Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre

How to lock whatsapp chat on android phone:- Friends aap whatsapp to jarur use krte honge, kyunki whatsapp ek bahut hi popular messenger app hai, jo ki hume entertain to karta hi hai sath hi iske dwara hum apne friends aur family members se bhi contact me rehte hai.

Whatsapp par hum daily apne friends aur family members ke sath chatting karte hai aur sath hi whatsapp groups ko bhi enjoy karte hai. Ab whatsapp par humari aisi bahut saari personal aur group chats hoti hai, jinke bare me hum nhi chahte ki unhe koi bhi dekhe ya padhe.

To ish liye ush chat ko dusro se hide krne ke liye hum normally 2 methods use krte hai.

1st:-  Ya to hum wo chatting complete hone ke baad ushe delete kar dete hai. But kai baar hum ushe delete krna bhul jate hai. Ish liye ye trika sahi nhi hai.

2nd:- Hum ush chat ko Archive Chat me daal kar ushe hide kar dete hai. Whatsapp par kisi bhi chat ko hide kaise kare ? janne ke liye ynha click kare.

But chat ko hide karne wala trika bhi abhi jyada safe nhi rha, kyunki aaj kal iske bare me sabhi jante hai. Ish liye ush chat ko whatsapp me se hide karne ke baad bhi ushe koi bhi padh skta hai aur aapke liye problems create ho skti hai.

To ish problem ka solution main aapko ish post me batane wala hu. Ish post me main aapko aise 2 trike btayenge jinki madad se aap whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai.

Whatsapp par chat kaise lock kare, kya me whatsapp par ek chat lock kar skta hu, chat lock whatsapp in India, 

Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre

Yaha btaye gye trike se aap apni personal whatsapp chat ko bilkul waise lock kar skte hai jaise hum mobile me kisi app par lock lgate hai. Yaha ham aapko 2 trike btayenge jinme se ek trike me aapko whatsapp me hi chat lock krne ka option mil jata hai wahi dusre trike me aapko ek app download krna pdega, Ish app ki madad se aap kisi bhi whatsapp chat par password set kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...


Whatsapp Par Chat Kaise Lock Kare

1. Iske liye sabse pahle wo whatsapp chat open kare jise lock krna hai.

2. Fir ush person ke naam par click krke uski profile open kare.


3. Uski profile me aapko Chat Lock ka option milega, isko on kare de. Jab aap isko on krenge to aapko apna finger lock lgana pdega, to aap wo lga de.

Jaise hi aap finger lgayege wo chat aapki whatsapp chat list se hide ho jayegi. Agar aapko wo chat dekhni ho to aapko whatsapp chat list ko niche ki traf drag krna hai, fir aapko Locked Chat ka option milega.


Ish option par click krne par pahle aapse aapka finger lock unlock krna hoga, uske baad aapki locked chat aapko dikhai jayegi.


Ish prkar se aap whatsapp app me majud ish feature ki madad se kisi bhi chat par finger lock lga skte hai. But agar aapko password wala lock lgana ho to iske liye aapko dusra trika kaam me lena hoga.

Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre


To chliye abhi hum aapko ush app ke bare me bta dete hai. Ish app ka naam 'Whatsapp Chat Locker' hai. ye app aapko play store par aasani se mil jayega. Ish liye aap ishe wnha se download kar skte hai. 

Whatsapp Chat Locker aap abhi download krne ke liye yaha Whatsapp Chat Lock App Download

App ko download krne ke baad ishe open kre. Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.

Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre

1. Yaha par aapko ek new password set krna hai.

2. Yaha par aapko wahi password phir se dalna hai.

3. Yaha par aapko apne password se relative hi kuch hint set krna hai. Taki ager aap iske password bhul bhi jaye, to ye hint dekh kar aapko wo password yaad aa jaye.

4. Last me OK par click kar de.

Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.

whatsapp chat lock apps

Yaha par aapko + par click krna hai. Uske baad aapko 5 options milenge.


Aapko 1st option yani ki 'Lock Whatsapp Chats' par click krna hai. Uske baad aapke samne ek massage show hoga. Jisme ish app ki Accessibility ko On krne ke liye kha jayega.

Aapko OK par click krna hai. Uske baad aapke mobile setting ki accessibility open ho jayegi. Wnha par aapko WhatsApp Chat Locker ki accessibility ko On kar dena hai, aur phir back jana hai, Uske baad aap wapas ush aap me pahunch jayenge.

Phir aapko wapas + icon par click krna hai, aur phir aapko bilkul waise hi 5 options milenge. Aapko phir se Lock WhatsApp Chat par click krna hai.

Uske baad phir se aapke samne ek massage show hoga.

Aapko OK par click krna hai. OK krne ke baad aapka whatsapp open ho jayega. Ab aapko jis chat par password set krna hai ush par click kre.

Click krte hi aapki wo chat lock ho jayegi aur aap wapas ush app me chle jaoge. Ager aap aur bhi chats ko lock krna chahe to bilkul waise hi (+) icon par click krke aap aur bhi chats par password set krke unhe lock kar skte hai.


FAQ

Whatsapp Chat Lock Krne Wala App Konsa Hai ?

Waise to abhi whatsapp me hi chat lock krne ka feature aa gya hai jiske bare me ish article me btaya gya hai, fir bhi aap Whatsapp Chat Locker app download krke apni chat par lock lga sakte hai.

Whatsapp Chat Par Password Lock Kaise Lgaye ?

Whatsapp me inbuilt chat lock se ham sirf fingerprint lock lga sakte hai. Agar aapko password lock lgana ho to iske liye aapko koi chat lock app download krna pdega.

Kya Ham Apni Whatsapp Chat Par Password Lock Lga Sakte Hai ?

Ji haa, aap aisa kar sakte hai. Whatsapp chat lock krne ke liye aap kisi app ko bhi use kar sakte hai aur whatsapp me bhi abhi chat lock feature aa gya hai to aap uska istemal bhi kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap Whatsapp me apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai. To dosto ummid krta hu ki ye post Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share jarur kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ