Whatsapp Me Youtube Videos Ko Kaise Chlaye

Hello friends aaj ish post me main aapko btaunga ki whatsapp ke ander youtube videos ko kaise chlate hai ? so ager aapko iske bare me janna hai to ish post ko last tak jarur padhe.

Note:- Dosto abhi whatsapp me bhi youtube video ko chlane ka feature aa chuka hai isliye aapko alag se kisi aur app ko download karne ki jarurt nahi hai. Whatsapp me YouTube video chlane ke liye aap simply youtube link ke preview par click kare video play ho jayega.

Whatsapp Me Youtube Videos Ko Kaise Chlaye

Friends hum sabhi whatsapp application me bahut sare groups me add hote hai, aur aaj kal whatsapp groups me koi joke, shayri, photos ya videos aaye ya na aaye but youtube videos jarur aa jate hai.

Ye Bhi Padhe...

Waise dekha jaye to iska main reason jio hai. Kyunki jio ke aane ke baad hi jyadater logo ne youtube par videos dekhna start kiya hai. Kyunki entertainment ke liye youtube ek bahut hi achha platform hai, jaha par hume sabhi trah ke videos mil jate hai.

Abhi kyunki youtube ko internet users kuch jyada hi use karne lge hai ish liye hume whatsapp ke ander bhi normally ye mil jate hai, aur jab hume unko open karna hota hai iske liye hum youtube application me redirect ho jate hai, aur hum whatsapp se nikal kar youtube me chle jate hai.

Ishi baat ko dhyan me rakhte huye mene ye post likhi hai. Isme main aapko ek aisi application ke bare me btauga, jiski madad se aap whatsapp ke ander hi youtube video ko chla skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ish App ki madad se aap sirf Whatsapp ke ander nhi balki android mobile ki kisi bhi application me youtube videos ko chla skte hai, jab aap ish application ki madad se youtube videos ko chlayege to wo video aapke mobile ki screen par ek chhoti jgah me bhi play ho jayega, jaise ek computer ya laptop me hota hai, ish liye aap mobile me baki kaam bhi sath sath me kar skte hai.

Whatsapp Me Youtube Videos Ko Kaise Chlaye


To chliye abhi main aapko ush application ke bare me bta deta hun. Ush application ka naam ‘Bubble Tube’ hai. Sabse pahle aapko play store se ish application ko download karke phone me install karna hai.

Ish application ko abhi download karne ke liye ynha click kare

Install karne ke baad ishe ek baar open kare aur uske baad wapas close kar de.

Abhi aapko whatsapp ke ander jana hai aur ush youtube video par click karna hai, jise aap chlana chate hai. Ush video par click karne ke baad aapse puchha jayega ki aap ish video ko konsi application me open karna chahte hai. Wnha par aapko Bubble Tube par click karna hai.
Uske baad ish trah se aapki mobile ki screen par wo video chlna start ho jayega.


1 Yaha par long click karke ke aap ish floated video ko phone ki screen par knhi bhi le ja skte hai.

2 Yaha se aap iski size thodi badi kar skte hai.

3 Yaha par click karke aap isko full size me kar skte hai.

4 Yaha se aap ishe close ya band kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap Bubble Tube app ki madad se youtube videos ko whatsapp ke ander bhi chla skte hai. Ager aapko ish app ko use krne me koi problem aaye ya aapka koi swal ho to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ