How to Set Lock on Video || Video Par Lock Kaise Lgaye

How to Set Lock on Video || Video Par Lock Kaise Lgaye:-  Hello Friends Ish post me main aapko video par password set kar ke ushe lock kaise karte hai, iske bare me btaunga. So ager aapko bhi apne kisi personal video par password set karne ho ya ushe lock karna ho to ish post ko last tak jarur padhe.

How to Set Lock on Video || Video Par Lock Kaise Lgaye

Friends ish post me main aapko ek app ke bare me btaunga, jiski madad se aap apne android mobile se kisi bhi video par password set kar skte hai, na sirf video par balki ish app se aap kisi bhi media file par password set kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi main aapko ish app ke bare me bta deta hu aur isko use kaise karte hai ye bhi bta deta hu.

How to Set Lock on Video || Video Par Lock Kaise Lgaye


Friends sabse pahle to aapko play store me jakar ish application ko download karna hai, jiska naam 'Winrar' hai, iska short naam 'RAR' hai. Ye bahut hi achhi application hai, jiski madad se hum kisi bhi file ko password protected kar skte hai.

RAR app abhi download karne ke liye yaha click kare.

Ish app ko download karne ke baad aapko ishe open karna hai. Open karne ke baad iske ander aapke phone storage aur sd card ke sabhi folders aa jayenge. Aapko jis video par password lgana hai, aap ush folder me chle jaye.

lock video

Ush folder me aane ke baad aapko ush video ke samne ek box milega. Aap ush par click kar de, uske baad upper + ke icon par click kare.

Uske baad aisa page open ho jayega.

video par password kaise lgaye

Ynha par aapko 'SET PASSWORD' par click karna hai aur new page me ush video ke liye password create karne hai aur phir OK par click karna hai. Uske baad aap dekh payenge ki ushi folder me ush video ki ek new copy ban jayegi, jis par password set ho chuke hai.

Note:- Aapne jis video par password lgaye hai, aap ush original video ko delete kar de. Kyunki jo original video hai wo bina password ke bhi open ho jayega. Ish liye ushe delete kar de aur ush video ki new copy jo ushi folder me tyar ho gyi hai, sirf ushe hi apne mobile rakhe. Kyunki ushe koi bhi bina password ke open nhi kar payega.


FAQ Related to Set Lock on Video

Kya Hum Video Par Lock Lga Sakte Hai ?

Ji Haa, ham kisi bhi video par log lga sakte hai, par iske liye hame ush video ka file format change krna hoga.

Video Lock Krne Wala App Konsa Hai ?

Winrar app se hum kisi bhi video par password lga sakte hai.

Video Lock Kaise Kare ?

Video ko zip ya rar file me convert krke ham ush par lock lga sakte hai.

Video Par Lock Lgane Ka Trika Kya Hai ?

Winrar app se video ko zip ya rar file me convert krke ush par lock lgaya ja sakta hai.


Ye Bhi Padhe...

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ