Google Ki Top 7 Tricks/ Hacks Jinke Bare Me Koi Nhi Janta

Google Search's Top 7 Tricks and Hacks in Hindi:- Friends google ko to hum sabhi istemaal karte hai aur aaj ke time me google ke bina internet ki kalpna karna bhi muskil hai. Kyunki hume jab bhi internet par kuch search karna hota hai to hum google me search karte hai, jiska jwab bhi hume mil hi jata hai.

But main aapko btana chahunga ki google ki kuch aisi tricks hai jinke bare me ager hume pta ho to hum google ko aur bhi achhe trike se use kar skte hai aur google ko ek pro ki trah use karke apni pasand ki chije bahut hi aasani se sirf kuch hi seconds me search kar skte hai.

Google Ki Top 7 Tricks/Hacks Jinke Bare Me Koi Nhi Janta

To chliye abhi time waste na karte huye google ko ek pro ki trah use karne wali un tricks ke bare me baat karte hai.

Google Ki Top 7 Tricks/ Hacks Jinke Bare Me Koi Nhi Janta


1. Friends ager aap google par koi exact words search karna chahte hai, matlab aap google me jo words search kare result me bhi sirf same unhi words ke result show ho to aap un words ke start aur end me Inverted Comma ( …………. ) lga kar search kare.

Aisa karne se aapko koi faltu result show nhi honge balki sirf wohi result show hoga jinse wo words exact milenge.

Ye Bhi Padhe...


2. Ager aap google me search kiya gya word nhi dekhna chahte par ush se related baki result dekhna chahte hai to ush word se pahle tilde ( ~ ) ka istemaal kare. Ish se aapko search kiye gye same word ke alawa ush related baki results dikhai denge.

Ye Bhi Padhe...

3. Ager aap google ke search result me sirf kisi particular time period ke bich ke result hi dekhna chahte hai to aap aisa bhi kar skte hai iske liye aapko un words ke aage wo time period bhi lga dena hai jis time period ke aap result dekhna chahte hai jaise ( Window 2008..2009 ). Aisa karne se aapko sirf ushi time period ke results dikhai denge.

Ye Bhi Padhe...


4. Ager aapko google par koi particular file type jaise pdf, ppt, doc, xlsx hi result me dekhna chahte hai to iske liye aapko unhe kuch ish trah se search karna hai jaise

Filetype:pdf English Notes

Filetype:ppt English Notes

To ish se aapko un words ke aage Filtype:pdf/doc/ppt/xlsx ya jo file type aapko chahiye wo aap type karke search karna hai.

Ye Bhi Padhe...

5. Ager aapko kisi chij ki definition nhi pta hai to aap wo bhi google me search kar skte hai. Iske liye aapko ush word se pahle define: lga dena hai. Jaise example ke liye aapko Happy word ki definition janni hai to iske liye aapko aise search karna hai.

Define:happy

To ish trick se aap google par kisi bhi chij ki definition jan skte hai.

Ye Bhi Padhe...

6. Google ka istemaal aap ek calculator ki trah bhi kar skte hai. Iske liye aapko jin number ko calculate karna hai unhe search box me dal kar search karna hoga jaise.

45+65

7. Google se hum units jaise cm, mm, ko bhi aapas me change ya convert kar skte hai. Iske liye aapko unit amount type karne ke baad unke aage wo unit types dal dene hai jaise.

100 cm to mm
110 mm to cm

Bilkul ish trah se aap currency ko bhi aapas me change kar skte hai.

To ye google ki top 7 hacks ya tricks thi jinka istemal karke aap google ko aur bhi behtar trike se use kar skte hai aur apni kaam ki chiju ya result ko bahut hi aasani se sirf kuch si seconds me search kar skte hai.


FAQ Related to Google Secret Tricks

Google Ki Sabse Best Trick Kya Hai ?

Google me ek nahi balki bahut sari aisi tricks hai jo ki kafi kaam ki hai. Ish article me hamne total 7 tricks btai hai jinke bare me aap jan sakte hai.

Kya Ham Google Me Calculation Kar Sakte Hai ?

Ji haan, Google me calculation krna bahut hi aasan hai, aap simple Google ke search box me apni calculation type karte jaye uska result aapke samne aa jayega.


To friends ummid karta hun ki ye article Google Ki Top 7 Tricks/ Hacks Jinke Bare Me Koi Nhi Janta aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ