Delete Photos Ko Android Mobile Se Recover Kaise Kre

How to Recover Delete Photos From Android Mobile ?

Friends ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai. Kyunki aaj ish post me main aapko btane wala hun ki apne android mobile se delete ho chuki photos ko android mobile se hi wapas recover kaise krte hai ?

Friends hum sabhi ke pass aisi kuch images hoti hai, jinke sath humare emotions jude hue hote hai, ish liye humare liye wo images humare liye bahut jyada important hoti hai. But kai baar humari wo important photos humare mobile me se kisi na kisi karan se delete ho jati hai.

Un photos ke delete hone se hume bahut dukh hota hai. Kyunki humare liye wo photos bahut important hoti hai aur unke sath humari bahut si yade judi hui hoti hai, aur jaisa ki aap jante hai ki ek baar delete hone ke baad hum un photos ko wapas recover nhi kar pate hai.

Delete Photos Ko Android Mobile Se Recover Kaise Kre

To ager aapke sath bhi aisa kuch hua hai aur ager aapki important photos bhi galti se delete ho gyi hai, aur abhi aap unhe wapas recover krne ke bare me soch rhe hai, to me aapse kehna chahunga ki aap aisa kar skte hai.

Ji ha dosto, ab aap apne android mobile se delete hui photos ko apne android mobile se recover kar skte hai. Delete ho chuki photos ko recover krne ke liye aapko jyada kuch nhi krna hai. Bas ish post ko last tak padhna hai. Phir aap aasani se aisa kar skte hai.

Delete Photos Ko Android Mobile Se Recover Kaise Kre


Friends play store par ek app hai jis ki madad se hum aisa kar skte hai. Ush app ka naam hai 'DiskDigger'. Ye bahut hi achha app hai, jis se hum apni delete hui photos ko aasani se recover kar skte hai. Ye app aapko play store par aasani se mil jayega.

Diskdigger App Abhi Download Krne Ke Liye Ynha Click Kre.

To apne android mobile se delete hui photos ko recover krne ke liye sabse pahle to aapko ye app download krna hai.

Uske baad jab aap ish app ko open krenge to ish trah se page open hoga.


Ynha par aapko simply 'START BASIC PHOTO SCAN' par click krna hai.

Uske baad aapne apne phone ko jab new purchase kiya tha ush samay se lekar photos scan krte samay tak aapke mobile me jitne bhi photo store hui hai. Wo sabhi photos restore hona shuru ho jayegi. Jaisa ki aap niche image me dekh skte hai.


Scan krne par aapke mobile se delete ho chuki photos bhi restore ho jayegi. Ab aap jis bhi photo ko save krna chahe ushe Mark kar le aur upper jo 'RESTORE' ka option hai ush par click kre.


Uske baad aisa page open hoga. Ynha par aapko 2nd option 'Save the files to a custom location' par click karke File Manager me folder select krna hai jis me aap un photos ko save krna chahte hai aur uske baad photos ko save kar le.

Uske baad aap File Manager me jakar wo photos check kar skte hai. Aapke select kiye gye folder me wo photos aapko mil jayegi.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap ish app ki madad se apne android mobile se delete hui photos ko phir se restore kar skte hai.

Ager ish app se photos restore krne me aapko koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte hai aur ager aapko ye post Delete Photos Ko Android Mobile Se Recover Kaise Kre helpful lgi ho to please ishe apne friends ke sath bhi jarur share kre.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ