Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare

Dosto aaj tak aapne aisi kai post padhi hongi ya video dekhe honge jinme mobile se delete files ko recover karne ke bare me btaya gya hai, but un posts aur videos me btaye gye triko se aap sirf mobile se delete photos ko recover kar skte hai, baki other files jaise video, audios, apk etc ko recover nhi kar sakte hai.

Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare

Lekin aaj ish post me main aapko ek aise aisa trika btaunga, actually ek app ke bare me btaunga. Jiski madad se aap apne android mobile se delete kisi bhi file phir chahe wo photo ho ya video ya other koi file ho, usko aap recover kar skte hai.

Dosto main jis app ke bare me aapko btane wala hu, wo app android mobile me bilkul waise hi kaam karta hai, jaise ki Recycle Bin ek computer me karta hai. Jis trike se hum computer se delete ho chuki files ko Recycle Bin se recover kar skte hai, bilkul waise hi hum ish app ki madad se apne android mobile se delete ho chuki kisi bhi file ko recover kar skte hai.


Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare


To chliye ab hum ush app ke bare me baat karte hai. Friends ush app ka naam 'Dumpster' hai, jo aapko play store par aasani se mil jayega. Dumpster app abhi download karne ke liye ynha click kare. Ye size me lagbhag 12MB ka hai. Ab tak play store par iske 10 million downloads chuke hai. Ish app ko download karne ke baad aapko simply ishe open krna hai.


Open krne par iska interface kuch ish trah se open hoga. Ynha par aapko 2 options milenge.

1. Ynha par click krne par aapko tutorial dikhaya jayega ki aap kaise delete files ko recover kar skte hai.

2. Ager aap tutorial nhi dekhna chahte to skip intro par click kar de.

Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par aapko ek photo milegi jise aap delete kar ke wapas recover karke dekh skte hai ki ye app thik se kaam kar rha hai ya nhi. Ager aap ush photo ko delete karna nhi chahte to upper skip par click kar de.

Uske baad aap apni gallery ya file manager me jakar kisi bhi file ko delete kar de aur Dumpster ko open kare.

Dumpster app ko open karte hi aapko wo file mil jayegi.


Ager aap ush file ko wapas recover krna chahe to file par click kare, uske baad aapko recover ka option mil jayega. Aap bas ush par click kar de. Aapki wo file wapas ushi folder me recover ya store ho jayegi, jis folder me wo pahle store thi.

Ye Bhi Padhe...

Note:- Ish App se hum sirf unhi files ko recover kar skte hai, jo humne ish app ko download karne ke baad apne mobile se delete ki hai.

To ish trike se aap ish app ki madad se apne mobile se delete kisi bhi file jaise photos, videos, audios ya other kisi bhi file ko recover kar skte hai. Ager aapko ish app ko use krne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ