Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare

How can I recover deleted audio and video:- Dosto aaj tak aapne aisi kai post padhi hongi ya video dekhe honge jinme mobile se delete files ko recover karne ke bare me btaya gya hai, but un posts aur videos me btaye gye triko se aap sirf mobile se delete photos ko recover kar skte hai, baki other files jaise video, audios, apk etc ko recover nhi kar sakte hai.

Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare

Lekin aaj ish post me main aapko ek aise aisa trika btauga, actually ek app ke bare me btauga. Jiski madad se aap apne android mobile se delete kisi bhi file phir chahe wo photo ho ya video ya other koi file ho, usko aap recover kar skte hai.

Dosto main jis app ke bare me aapko batane wala hu, wo app android mobile me bilkul waise hi kaam karta hai, jaise ki Recycle Bin ek computer me karta hai. Jis trike se hum computer se delete ho chuki files ko Recycle Bin se recover kar skte hai, bilkul waise hi hum ish app ki madad se apne android mobile se delete ho chuki kisi bhi file ko recover kar skte hai.


Android Mobile Se Delete Videos, Audios, Photos Ko Kaise Recover Kare


To chliye ab hum ush app ke bare me baat karte hai. Lekin ush se pahle ham aapko btana chahege ki aaj kal sabhi android phone me gallery se delete photo aur video gallery me hi mojud Bin/ Trash Folder me chli jati hai. Isliye agar aap gallery se delete photo video recover krna chahte hai to ek baar apni gallery ke Trash/ Bin folder ko jarur check kare, kya pta ushi me aapko aapka delete data mil jaye.


Yaha ye folder Recently Deleted naam se hai.

To ye to thi gallery me inbuilt trash bin ki, chliye abhi ham aapko ish app ke bare me batate hai.


Friends ush app ka naam 'Dumpster' hai, jo aapko play store par aasani se mil jayega. Dumpster app abhi download karne ke liye yaha click kare. Ye size me lagbhag 12MB ka hai. Ab tak play store par iske 10 million downloads chuke hai. Ish app ko download karne ke baad aapko simply ishe open krna hai.


Open krne par iska interface kuch ish trah se open hoga. Yaha par aapko 2 options milenge.

1. Yaha par click krne par aapko tutorial dikhaya jayega ki aap kaise delete files ko recover kar skte hai.

2. Ager aap tutorial nhi dekhna chahte to skip intro par click kar de.

Uske baad aisa page open hoga.


Yaha par aapko ek photo milegi jise aap delete kar ke wapas recover karke dekh skte hai ki ye app thik se kaam kar rha hai ya nhi. Ager aap ush photo ko delete karna nhi chahte to upper skip par click kar de.

Uske baad aap apni gallery ya file manager me jakar kisi bhi file ko delete kar de aur Dumpster ko open kare.

Dumpster app ko open karte hi aapko wo file mil jayegi.


Ager aap ush file ko wapas recover krna chahe to file par click kare, uske baad aapko recover ka option mil jayega. Aap bas ush par click kar de. Aapki wo file wapas ushi folder me recover ya store ho jayegi, jis folder me wo pahle store thi.


FAQ

Mobile Delete Ho Chuke Purane Photo Video Wapas Kaise Laye ?

Dumpster aur DiskDigger app se aap apne mobile se delete purane photo video recover kar sakte hai.

Mobile Se Delete Photo, Video Wapas Lane Wala App Konsa Hai ?

Dumpster aur DiskDigger app se hum mobile se delete photo video wapas la sakte hai.

Bina Kisi App Ke Delete Media Files Wapas Kaise Late Hai ?

Humare phone ki gallery me Trash/Bin naam se ek folder hota hai jiski madad se hum delete media files wapas la sakte hai.

30 Din Ke Baad Delete Photo/Video Wapas Kaise Laye ?

Agar photo video delete huye 30 se adhik samay ho gya hai to aap Dumpster aur DiskDigger app se aap unhe recover kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

Note:- Ish App se hum sirf unhi files ko recover kar skte hai, jo humne ish app ko download karne ke baad apne mobile se delete ki hai.

To ish trike se aap ish app ki madad se apne mobile se delete kisi bhi file jaise photos, videos, audios ya other kisi bhi file ko recover kar skte hai. Ager aapko ish app ko use krne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Tags:- photo video recovery app download, photo and video recovery online, delete video recovery, gallery se delete photo kaise laye

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ