Whatsapp Status Photo Aur Video Kaise Download Kare

Whatsapp Status Image, Video Aur GIF Ko Kaise Download Kare:- Hello friends Recently whatsapp me status ko lekar ek new update hua tha, jisme ab hum kisi bhi image video ya gif file ko 24 hours ke liye as a story status rakh skte hai. Shuru shuru me users ne ish update ko pasand nhi kiya tha, ish liye bahut hi kam log ishe use karte the. But ab lagbhag sabhi whatsapp users ne ish update ko pasand krna shuru kar diya hai, ish liye whatsapp ke jyadatar regular users apne whatsapp status me daily photos, videos aur gifs dalte rehte hai.

Whatsapp Status Image, Video Aur GIF Ko Kaise Download Kare

Whatsapp me status dalne walu me se humare friends bhi hote hai, jo lagbhag daily whatsapp status dalte hai. Ab kai baar aisa hota hai ki hume humare friend ka dala hua koi status pasand aa jata hai aur hum ushe apne mobile me save krna chahte hai, but hum aisa nhi kar pate hai.

Kyunki whatsapp ke ander aisa koi option nhi hai, jis se ki hum kisi ke status ko apni gallery me save kar ske ya download kar ske. Ish liye hum apne friends ke whatsapp status ko download nhi kar pate hai.

But aaj ish post me main aapko ek trika bataunga jiski madad se ab aap whatsapp status ki kisi bhi image, video ya gif file ko apne mobile me download kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Whatsapp Status Photo Aur Video Kaise Download Kare


Whatsapp status ko mobile me download karne ke liye sabse pahle aapko google play store se ek app download krna hoga. Jis se hum aisa kar skte hai. App download karne ke liye aapko play store me jakar search box me 'Save Whatsapp Status' likh kar search krna hai.

Uske baad aapke samne bahut se app aa jayenge.

Whatsapp Status Image, Video Aur GIF Ko Kaise Download Kare

Search result me aane wale lagbhag wo sabhi apps jinki rating 4 se upper hai, wo thik se kaam karte hai. Ish liye aap un me se kisi bhi app ko download kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...
In apps ko use krna bahut hi aasan hai. Mene inme se 3, 4 apps ko use karke dekha hai. Inme se jyadatar apps ko use krne ka trika same hai. Jab aap inme se kisi bhi app ko download karke open karenge, to aapke samne kuch ish trah ka page open hoga.


Yaha par aap dekh payenge ki aapke contacts dwara upload kiye huye sare image aur video status alag alag category me aa jayenge. Aap jisko download krna chahe ushe download kar skte hai. Download karne ka option aapko wnhi par mil jayega.


FAQ

Kya Hum Whatsapp Status Download Kar Sakte Hai ?

Ji ha aap aisa kar sakte hai, whatsapp status download karne ke liye aapko play store par bahut sare apps mil jayenge.

Whatsapp Status Download Karne Wala App Konsa Hai ?

Aap play store me whatsapp status downloader type karke search kare aapko bahut sare apps mil jayenge.

Bina Kisi App Ke Whatsapp Status Kaise Download Karte Hai ?

Aap apne file manager me WhatsApp folder me hidden folders dekhe aapko Status naam se ek folder milega, ush me aapko sabhi ke whatsapp status dekhne ko mil jayenge.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap whatsapp ke kisi bhi image, video aur gif status ko aasani se download kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai. Friends ager aapko ye jankari achhi lge to ish post ko apne friends ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ