Facebook Account Se Photos Aur Videos Chori Honi Se Kaise Bchaye

Facebook Account Se Photos Aur Videos Chori Honi Se Kaise Bachaye:-  Hello friends Ager aap ek facebook user hai aur normally apni photos aur videos facebook account par share krte hai lekin unki privacy ko lekar hmesha preshan rehte hai to ish post last tak padhiyega kyunki ye aapke liye bahut helpful hone wali hai.

Facebook Account Se Photos Aur Videos Chori Honi Se Kaise Bchaye

Ish post me main aapko kuch security tips btauga jinki madad se aap apne facebook account par apni photos aur videos ko safe bhi rakh payenge aur unhe apne friends ke sath bhi share kar payenge.

Ji ha dosto aaj me aapko facebook ki kuch security settings ke bare me btauga jinki madad se aapke dwara share ki gyi photos aur videos sirf aapke select kiye hue friends ke sath hi share honge, baki kisi ko bhi wo dikhai nhi degi. Ya ager aap chahe to unko completely hide bhi kar skte hai. Phir wo kisi ko bhi dikhai nhi degi.

Sabhi facebook users ( normally girls aur ladies ) ko apne account se data ( photos aur videos ) ke chori hone ka darr hmesha lga rehta hai. Kyunki hackers unka galat istemaal krte hai.

Iske example aap roj facebook par dekhte honge. Aapne kai baar ishi post dekhi hogi jin me girls aur ladies ki photos hoti hai aur unke sath gnda sa status bhi hota hai. Actually in posts me use ki gyi photos un facebook account se hi churai hui hoti hai jo apne photos ki security par jyada dhyan nhi dete.

Ager aap bhi unhi me se ek hai aur apni posts ki security par jyada dhyan nhi dete to sambhl jaye. Kyunki apne facebook account par photos aur videos ko secure na rakhne ki wajah se wo kabhi bhi chori ho skte hai. Aur hackers unka galat istemaal kar skte hai. Ish liye apne facebook account ko fully secure rakhe.

Ish post me main aapko photos aur videos ko secure rakhne ke bare me btauga. To chliye ab shuru krte hai.

Facebook Account Se Photos Aur Videos Chori Honi Se Kaise Bachaye


Yaha par me aapko do trike btauga. Jinki madad se aap apni photos ki privacy change karke unhe safe rakh skte hai.

1st:- Single photo ki privacy change karke ushe safe krna.

2nd:- Pure album ki privacy change karke unhe safe krna.

Sabse pahle main aapko 1st trika btata hu. Iske through aap kisi bhi single photo ki privacy change karke ushe apne account se hide kar skte hai ya apne select kiye hue friends ke sath share kar skte hai

Must Read

To iske liye sabse pahle to aapko apne mobile ke facebook app ko open krna hai aur apne account timeline me jana hai.

Uske baad aap apni timeline se ush photo par jaye jiski privacy aapko change krni hai. Niche image me dekhiye.

facebook photos

Yaha par ush post ke samne ek down arrow ka icon dikhai dega, aapko ush par click krna hai. Uske baad aapko kuch options milenge, aapko 'Edit Privacy' par click krna hai.

Uske baad aapke samne aisa page open hoga.

facebook settings

Yaha par aapko kuch options milenge ki aap ish post ko kin kin ke sath share krna chahte hai.

1. Ishe select krne par aapki post ko koi bhi facebook user dekh skta hai.

2. Ishe select krne par sirf aapke friends hi aapki post ko dekh skte hai.

3. Ager aap apni friend list me se sirf kuch friends ko chhod kar baki sabhi ke sath apni post ko share krna chahte hai to aap ishe select kar skte hai. Ish par click krne ke baad aapki facebook friend list aapke samne aa jayegi. Aap jin jin friends se post ko hide krna chahte hai unhe select karke save kar de.

4. Ager aap sirf apne khas friends ke sath hi post share krna chahte hai to aap ishe select kar skte hai. Ish par click krne ke baad aapke friends ki list aapke samne aa jayegi phir aap jin jin friends ko select krenge wo post sirf unhi ke pass jayegi.

5. Ager aap apni post ko fully private rakhna chahte hai aur kisi ke bhi sath share nhi krna chahte to ishe select kar le.

6. Ish par click krne par aapko aur bhi kai options milenge.

Inme se sabse better yahi rhega ki aap 4 ya 5 no. ka option hi select kre. Ya phir ager aap apne sabhi facebook friends ko personally jante hai to 3rd option bhi select kar skte hai.

To ish trike se aap apni kisi bhi post yani photo ya video ki privacy change karke ushe safe rakh skte hai. Ab me aapko dusra trika btata hu.

Ish trike se aap apne facebook account se pure ke pure photo album ki privacy change karke ushe strangers aur chahe to apne friends se bhi hide kar (chhipa) skte hai.

Must Read

Pure album ki privacy change krne ke liye aapko photos par click karke 'Albums' me jana hai. Aur phir jis album ki privacy aap change krna chahte hai ush par click kre.

Note:- hum sirf ushi album ki privacy change kar skte hai jo aapne manually bnaya hai. Facebook dwara automatic bnaye gye album ki privacy hum change nhi kar skte.

Album par click krne ke baad aisa page open hoga.

facebook settings

Yaha par aapko upper right side me 3 dots milengi, aapko un par click krna hai.

Uske baad aapko ek 'Edit' ka option milega, ush par click krna hai.

Uske baad aisa page open hoga.


Yaha par click karke aap apne hisab se album ki privacy set kar skte hai aur apni photos aur videos ko safe rakh skte hai.


FAQ

Humari Facebook Photo Ko Koi Bhi Download Na Kar Paye Iske Liye Kya Kare ?

Agar aap dusro ko apni photo download krne se rokna chahte hai to aap apni profile ko lock kar sakte hai, ya apni photos ki privacy Friends ya only me select kar sakte hai.

Humari Photos Facebook Se Koi Chura Rha Ho To Kya Kare ?

Agar aap nahi chahte ki facebook se aapki photo koi bhi download kare ya dekhe to aap apni photos ki privacy Friends ya only me select kar skte hai.

Facebook Friends Ke Alawa Humari Photo Kisi Ko Nahi Dikhni Chahiye Iske Liye Kya Kare ?

Iske liye aap apni profile ko lock kar sakte hai. Facebook Profile Lock कैसे करे ? पूरी जानकारी

Agar Koi Humari Facebook Photos Chori Kar Rha Ho To kya Kare ?

Aap apni facebook profile ko lock kar dijiye fir koi bhi aapki facebook photos chori nahi kar payega.


To friends aapko ye jankari kaisi lgi hume comment karke jarur btaye, aur post Facebook Account Se Photos Aur Videos Chori Honi Se Kaise Bchaye achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kre.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ