Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi

Whatsapp All Settings and Features Explained in Hindi:- Ager aap whatsapp use karte hai to ye post aapke liye bahut ki helpful rehne wali hai, kyunki aaj ish post me main aapko whatsapp se judi huyi sabhi tips & tricks ke bare me btauga. Dosto ye post padhne ke baad whatsapp se judi huyi tricks ke bare me janne ke liye aapko aur kisi post ko padhne ki jarurat nhi padegi. Kyunki isme main aapko sabhi tricks ke bare me bta dunga.

Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi


What are the hidden features on whatsapp, whatsapp secret codes, whatsapp secret settings and features, best features of whatsapp 

Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi

Friends ho skta hai ki in me se kuch tricks ke bare me aapko pahle se pta ho, lekin ek baat main yakin ke sath keh skta hu ki ish post me btai gyi sabhi tricks ke bare me aapko pta nhi hai, ish liye ish post ko last tak jarur padhe aur ager whatsapp se relative aapke dimag me koi bhi sawal ho to aap niche comment box me comment karke puchh skte hai.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum sida topic par aate hai aur whatsapp ki top tips aur tricks ke bare me baat karte hai.

Whatsapp All Secret Settings and Features in Hindi


1. Delete Sent Messages/ Recall Messages

Ye whatsapp me naya feature juda hai. Ish feature ki madad se abhi ager aap whatsapp par galti se kisi ko koi message send kar dete hai to aap ushe wapas bula skte hai ya ushe wapas delete kar skte hai. Iske liye jaruri hai ki ya to aapke pass whatsapp ka latest version hona chahiye. Agar aapke mobile me whatsapp ka latest version install hai to aap ish feature ko use kar skte hai.

Ish feature ko use karne ke liye simply aapko ush massage ko mark karna hai, jise aap delete karna chate hai aur uske baad aapko delete icon par click karna hai, uske baad aapko ‘Delete for everyone’ ka option mil jayega, ush par click karna hai. Uske baad wo message delete ho jayega. Ager aap ish feature ke bare me details se janna chahte hai to iske liye ye post padhe.

2. Download Whatsapp Status


Ish trick ki madad se aap aapke contacts dwara whatsapp par dale gye status ko download kar skte hai.

Iske liye aapko ek application download karni hogi, jiski madad se aap whatsapp status ko download kar skte hai. Application download karne ke liye aapko play store par jakar 'Save Whatsapp Status' likh kar search karna hai. Uske baad bahut sari apps aa jayengi jinki madad se aap whatsapp status ko mobile ki gallery me save kar skte hai. aapko jo application achhi lge aap wo download kar skte hai.

3. Keep Long Video Status On Whatsapp


Friends ish trick se aap whatsapp video status me 30 seconds se bhi bada ya long video as a story status lga skte hai. Iske liye aapke pass Gb whatsapp hona chahiye, kyunki ye feature sirf gb whatsapp me hi available hai. Ish trick ko use karne ke liye aapko Gb Settings>Media Sharing me jakar Video Limit for Status ko enable karna hai, uske baad aap whatsapp par 30 seconds se bhi bada video status ke rup me rakh skte hai.

Note:- Dosto gb whatsapp ek untrusted app hai. Ish par trust nhi kiya ja skta hai. Ish liye hum aapko ise use na krne ki hi advice dete hai.

Iske bare me details se janne ke liye ye post padhe.

4. Unblock Your Self On Whatsapp


Friends ager whatsapp par koi person aapko block kar deta hai to aap khud apne aapko unblock kar skte hai aur ush person ko phir se massage send karna shuru kar skte hai. Iske liye aapko apna whatsapp account ek baar delete karna hoga. jaise hi aap apna account delete karenge to aap unblock ho jayenge uske baad aapko phir se ush number se apna account bnana hoga.

Ushi number se new account bnane ke baad aap phir se ush person ko masssage send karna shuru kar skte hai. but ager aap ek baar apna account delete kar denge to aapke sare messages aur groups delete ho jayenge. Ish liye ish baat ko dhyan me rakh kar hi apna account delete kare.

Uske alawa ye trika kaam krke ya nahi iski bhi koi garantee nahi hai lekin ek aur trika hai jiske dwara aap ush person se bhi chat kar skte hai jisne aapko whatsapp par block kar rkha hai. Wo trika janne ke liye ye lekh padhe.

5. Delete Messages By Categories


Friends abhi aap whatsapp par messages ko categories ke hishab se sirf ek click me delete kar skte hai. Maan lijiye ki aap apne kisi whatsapp contact ya group ke sirf text massages ya photos ya videos ko delete karna chahe to unhe sirf ek click me delete kar skte hai. iske liye aapko Whatsapp Settings>Data and Storage Usage>Storage Usage me jana hai.

Uske baad aapke sabhi contacts aur groups aapke samne aa jayenge. aapko jiske messages delete karne ho ush par click kar de. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko 'Manage Messages' par click karke un categories ko select karna hai jin category types ke messages aap sirf ek click me delete karna chahte hai aur uske baad 'Clear Messages' par click kar dena hai. Jaise hi aap aisa krenge to wo messages delete ho jayenge.


6. Whatsapp Par Unknown Number Ki Details Kaise Pta Kare


Friends ager whatsapp par aapko koi unknown number se massage karta hai to abhi aap uska pta lga skte hai ki wo number kisi ka hai. iske liye aapko whatsapp me ush number par click karke 'View Contact' karna hoga. jaisa ki aap image me dekh skte hai.


Yaha par aap dekh skte hai ki wo number whatsapp par kisi naam se registered hai, iske alawa ager wo person aise kisi group me add hai jisme aap bhi add hai to uska pta bhi aapko yaha chal jayega.


7. Ek Mobile Me 2 Whatsapp Chlaye


Ish trick ki madad se aap ek mobile me 2 ya 2 se bhi jyada whatsapp ek sath apne mobile me chla skte hai. Iske liye aapke pass 3 option hai.

1. Apne mobile ki settings me jakar whatsapp ka clone app bna lijiye, fir aapke mobile me 2 whatsapp ho jayenge jinme aap 2 alg alg number se whatsapp chla skte hai.

2. Play store se koi bhi App Cloner app download krke whatsapp ke clone app bna skte hai.

3. Iske alawa abhi whatsapp me bhi ek new feature aa gya hai jiski madad se aap whatsapp application me hi ek se jyada whatsapp number se account chalu krke rakh skte hai. Agar aap abhi apne WhatsApp Settings> Account> Add Account par jate hai to waha aapko ek se jyada number se whatsapp account add krne ka option mil jata hai.


8. Change Whatsapp Font Style


Ish trick ki madad se aap apne whatsapp ke fonts ki style change karke unhe stylish bna skte hai. Ye feature sirf gb whatsapp me hi available hai, ish liye ishe use karne ke liye aapke pass gb whatsapp hona chahiye, tabhi aap ise use kr payenge. Iske liye aapko Gb Settings>Change app Fonts me jana hai. Wnha par aapko bahut sare font styles mil jayenge, jinhe aap use kar skte hai.

Iske bare me details se janne ke liye ye post padhe.

9. Whatsapp Me Youtube Video Chlaye


Ye bhi whatsapp ki ek kmaal ki trick hai jiske dwara aap whatsapp ke ander hi youtube video ko play karke dekh skte hai, iska fayda ye hoga ki isko use karne se aapko whatsapp me aaya hua youtube video dekhne ke liye youtube application ko open nhi karna pdega. Ager aap ish trick ko use karna chahte hai to aapke pass 2 option hai. 

1. Jab bhi aapko whatsapp par koi YouTube video ka link send kare to aapko ush link par click nhi krna hai, balki ush link ke uppar dikh rhe ush video ke thumbnail par click krna hai. Fir wo video whatsapp me hi ek pop window me chlna shuru ho jayega.

2. Iske alawa aap play store se koi app bhi download kar skte hai. Iske liye aapko Bubble Tube naam ki ek application play store se download karni hogi.

Iske bare me puri jankari pane ke liye ye post padhe.

10. Lock Personal Or Group Chat


Ish trick ki madad se aap whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat par password set karke ushe lock kar skte hai. Iske liye aapko whatsapp me inbuilt ek feature mil jata hai jisse aap apni kisi bhi personal chat ko lock kar skte hai. Iske alawa aap play store se koi app bhi download kar skte hai, jo ki chat lock kar ske.

Iske liye aapko ek app download karna hoga, jiska naam 'Whatsapp Chat Locker' hai. ish app ki madad se aap aasani se whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai. Iske bare me aur aadhik janne ke liye ye post padhe.

11. Hide Whatsapp Chat


Whatsapp par ager aap apni kisi personal chat ko hide karna chahe to kar skte hai. iske liye sabse pahle aapko ush chat mark karna hai, jise aap hide karna chate hai, uske baad aapko upper archived chat ka option mil jayega aapko ush par click karna hai.

Ush par click karte hi aapki wo chat whatsapp se hide ho jayegi. Ager aap ush chat ko dekhna chahe to ish ke liye aapko Chat History me sabse niche jana wnha par aapko wo chat archived chat me mil jayegi. Iske bare me details se janne ke liye aap ye post padh skte hai.

12. Auto Reply


Ish trick ki madad se aap whatsapp par apne friends ke messages ka auto reply kar skte hai. Auto reply ka matlab hai ki maan lijiye ki aapko whatsapp par koi person message karta hai to uska jwab dene ke liye aapko khud message karne ki jarurat nhi padegi balki ish feature ki madad se ush person ke pass aapki tarf se automatic hi reply chla jayega.

Ager aap ish feature ko use karna chate hai to iske ke liye bhi aapko ek app download karna padega, App download karne ke liye aapko play store me jakar 'Auto Reply For Whatsapp' likh kar search karna hai.

Uske baad aise bahut sare apps aa jayenge jinki madad se aap whatsapp par messages ka auto reply kar skte hai.

13. Whatsapp Par Khud Ko Message Kaise Kare


Ager aap whatsapp par apne aap ko hi message karna chahe to kar skte hai, iske liye bhi aapke pass 2 option hai.

1. Whatsapp me Contacts button par click krke fir aapke samne un sabhi contacts ki list open ho jayegi Jo whatsapp use karte hai. Ish list me sabse uppar hi uppar aapke number honge, to aap ush par click krke khud se hi chat kar skte hai.

2. Iske alawa ek aur trika hai, jisme sabse pahle aapko ek group banana hai. jisme aapko apne kisi bhi ek contact ko add karna hai. uske baad jab group create ho jaye to aapko ush person ko wapas remove kar dena hai.

uske baad ush group me sirf aap akele honge. ab jab bhi ap ush group me koi massage karenge to wo message sirf aapke pass hi aayega.

14. Logout Whatsapp


Ager aapko apne mobile me whatsapp ko logout karna ho to aap settings>apps>whatsapp me jakar clear data kar denge to whatsapp application me se aapka account logout ho jayega. Iske bare me bhi details se janne ke liye aap ye post padh skte hai.

15. Kisi Dusre Ka Whatsapp Apne Mobile Ya Pc Me Chlaye


Ish trick ki madad se aap kisi bhi person ke whatsapp ko apne mobile ya pc me chla skte hai iske liye sabse pahle aapko apne mobile ya pc ke kisi bhi browser me web.whatsapp.com site par jana hai. aur ush mobile ke whatsapp me jakar whatsapp web me jana hai, jiska whatsapp aap apne mobile ya pc me chlana chahte hai.

Uske baad aapke mobile browser me whatsapp web ki site ka page open hoga jisme ek QR code hoga. Aapko ush code ko scan karna hai. jaise hi wo code scan hoga to aapke mobile me ush person ka whatsapp open ho jayega. Jaha se aap ush account ko apne hisab se control kar skte hai.

16. Whatsapp Par Ulta Text Kaise Type Kare


Friends aapne whatsapp par kuch aise massage dekhe honge, jo ki ulte words me type kiye huye hote hai.


Ager aap bhi ushi trah ke messages ulte aksro me type karna chate hai to kar skte hai. Iske liye internet par ek website hai, jiska naam Typeupsidedown.com hai. Ish website ki madad se aap aasani se kisi bhi text ko ulta type kar skte hai, iske bare me details se janne ke liye aap ye post padh skte hai.

17. Ek Click Me Unlimited Messages Send Kare


Friends ager aap whatsapp apne kisi friend ko sirf ek click me 100, 500 ya 1000 messages ek sath send karke ushe prank karna chahte hai to kar skte hai. Iske liye play store se aapko ek application download karni hogi, jiska naam Labalabi For Whatsapp hai. ish app ki madad se aap kisi ko bhi sirf ek click me unlimited sms send kar skte hai. Iske bare me details se janne ke liye ye post padhe.


18. Unlimited Whatsapp Groups


Ager aapko bahut sare whatsapp groups me add hona pasand hai to iske liye bhi play store par aapko bahut sari applications mil jayengi. Jinki madad se aap unlimited whatsapp groups join kar skte hai. Iske liye aapko play store me 'Groups For Whatsapp' likh kar search karna hai.

Uske baad aapko bahut sare apps mil jayenge jinme aapko bahut se group links mil jayenge. aapko un me se jo achha lge aap wo download kar skte hai aur ush se unlimited groups join kar skte hai.

19. Send APK File On Whatsapp


Friends ager aap whatsapp par kisi ko koi apk file send karna chahte hai to kar skte hai. Iske liye aapko jis bhi file ko send karna hai usko rename karna hoga, aur ush file ke naam me (.) ke baad ‘apk’ ki jgah ‘txt’ likhna hoga. uske baad aap jisko wo send karna chahte hai ushe kar skte hai. File send karne ke baad aap samne wale person ko bol de ki wo file download hone ke baad wo wapas uska rename karke ‘txt’ ki jgah ‘apk’ likh de. taki wo apne mobile me ushe install kar ske.
Iske bare me aur aadhik janne ke liye post padhe.

20. Send Massages Without Change Last Seen 


Friends ager aap whatsapp par bina online aaye aur bina apni last seen change kiye kisi ko massage send karna chate hai to kar skte hai. Iske liye aapko apne mobile ke google voice search app me ish trah se bol kar search karna hai. Jaise ‘Send Whatsapp Massage To Vijay’ Yaha par aapko vijay ki jgah ush person ka naam bolna hai jise aap wo massage send karna chahte hai.uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

Yaha aap jo massage send karna chahte hai wo kar skte hai. Iske bare me mene ish post me details se btaye hai so aap ye post padh skte hai.

21. Delete For Everyone Kiye Gye Message Padhe


Jaisa ki aap jante hai ki whatsapp me haal hi me ek new feature add hua tha jiski madad se ab ager whatsapp par humse galti se koi message send ho jaye to hum ushe wapas recall ya delete bhi kar skte hai. 

Ish liye ish feature ka fayda uthate huye humare friends kai baar hume message send karke ushe wapas delete kar dete hai, aur hum ye nhi jan pate hai ki usne aakhir kya message send kiya tha.

But play store par ek app hai jiski madad se hum whatsapp par delete for everyone kiye gye messages ko bhi padh skte hai. Ush app ka naam WhatsRemoved hai. Ish app ko abhi download karne ke liye yaha click kare

Ish app ko kaise use karna hai ? iske bare me janne ke liye ye post padhe.

22. Whatsapp Me Photo/Video Delete Karne Ke Baad Phir Se Download Kare 


Whatsapp me ye feature bhi new aaya hai. Jo ki humare bahut kaam ka hai. kyunki ab ager hum whatsapp se koi photo ya video download karne ke baad ushe gallery delete bhi kar dete hai tab bhi hum whatsapp me ushi chat me aakar ush photo ya video ko wapas download kar skte hai.

Ish feature ko use karne ke liye bas aapko apne mobile me whatsapp ko update karna hoga. Uske baad aap ish feature ko use kar skte hai. Iske bare me aur detail se janne ke liye ye post padhe.

23. Whatsapp Par 16 MB Se Bda Video Send Kare


Friends jaisa ki aap jante hai ki whatsapp me hum maximum sirf 16 mb tak video hi send kar skte hai. But kya aapko pta hai ki hum whatsapp par 16 mb se bhi bda video send kar skte hai.

Whatsapp par bda send karne ke liye aapke pass gb whatsapp hona chahiye. Uske baad Gb Settings>Media Sharing me jakar send kiye jane wale videos ki size limit ko increase kar skte hai.

Iske bare me aur adhik janne ke liye ye post padhe.
Iske alawa aap normal whatsapp se bhi 16mb se bda video send kar skte hai. Iske liye aap ush video ko whatsapp document se bhej skte hai.

24. Send Whatsapp Message Without Save Mobile Number


Whatsapp par ager hume kisi number par message send karna ho to pahle hume wo number apne mobile me add ya save karne padte hai. but yaha btai gyi trick se aap bina number save kiye bhi whatsapp par message send kar skte hai. Iske liye bhi aapke pass 2 option rhenge, chliye aapko inke bare me btate hai.

1. Apne whatsapp me Contacts button par click kare. Fir upar search button par click krke wo number type kare jis par aapko message send krna hai. Jab aap pure number type kar denge to aapko wahi par niche ush number par message bhejne ka option mil jayega.

2. Iske alawa dusre trike me aapko kisi bhi web browser me jakar URL box me wa.me/ type krna hai aur uske just baad wo mobile number type kare jis par aap message send karna chahte hai aur phir search button par click kar de. aapko ush number par message send karne ka option mil jayega. Ish trick ke bare me aur adhik janne ke liye ye post padhe.

25. Hide Whatsapp Photos and Videos From Gallery


Ish trick ki madad se ab aap whatsapp par aane wale videos aur photos apne mobile ki gallery se hide kar skte hai. Iske liye Whatsapp Settings>Data and Storage Usages me jana hai. Uske baad wnha aapko Show Media in Gallery ka option mil jayega. Aap ushe On ya Off karke whatsapp par aane wali photos aur videos ko mobile ki gallery se hide kar skte hai.

Ish trick ke bare me aur adhik detail se janne ke liye post padhe.

26. Whatsapp Group Video Call


Ye feature whatsapp me abhi abhi add hua hai. Ish feature ki madad se ab hum whatsapp par group video call kar skte hai. So ab ager aap apne friends ke sath koi group video conference krni ho to ye feature aapke bahut kaam aa skta hai.

Whatsapp par group video call karne ke liye aapko sabse pahle apne mobile me whatsapp ko update krna hoga. Uske baad jaise aap normal video call karte hai waise hi call karna hai. But ish par aapko wnha par ek + Icon ( Add Icon ) milega, jis par click karke aap video conference me baki logo ko bhi add kar skte hai.

Whatsapp par video call kaise kare ? iske bare me aur adhik detail se janne ke liye ye post padhe.

27. Whatsapp Status Ko Seen Kiye Bina Dekhe 


Friends jaisa ki aap jante hai ki jab hum whatsapp par apne kisi contact ka status dekhte hai to ushe turant pta chal jata hai ki humne uska status dekh liye hai. But kya aap jante hai ki whatsapp me ek aisi bhi setting hai jise ager hum off kar de to uske baad ager hum kisi ka status dekh bhi lete hai tab bhi samne wale person ko pta nhi chlta hai ki humne uska status dekh liye hai.

Ish trick ko use karne ke liye ya whatsapp ki wo setting off karne ke liye aapko Whatsapp Settings>Accounts>Privacy me jana hai aur uske baad Read Receipts ke samne wale check box ko uncheck kar dena hai.

Uske baad aap chahe kisi ka bhi status dekhiye par phir bhi kisi ko pta nhi chlega ki aapne uska status dekh liya hai. Iske alawa ager aap ish trick ke bare me aur adhik janna chahe to ye post pdh skte hai.

28. Hide Blue Tick, Second Tick and Online Status on Whatsapp


Friends jaisa ki aap jante hai ki hum whatsapp par jo bhi message send karte hai uske samne jo ticks aate hai unse hume pta chal jata hai ki samne wale ke pass humara message panhucha ya nhi ? ya usne humra message pdha ya nhi ? ye sab hume un ticks aur uske color se pta chal jata hai.

Iske alawa ager humara koi friend whatsapp par online ho tab bhi hume uska online status dekh kar pta chal jata ki wo ish samay online hai.

To yaha me aapko jo trick batane wala hu uski madad se aap in Blue Ticks, Second Tick aur Online Status ko hide kar skte hai. 

To whatsapp ke ish feature ko use karne ke liye sabse pahle aapke mobile me gb whatsapp hona chahiye,  aur uske baad iske bare me aur adhik janne ke liye ish post ko padhna hoga tabhi aap aisa kar payenge.

29. Whatsapp Me Blue Ticks Hide Ho To Kaise Jane Ki Samne Wala Humare Message Pdh Rha Hai Ya Nhi ?


Friends jaisa ki aap jante hai ki jab humara koi friend whatsapp par blue ticks ko hide kar de to uske baad hume pta nhi chlta hai ki wo humare messages pdh rha hai ya nhi. kyunki blue ticks hide krne ke baad message ke samne kabhi bhi 2 Blue Ticks nhi aate hai. Jis se hume kabhi bhi pta nhi chlta ki samne wala person humare message pdh bhi rha hai nhi.

But yaha hum aapko jis whatsapp trick ke bare me batane wale hai uski madad se aap bahut hi aasani se pta lga skte hai ki samne wala aapke message pdh rha hai ya nhi ?

To iske bare me pta lgane ke liye aapko jyada kuch bhi nhi karna hai aapko bas ush person ko ek audio record karke send karna hai. Ager ush person ne wo audio sun liya to uske samne 2 Blue Ticks aa jayege jis se aapko pta chal jayega ki usne aapka message padh liya hai. 

Kyunki ager samne wale blue ticks ko hide bhi kar rkha ho tabhi send kiye gye audio ko sunne par uske samne 2 blue ticks aa jate hai.

Ish trick ke bare me aur adhik janne ke liye ye post padhe.

30. Whatsapp Add Chat Shortcut Feature 


Whatsapp ke ish feature ki madad se aap apne fevorite whatsapp contact ki chat ka ek shortcut icon apne mobile ki hone screen par add kar skte hai. Ish se fayda ye hoga ki wo chat hone screen par majud baki app icon ke sath dikhai degi. Aap direct ush shortcut icon par click krke ush person ki chat open kar skte hai. Whatsapp add Chat Shortcut Feature ke bare me detail se janne ke liye ye lekh padhe.

31. Whatsapp Status Me MP3 Song Lgaye


Whatsapp ke ish feature ki madad se aap whatsapp status me MP3 song bhi lga skte hai. Agar aap apni khud ko voice message whatsapp status me lgana chahte hai to aapko status type krte time wahi par voice record krne ka option mil jata hai. Iske alawa agar aap kisi song ko status me lgana chahte hai to iske liye aapko ek app download krna pdega, jiske details aap yaha dekh sakte hai.

32. Whatsapp Se Location Track Kare


Aap whatsApp ki madad se kisi ki bhi location pata kar sakte hai. Iske alava aap apni khud ki location bhi dusro ke sath share kar sakte hai. Iske liye aapko location share krne ka option milta hai. Jab ham whatsapp par kisi person ko media file send krne ke liye media icon par click krte hai to wahi par hame location share krne ka option milta hai. 

WhatsApp ki madad se kisi ki bhi live location kaise pata kare ? ya khud ki location dusro ke sath kaise share kare ? iske bare me humne detail se ek dusre lekh me bataya hai aap ye padhe.

33. Whatsapp Par Kon Kab Kab Online Aata Hai 

Whatsapp me ye feature kafi kmaal ka hai. Ish feature ki madad se aap ye pta lga skte hai ki whatsapp par aapke kon konse contacts kab kab online aaye. Iske liye aapko ek app download krna pdega jiska naam Netwa App hai. Ish app ko download krne ke baad isme aapko sari details dikhai jayegi. Ish app ko download krne ke liye ya iske bare me detail se janne ke liye ye article padhe.

34. Whatsapp Groups Me Add Hone Se Bache

Ham sabhi ek chij se bahut pareshan rhte hai. Wo ye ki humare dosto humari permission ke Bina hame kisi bhi group me add karte rhte hai. Aise me agar aap kisi whatsapp group me add nahi hona chahte to aapko kafi preshani hoti hai. Ishi chij ko dhyan rkhte huye whatsapp me ek new setting add ki gyi hai. Agar aap ish setting ko on kar dete hai to uske baad aapka koi bhi dost aapko group me add nahi kar payega. Ish setting ko chalu krne ke liye Whatsapp Settings> Privacy> Groups> Nobody select kar de. 

35. Delete Whatsapp Chat Wapas Laye


Whatsapp ke ish feature ki madad se aap whatsapp se delete apni sari chat wapas recover kar skte hai. Lekin iske liye jaruri hai ki aapke pass apni whatsapp chat ka backup hona chahiye. Whatsapp chat ka backup lene liye aap Whatsapp Settings> Chats> Chat Backup par click krke apni whatsapp chat ka backup apni gmail id par le le. Uske baad jab bhi aap whatsapp ko login krenge to aapko backup restore krne ka option mil jayega, to aap ush backup ki madad se apni sari whatsapp chat restore kar skte hai.

36. Whatsapp Passkey


Whatsapp me ek new feature aaya hai. Ish feature ko use krke aap apne WhatsApp account ko aur bhi jyada secure aur flexible bna skte hai. Agar aap ish setting ko chalu kar dete hai to uske baad aap Bina OTP ke sirf ish passkey se apne whatsapp account ko login kar skte hai. Aap Whatsapp Settings > Account > Passkey me jakar ish setting ko chalu kar skte hai.

37. Whatsapp Dark Mode


Whatsapp me dark mode feature bhi available hai. Agar aap whatsapp me dark mode enable krna chahte hai to iske liye aap Whatsapp Settings> Chats> Theme me jakar whatsapp theme change kar skte hai.

38. Whatsapp Community Feature


Whatsapp me abhi community feature aa chuka hai. Ish feature ki madad se aap groups ka group bna skte hai. Jaise ki Maan lijiye agar aapke whatsapp par 10 15 group hai to aap un sabhi groups ko Mila kar ek community bna skte hai. Fir aap ush community ko madad se sabhi group members ko ek sath message send kar skte hai.

39. Whatsapp Channel Feature


Abhi whatsapp me telegram ki hi trah channel feature aa chuka hai. Aap whatsapp par apna khud ka channel bna kar paise kma skte hai. Whatsapp channel bnane se leke iska istemal kaise karte hai ? Iske bare me hamne ish lekh me detail se btaya hai.


40. Whatsapp Disappearing Messages


Yah ek aisa feature hai jisko on krne ke baad aapki whatsapp chat se messages automatic hi delete hote rhte hai. Ye message na sirf aapke mobile se balki jis person se aapne chat ki hai uski whatsapp chat se bhi delete ho jate hai. Ish feature me aapko whatsapp message disappear yani ki delete hone ka time set krna pdta hai. Jaise ki agar aap 24 hours ka time set krte hai to aap whatsapp par jo bhi chat krenge wo 24 hours ke baad apne aap delete ho jayegi.

Ish feature ki achhi baat ye ki jaruri nahi ki aapko ye setting ek sath sabhi contacts ke liye krni pdegi, agar aap chahe to ye setting sirf kuch logo ke liye set kar skte hai. Jis person ki chat me aap disappearing message setting on krenge, sirf ushi ko chat se messages automatic delete honge, baki me se nahi honge.

Ish feature ko on off krne ke liye aapko ush contact ko whatsapp profile open krni hai, wahi par aapko disappearing message setting mil jayegi.


41. Block/ Disable Whatsapp Calls


Agar aap whatsapp par aane wali calls ko kuch time ke liye band krna chahte hai to aap aisa kar skte hai. Calls ko block krne ka option whatsapp me to abhi filhal nahi hai par aap apne mobile ki settings me app manager me jakar whatsapp ki internet use krne ki permission ko band kar skte hai. Aisa krne ke baad whatsapp me internet nahi chlega aur aapko whatsapp call bhi nahi aayenge. Jab aap whatsapp use krna chahe to wapas ushi jagah jakar whatsapp ko internet use krne ki permission de de. Ish trah se aap whatsapp par aane wale unwanted calls ko band kar skte hai.

42. Hide DP and Last Seen From Only One Person

Agar aap apni dp aur last seen sirf ek person ya sirf kuch logo se hide krna chahte hai to aap aisa kar skte hai. Abhi agar aap Whatsapp Settings> Privacy > Who Can See My Personal Info me jate hai to aapki jitni bhi personal details hai jaise aapki DP, Last Seen, Status, Online Status, About etc. In sabhi me aapko 'My Contacts Except' option milta hai, ish option par click krne ke baad aap un sabhi contacts ko select kar skte hai jinse aap apni dp aur last seen hide krna chahte hai.

43. Whatsapp Star Option 


Aapne notice kiya hoga ki jab bhi ham whatsapp chat me kisi message ko mark krte hai to uppar ki traf hame ek Star ka icon dekhne ko milta hai. Agar ham kisi message ko mark krke Star option par click kar de to wo message Starred Messages me add ho jata hai, jisko ham alag se dekh skte hai. Sath hi ye message all chat history delete krne par delete bhi nahi hota hai. Iske bare me detail se janne ke liye ye lekh padhe.

44. Chat with WhatsApp Support Team


Agar aapko whatsapp use krne me koi problem aaye ya aapko whatsapp se related koi bhi sawal ya sujhav dena ho to abhi aap whatsapp support team se chat bhi kar skte hai. Iske liye aapko Whatsapp Settings> Help> Help Center> Contact Us Jana pdega.

45. Save Whatsapp Chat in PDF


Agar aap kisi khas person ki chat ko pdf ke rup me save karke rkhna chahte hai to aap aisa kar skte hai. Iske liye aapko ush person ki whatsapp chat open krne hai. Fir 3 dots par click kare. More par click krke Export Chat option par click krke aap ush puri chat ko ek pdf file me save krke rakh skte hai. Ish feature ke bare me detail se janne ke liye ye lekh padhe.

To ye thi whatsapp all tips and tricks in hindi, aap hume comment karke jarur btaye ki ye aapko kaisi lgi. ager aapko in tricks ko use karne me koi problem aaye to aap comment karke ke puchh skte hai, aur ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi sahre kare.

एक टिप्पणी भेजें

8 टिप्पणियाँ

  1. gb whatsapp is not supported on my phone, please tell the any more trick

    जवाब देंहटाएं
  2. Muzhe 2 mahine purana backup chahiye aur mere gmail per save nahi he

    जवाब देंहटाएं
  3. Whatapp ki purani dp kaise dekhe ?? Suna hai whatapp save krke rakhta hai.

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. नही ऐसा कोई तरीका नही है, यह एक फेक न्यूज़ है

      हटाएं