Aap apni bank ki nearest branch me jakar bhi aadhar card ko bank account se link kra skte hai. Iske liye apne aadhar card ki copy le aur ush par apne account number ke sath apne signature kare aur sambandhit bank adhikari ko de de, wo ushe aapke account ke sath link kar denge.

Ye Bhi Padhe...

To in triko se aap apne bank account ko aadhar card se link kar skte hai. Friends ager aapko ye jankari achhi lgi ho to niche social media icon par click karke ishe apne dosto ke sath bhi share kare 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ