Google Play Store par kishi bhi App/Game par Review/Comment kaise kare

Hello friends
Aaj hum baat krenge ki google play store par kisi bhi app/game par review/comment kaise krte h. Par ush se pahle hum ye jan lete h ki review/comment hota kya h.

Review/Comment Kya Hota Hai ?

Aksar aapne Play store se App/Game download krte samay dekha hoga ki uske niche uske bare me kuch comments kiye gye hote h, inhi ko review/comment kehte h. Ye un logo ke dwara kiye gye hote h, jo ush App/Game ko use kar chuke h aur Review/Comment kar ke wo ush App/Game ke sath jo unka experience rha hota h, ushe share krte h.

Aapko bhi play store ke kisi bhi App/Game par Review/Comment krna aana chahiye.
Taki aap bhi google play store se download kiye gye apps par apna experience share kar ske. Aur un logo ki help kar ske jinhone abhi tak wo app/game install nhi kiya h. Kyunki most of people play store se new App/Game download krne se pahle ush par kiye gye Comments/Reviews padte h, baad me ushe download krte h.

To ab review/comment krne ke bare me baat krte h.

Ager aapko play store par kisi aise App/Game par comment krna hota h jo pahle se hi aapke mobile me install h, to aapko koi problem nhi aati h. Aap aasani se ush app par comment kar skte h. But ager hmare mobile me wo App install nhi h jis par hum comment krna chahte h to hum ush par comment nhi kar pate h.

But ish post ki help se aap play store ke kisi bhi App/Game par comment kar skte h. Chahe wo aapke mobile me install ho ya na ho.

Aap soch rhe honge ki ager humne kisi App/Game ko use hi nhi kiya to ush par comment kyun kre ? To ye aap par defend krta h. Kyunki iske through aap apni Champcash Refar ID, blog, website aur bhi kai chije h, jinhe aap free me play store ke kisi bhi App/Game ke Review/Comment me add kar ke ushe promote kar skte h. Bas comment me ush App/Game ke bare me bhi kuch likh de.

Google Play Store par kishi bhi App/Game par Review/Comment kaise kare

Play store par kisi bhi App/Game par comment krne ke liye step follow kre.

1. Sabse pahle aap apne mobile ka Data connection on kre.

2. Phir play store ko open kre aur jis bhi App/Game par comment krna h ush par click kre.

2. Ab Ager aapke mobile me wo App install nhi h to Aapko ush app par comment krne ya star's dene ka option nhi milega. Ish liye ush App par comment krne ke liye sabse pahle wnha jo install ka icon h ush par click kre aur downloading start kre. Aapko wo App download nhi krna h only downloading start krni h.

Jaise hi downloading start hogi to aapko ush App par comment/rate krne ke liye star's mil jayenge, jaisa ki aap image me dekh skte h.

Google Play Store par kishi bhi App/Game par Review/Comment kaise kare

Star's aate hi turant downloading ko stop kar de.


Ager aapke mobile me wo App ya Game install h to aapke ye krne ki jarurat nhi padegi, aapko rate dene ke liye direct star's mil jayenge.

3. Ab aapko ush App/Game ko jitne bhi star's dene h utne star's par click kar de, aur kuch second's wait kre. Phir aapko ush par comment krne ke liye comment box mil jayega. Jaisa aap image me dekh skte h.


4. Ab pahle box me Title likhe aur 2nd me aapko jo comment krna wo likh de aur phir submit par click kar de.

Phir aapka comment ush App/Game ke Review's me dikhai dene lag jayega.


Jaisa ki aap image me dekh skte h.

Must read

Ager aapko google play store par kisi bhi app/game par review/comment krne me koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte h. Google Play Store par kishi bhi App/Game par Review/Comment kaise kare

एक टिप्पणी भेजें

4 टिप्पणियाँ