Whatsapp Se Delete For Everyone Messages Ko Kaise Dekhe

How To Read Delete For Everyone Messages From Whatsapp ?

Friends whatsapp me abhi kuch time pahle hi ek bada update hua tha jiske dwara hum whatsapp par galti se send kiye gye messages ko bhi wapas bhula skte hai ya unhe samne wale ke mobile se bhi delete kar skte hai, jo ki whatsapp ke sabhi users ko bahut pasand aaya hai.

But abhi ish feature ke aane ke baad jab whatsapp par humara koi friends ya other person hume message send karne ke baad humare padhne se pahle hi ushe delete kar deta hai to humari ye janne ki bahut ichha hoti hai ki usne hume aisa kya messages send kar diya kiya ushe delete karna pda. But hum chahte huye bhi iske bare me nhi jan pate hai.


Kyunki wo message to samne wale ne delete kar diya hota hai aur wo person to hume ush message ke bare me waise bhi nhi btayega ki usne kya send kiya tha kyunki ager ushe btana hi hota to wo ush sms ko delete hi kyun karta, to abhi sawal ye hi banta hai ki hume kaise pta chlega ki ush person ne hume kya message send kiya tha ya phir hum aisa kya kare ki ush delete kiye gye message ko bhi dekh ske ?


Whatsapp Par Recall/Delete For Everyone Kiye Gye Messages Ko Kaise Padhe.

Ager bhi kuch aisa hi soch rhe hai to ish post ko last tak padhte rahiye kyunki isme hum aapko yahi batane wale hun ki whatsapp par recall ya delete for everyone kiye gye messages ko kaise padhte hai ? ya whatsapp par samne wale person ke dwara delete kiye gye message ko kaise padhte hai ?

Ye Bhi Padhe...

Whatsapp Se Delete For Everyone Messages Ko Kaise Dekhe


To chliye abhi time waste na karte huye hum sidha topic par aate hai aur iske bare me baat karte hai. Friends yaha main aapko 2 trike batane wala hun jinke dwara aap whatsapp par delete kiye gye message ko padh skte hai.

1. WhatisRemoved application ke dwara

Friends ye ek application hai jiske dwara hum whatsapp par samne wale person ke dwara delete kiye gye message ko bhi padhe skte hai. Iska naam ‘WhatsisRemoved’ hai jo ki aapko play store par mil jayegi. Ish application ko abhi download karne ke liye yaha click kare.

Friends ye ek aisi application hai jo ki humare mobile ki notifications ko save karti hai ish liye jab bhi hume whatsapp par koi message send krega to wo sabse pahle humare mobile ki notification bar me aayega jise ye application save kar legi aur uske baad ager samne wala person ush message ko delete bhi kar dega tab bhi koi fark nhi padega kyunki tab tak wo message ish application me save ho jayega, jise hum jab chahe tab padh skte hai.

Ish application ko use karne se pahle aapko ishe Notification Access ki permission deni hogi ish liye ishe download karne ke baad jab aapke samne aise options aaye..

Whatsapp Par Recall/Delete For Everyone Kiye Gye Messages Ko Kaise Padhe.

To yaha par aapko ‘Detect deleted messages and their files (Recommended) par click karke ushe wo permission de de. Uske baad jab bhi aapko whatsapp par koi message send karga to wo ish application me save ho jayega, uske baad ager wo ushe delete bhi kar deta hai tab hi wo ish app me store rhega jise aap jab chahe tab dekh skte hai.

Note:- Ish app se whatsapp par delete kiye gye messages ko read dekhne ke liye jaruri hai ki aapke mobile me whatsapp ki notifications ON rhe. Matlab ki jab whatsapp par aapko koi message send kare to wo mobile ki notification baar me aana chahiye. Application notification ko enable/disable karne ke bare me aur aadhik janne ke liye ye post padhe.


Bas ye setting karte hi jab bhi aapka koi contact aapko send kiye gye message ko recall ya delete for everyone karega to wo sirf uske mobile se delete hoga aapke mobile se nhi hoga.


FAQ

Kya Hum Whatsapp Se Delete Kiye Gye Message Ko Dekh Sakte Hai ?

Ji haa, agar ush message ka notification aaya tha to aap ush message ko delete for everyone krne ke baad bhi dekh sakte hai.

Whatsapp Se Delete Message Dekhne Wala App Konsa Hai ?

WhatsisRemoved app se aap whatsapp se delete message ko dekh sakte hai.

Bina Kisi App Ke Whatsapp Se Delete For Everyone Messages Kaise Padhe ?

Aap apne phone ki notification history me jake whatsapp messages ko dekh sakte hai. Mobile ki notification history kaise dekhe ?


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap whatsapp par recall ya delete for everyone kiye gye messages ko bhi padh skte hai. To friends ummid karta hun ki ye jankari aapko pasand aayi hogi, ager aapko ye post achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ