Facebook Par Photos aur Videos Ko Full HD Me Kaise Upload Kare

How To Upload Photos and Video in Full HD on Facebook ?

Friends ager aap ek facebook user hai aur ager aap daily apne fb account par apni photos aur videos upload karte rehte hai to aap ye jarur jante honge ki jab bhi hum facebook par apni koi photo ya video uplod karte hai to uski size reduce ho jati hai.

Yani ki ager hum facebook par apni koi Full HD ki image ya video upload karte hai to fb par upload hone ke baad uski size bahut hi kam ho jati hai, jiske karan wo image ya video utna clear nhi rehta jitna ki humne upload kiya tha, aur ishi liye jab hum kabhi future me ush photo ya video ko wapas download karte hai tab bhi wo low quality me hi download hota hai.


Ish liye ager aap chahte ki facebook par aap jo bhi photo ya video upload karo wo uski original size me hi upload ho aur jab aap ushe wapas download karo tab bhi wo ushi quality me download ho to ye post aapke liye hi hai. Kyunki aaj hum ishi ke bare me baat krne wale hai.

Facebook Par Photos aur Videos Ko Full HD Me Kaise Upload Kare


Facebook Par Photos aur Videos Ko Full HD Me Kaise Upload Kare


To chliye abhi hum baat kar lete ki facebook par photos aur videos ko full hd me kaise upload karte hai ? ya full hd me kaise download karte hai. To iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kare.


1 Sabse pahle apne mobile me Facebook application me jaye. ( Sirf facebook app me hi jaye kyunki Facebook Lite me aapko itne options nhi milenge.

2 Uske baad apne account ko log in kare.

3 Phir 3 Lines ( Menu ) par click kare.

4 Phir aapke samne bahut sare options aa jayenge, unme se aapko sabse niche ‘Settings & Privacy’ menu me ‘App Settings’ par click karna hai.


5 Phir aisa page open hoga.


Ynha par ‘Upload Photos in HD’ aur ‘Upload Videos in HD’ in dono ko ON kar dena hai. Bas uske baad aap facebook par job hi photo ya video upload krenge wo apni original size me hi upload hoga aur jab aap ushe wapas download krenge tab bhi wo ushi size me download hoga.


To ish trike se aap facebook me ye chhoti si setting ON karne ke baad facebook par apni photos aur videos ko uski original size yani ki full hd me upload kar skte hai aur jab chahe tab wapas full hd me hi download bhi kar skte hai.

To friends I hope ki ye jankari aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lge to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ