Youtube Video Ke Comments Ko Disable/Hide Ya Block Kaise Kare

Hello friends

Ager aap ek new youtuber hai aur apne youtube channel se kisi particular video ke comments ko disable/hide/block karna chahte hai to aap bahut hi aasani se aisa kar skte hai. Iske liye aapko ish post ko last tak padhna hai.

Youtube Video Ke Comments Ko Disable/Hide Ya Block Kaise Kare

Friends pichhli posts me mene aapko btaya tha ki youtube par channel bna kar paise kaise kmate hai, iske alawa mene aapko youtube channel ko verify kaise karte hai, iske bare me bhi btaya tha. Ish post me main aapko youtube video ke comments ko disable karne ke bare me btaunga.
Dosto labhag sabhi new youtubers ke sath ye problem hoti hai ke unke shuruaat ke kuch videos me kuch na kuch kami reh jati hai ya unse kuch galti ho jati hai, jiske karan ush video par gande aur faltu comments aana shuru ho jate hai. Ab aise me sabse better to yahi rehta hai ki aap ush video ko delete kar de ya uski privacy change kar de, but ager aap aisa nhi karna chahte to aap ush particular video ke comments ko disable ya hide kar skte hai, taki ush video par koi comment dikhai na de aur aage se na hi koi ush par comment kar paye.

Youtube par kisi bhi video ke comments ko disable/hide karna bahut hi aasan hai, iske liye  sabse pahle aapko youtube ki site par jana hai aur apni gmail id aur password dalkar log in karna hai. Ager aap mobile use kar rhe hai to browser me desktop mode enable kar le.

Jab youtube ka home page open ho jaye to aapko upper right side me apni profile photo par click karke 'Creator Studio' par click karna hai. Uske baad channel ka dashboard ish se open ho jayega.


Ynha par aapko video manager par click karna hai, Video manager par click karne ke baad aapke dwara upload kiye gye sabhi videos aapke samne aa jayenge, aapko jis video ke comments disable karne hai, aapko ushe edit karna hai, video edit ko edit karne ka option aapko her video ke niche mil jayega.

Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko Advanced Settings par click karna hai, iske baad aapke samne bahut sare options aa jayenge.


Ynha par aapko allow comments ke samne box me se right tick remove kar dena hai, Uske baad upper 'Save Changes' par click karna hai.

Ye Bhi Padhe...

Bas abhi aapke ush video ke comments disable ho jayenge. Ab na to ush video ke comments koi dekh payega aur na hi aage se koi ush par comment kar payega.

Friends ager aapko ish trah se youtube video ke comments hide ya disable karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ