Kisi Bhi Photo Par Lock/ Password Kaise Lgaye

How to put password on photos in android phone:- Ish post main aapko btauga ki apne android mobile me kisi bhi photo ya image par password set karke kar lock kaise lgate hai. To friends ager aap bhi apni kisi personal photo par lock lga kar ushe private rkhna chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe.

Kisi Bhi Photo Par Password Set Karke Lock Kaise Lgaye

Friends hum sabhi ke pass aisi bahut si personal photos hoti hai like girl friend ki, jinhe hum dusro ko dikhana nhi chahte aur unhe private rkhna chahte hai. Iske liye waise to aap kisi file hider app ko use karke ush me bhi photos ko hide kar skte hai. Lekin ye trika sahi nhi hai, kyunki pahli baat to ye ki ush app me humari photos safe nhi kyunki usme se wo kabhi bhi delete ho skti hai.

Dusri baat ye ki maan lijiye ki aap un me se kisi photo ko apne kisi best friend ya gf ko send karte ho aur aap nhi chahte ki uske alawa wo photo koi na dekh paye to ye trika aapke bahut kaam aayega. Kyunki ager aap ush image par lock set kar denge to bina password dale koi bhi ush photo ko nhi dekh payega, phir chahe ush photo ko kisi bhi mobile me send karke open karne ki kosis kar lo.


Ish liye apni photo ko safe aur private rakhne ka ye sabse best trika hai. To chliye abhi main aapko btata hu ki apne android mobile me kisi bhi image par password set karke ushe lock kaise karte hai. Iske liye humne kuch steps btaye hai, unhe follow kare.

Kisi Bhi Photo Par Lock/ Password Kaise Lgaye


Step:- 1
Iske liye sabse pahle aapko play store me jakar ek app download karna hoga, jiska naam 'Image To Pdf Converter' hai. Image To Pdf Converter app abhi download karne ke liye yaha click kare.

Photo lock krne wala app ke bare me ek baat main aapko abhi bta deta hu, aur wo ye hai ki jab ish app ki madad se aap kisi bhi image par lock set karenge to ye app ush image ko pdf file me convert kar dega. Lekin ish se aapki image par koi effect nhi padega, balki ush ki quality pahle se jyada better ho jayegi. Effect sirf uske type par padega, matlab ki wo image jpg se pdf file me convert ho jayegi. Lekin wo image bilkul waisi hi rehegi jaisi pahle thi.

So ager aapka main aim photo par lock set karna hai to aap isko use kar skte hai. To chliye abhi hum aage baat karte hai ki ish app ko kaise use karna hai.

Step:- 2
photo lock app download karne ke baad aapko simply ishe open karna hai, uske baad iska interface kuch ish trah se open ho jayega.


Yaha par aapko  +  ke icon par click karna hai, aur ush photo ko select karna hai, jis par aap lock set karna chahte hai. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko pdf icon par click karna hai.

Step:-3
Uske baad aisa page open hoga.


1. Yaha par aapko new pdf file ka yani photo ka naam likhna hai.

2. Yaha par aapko password protection par click karna hai, uske baad aapke samne password set karne ka option aa jayega.

3. Yaha par aapko photo ke liye password type karne hai.

4. Last me ok par click kar de. Abhi aap file manager me jaye, wnha par aapko IMGTOPDF naam ka folder milega. Usme wo photo jo ab pdf file me convert ho chuki hai, wo aapko mil jayegi.


FAQ

Kya Hum Apni Photo Ko Lock Kar Sakte Hai ?

Ji haa, aise kuch apps hai jinse aap photo ko lock kar sakte hai.

Photo Par Lock Lgane Wala App Konsa Hai ?

Image To Pdf Converter app se ham kisi bhi photo par lock lga sakte hai.

Photo Par Password Lgane Wala App Download Kaise Kare ?

Aap apne mobile me play store me jakar photo Apr password lgane wala app download kar sakte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ab ush file ko jab bhi koi open karega, to pahle usko password type karne honge. Aap chahe to open karke try kar le. To ish trike se aap kisi photo par password set karke ushe lock kar skte hai. To friends ummid karta hu ki aapko ye jankari achhi lgi hogi.

Ager aapko humari posts free me apne mail-box me chahiye to aap niche apni email id dalkar dainiktricks ko subscribe kar skte hai.

Tags:- photo me password kaise lgaye, photo lock app, photo me password kaise lgaye, password protected photo

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ