Android Mobile Me Apps Ko Hide Kaise Kare

How To Hide Installed Apps In Android Mobile ?

Friends ager aap apne mobile me install kiye gye apps ya games ko hide karna chahte hai to ye article aapke liye abhut jyada helpful hone wala hai, kyunki ish article me hum aapko ishi ke ishi ke bare me batane wale hai ki android mobile me kisi application ko kaise hide karte hai ?

android mobile me kisi bhi app ko hide kaise kare ? app hider app download kare

Dekhiye friends ager aap ye soch rhe hai ki aakhir hume apne mobile me apps ko hide karne ki kya jarurat hai ? ya hum apne mobile me applications ko hide kyu kare ? to iske liye hum sabhi ke alag alag reasons ho skte hai. But phir ager aap apne mobile me internet banking se related kuch kaam karte hai ya ager online shopping aur E-wallets ko use karte hai to aapko un apps apne mobile me chhipa kar rkhna chahiye.

Iske alawa ager aap apne mobile me kinhi aise app ko install karke rakhte hai jinme aapki bahut personal aur private photos, videos ya documents ho to unhe bhi aapko apne mobile me hide karke rkhna chahiye.

Ye Bhi Padhe...

Iske alawa ager aap facebook whatsapp jaisi applications me kuch personal aur private chat karte hai tabhi bhi aapko facebook aur whatsapp jaisi applications ko apne mobile me hide karke rkhna chahiye.

Kyunki jab bhi humara koi friend ya other koi person humse mobile lete hai to wo sabse pahle humare mobile ke apps ko hi check karta hai aur wo ek baar humare mobile me facebook aur whatsapp ko open karke jarur dekhte hai, jo ki humari privacy ke liye bilkul bhi thik nhi hota hai, kyunki wo person humari personal chat bhi dekh skta hai.

To ish problem se bachne ke liye waise to hum kisi app locker app ko bhi apne mobile me install karke rakhte hai. But wo trika bilkul bhi sahi aur safe nhi hai. Kyunki pahli baat to ye ki hum khud ush app lock se preshan ho jate hai, kyunki hume wo baar baar kholna padta hai.

2nd ye ki jab koi person hume ush app par lgaye gye passwords ke bare me puchhta hai to hume ushe uske password batane padte hai, jiske baad wo humare mobile me un apps ko use kar skta hai. Ish liye app locker app ko use karne ke koi matlab nhi hai.

To mera kehna yahi hai ki ager aap apne mobile me aise kisi app ko use karte hai to aapko ushe apne mobile me hide karke rkhna chahiye taki aapki privacy ko koi bhi nhi tod paye.


Android Mobile Me Apps Ko Hide Kaise Kare ?


To chliye abhi hum jan lete hai ki android mobile me installed kisi bhi application ko hide kaise karte hai ? to iske liye waise to aapko apne mobile me hi apps ko hide karne ka option mil skta hai. Lekin app hide krne ka option sabhi phones me nahi hota hai.

To ager aap aapke mobile ye option hai to apps ko hide karne ke liye aapko sabse pahle app drawer button par click karna hai. Uske baad jab aapke samne mobile me installed sabhi apps aa jaye to uske baad aapko 3 dots par click karna hai. wnha par aapko apps hide karne ka option mil jayega.

Iske alawa ager aapke mobile me apps hide karne ka option nhi hai to iske liye aapko niche btaye gye steps follow karne hai.

1. Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me ek application download karni hogi, jiska naam Calculator Vault hai. Ye ek bahut hi kmaal ka app hider app hai, kyunki ishe dekh kar kisi ko bhi pta nhi chlega ki iske ander aapne kuch hide kar rkha hai.

Kyunki ye dekhne me aur kaam karne me bilkul ek calculator ki tarh hota hai. Ish liye ager aap isme apne mobile ke apps ko hide krenge to kisi ko bhi pta nhi chlega ki aapne apne mobile me apps ko bhi hide kar rkha hai.

Calculator vault app hide app ko kaise download kare ? ishe abhi download karne ke liye yaha click kare.

2. Ishe download karne ke baad jab aap ishe pahli baar open krenge to aapko password set karne krne ke liye kaha jayega. So aap apne hisab se koi bhi password set kar le.

3. Uske baad ye app calculator ki trah open ho jayega. so aapko isme apna password type krna hai.

4. Uske baad ye calculator app hider app ke rup me open ho jayega aur isme aapko ek + Icon ( Add App ) ka button milega, aapko ush par click karna hai,

5. Uske baad aapke mobile me jitne bhi app honge wo sabhi aapke samne aa jayenge. Unme se aapko jis bhi app ko hide karna ho ushe select kar le aur Import Apps par click kar de.

Uske baad ush real app ki ek copy ush calculator vault app me copy ho jayegi. Yaad rakhe aap jis app ko hide karna chahte hai wo original app hide nhi hoga balki uski ush ek copy calculator vault app me hide ho jayegi.

Ish liye aapne jis bhi app ko hide kiya hai ushe original apps me se delete ya uninstall kar de aur aapko jab bhi ush app ko use karna ho to aap calculator vault app me jakar ushe use kar skte hai.


FAQ

Calculator Me App Kaise Chupaye ? 2024

Play store par aapko kai calculator hidden app mil jayenge jinhe phone me install karne ke baad aap unme dusre apps ko hide kar sakte hai.

Kya Hum Normal Calculator App Me Apps Hide Kar Sakte Hai ?

Nahi

App Hide Karne Wala App Konsa Hai ?

Aap play store me app hider type kar search kare aapko bahut sare apps mil jayenge.

Bina Kisi App Ke Apps Hide Kaise Kare ?

Bina kisi app ke apps hide karne ka feature sirf kuch company ke phone me hota hai, aap apne phone ki settings me jakar check kar sakte hai, agar aapke phone me inbuilt ye feature hai to aap bina kisi app ke apps hide kar sakte hai.

Phone App Ko Disable Kiye Bina Hide Kaise Kare ?

Aap play store se kisi app hider ko download kar lijiye usme aap phone apps ko hide kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apne mobile me kisi bhi app ko hide kar skte hai. To dosto ummid karta hu android mobile me apps ko hide kaise karte hai ? ye post aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- how to hide apps on android, how to hide apps on android without disabling,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ