Facebook Videos Kaise Download Kre, Bina Kisi App Ke

Facebook Videos Kaise Download Kre, Bina Kisi App Ke:- Hello friends Aaj ish post me main aapko btaunga ki facebook videos ko bina kisi app ke kaise download krte hai. Ager aapko abhi tak ye nhi pta ki facebook videos ko kaise download karte hai, to aap ish post me btaye gye trike se aasani se un videos ko download kar skte hai.

Facebook Videos Kaise Download Kre, Bina Kisi App Ke

Friends ho skta hai ki aapne ish se pahle bhi kuch post padhi hongi, jinme iske bare me btaya gya ho but un me facebook videos download krne ke liye kisi na kisi app ke bare me btaya gya hai. But ish post me main aapko ek aisa trika btaunga, jiski madad se aap bina kisi app ke bhi facebook video download kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye ab hum topic par aate hai aur facebook videos ko download kaise karte hai, iske bare me baat krte hai.

Facebook Videos Kaise Download Kre, Bina Kisi App Ke


Iske liye humne kuch steps btaye hai, unhe follow kre.

Step:- 1
Sabse pahle aapko apne mobile ke chrome browser me jana hai aur url me m.facebook.com type karke search krna hai.

Aapko sirf chrome browser me hi jana hai kyunki ye trick sirf ushi me kaam kregi, iske alawa aapko URL me bhi m.facebook.com hi dalna hai, kyunki ye trick sirf facebook ke mobile version me hi kaam kregi.

Step:-2
Uske baad aapko apne mobile/email and password dalkar log in krna hai.

Step:- 3
Abhi aapki profile open ho jayegi, ab aapko ush video ko search krna hai, jise aap download krna chahte hai,.

Step:-4
Jab aapko video mil jaye to sabse pahle aapko ushe play krna hai, uske baad video par knhi bhi ek jgah long press karke rkhna hai.

Jab aap video par long press karke rkhenge to aapke samne video ko download karne ka option aayega.


Jab aapko download video ka option mil jaye to simply ush par click karke aap ush video ko download kar skte hai.

Ek baat ka dhyan rakhe ki video par long press krne se pahle ushe play kar le, ager aap aisa nhi krenge to aapko download ka option nhi milega. Ish liye video ko download krne se pahle ek baar ushe play karle.

To ish trike se aap bina kisi app ke facebook se koi bhi video download kar skte hai, ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


To friends ummid krta hu ki aapko ye post Facebook Videos Kaise Download Kre, Bina Kisi App Ke pasand aayi hogi. Ager aapko humari posts free me apne email inbox me chahiye to aap niche apni email id dalkar humari website ko subscribe kar skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ