Top 7 Android Cricket Games Download Kare

Top 7 cricket games for android:- Friends ager aap India se hai ya India ke hi kisi padosi desh se hai, to aapko cricket matches to bahut pasand hi honge. Kyunki india me cricket ko ek festival ki trah mnaya jata hai. Jab bhi India me IPL matches ya koi other cricket series shuru hone wali hoti hai to sabhi uska excitement ke sath intzaar karte hai.

Ager aap bhi cricket ke bahut bade fan hai aur apne android mobile me bhi cricket games khelna pasand karte hai to ye article aapke liye bahut hi important shabit ho skta hai. kyunki ish article me hum aapko android mobile ke aise Top 7 cricket games ke bare me btayenge, jinke graphics aur gameplay bahut hi shandaar hai.

Top android cricket games download kaise kare

To chliye abhi aur adhik time waste na karte huye hum android mobile ke in top 5 cricket games ke bare me jan lete hai.

Top 7 Android Cricket Games Download Kare


1. Cricket Carrier 2016

Friends ager aapko realistic games pasand hai to ye aapke liye sabse best cricket game rhega. Kyunki ish game ko start karte samay hume isme ek player create krna pdta hai. Uske baad sabhi matches me hum sirf ush ek player ko hi control kar skte hai.

Ish game me alag alag levels hoti hai, jaise Under 19, State Level, Under 19 World Cup etc. Ager aap in levels me achha khelte ho to aapko IPL aur International Matches me bhi khelne ka moka milta hai. Ye sabse best cricket games me se ek hai.

Ish game ko aap play store me jakar ya abhi niche download button par click karke download kar skte hai.



2. World Cricket Championship - 2

Ish game ke graphics aur gameplay dono hi bahut shandaar hai. Isme aapko bahut sare tournaments milenge jinhe aap play kar skte hai. Isme aapko batsman ke bahut hi shandaar shandaar shots dekhne ko bhi mil jayenge. Ish game ki sabse badi khas baat ye hai ki isme aap hindi commentary sun skte hai.

Yani ki ishe hum ek trike se hindi commentary wala cricket game bol skte hai. But ye size me thoda heavy hai. Ish liye ager aapka handset purana hai ya uski storage kam hai to ye game aapke mobile me achhe se kaam nhi krega.

Ish game ko aap play store se ya abhi niche download button par click karke apne mobile me download kar skte hai.



3. World Cricket Battle

Ye bhi cricket ke sabse shandaar games me se ek hai. Isme aapko lagbhag wo sabhi features milenge jo ki ek real cricket match me hote hai jaise Net Practice, Bat and Bowl Change, Hat/Cap Change During Play, Commentary Box, etc.

Ish game ke graphics bahut hi achhe hai. So ager aapko graphics wale games pasand hai to ye game bhi aapko bahut pasand aayega. But ye game bhi size me thoda sa heavy hai.

Ish game ko aap play store se ya abhi niche click karke download kare skte hai.



4. Real Cricket 20 

Friends ye bhi ek bahut hi achha cricket game hai, jisme IPL ki trah players ki neelami hoti hai. Sath hi isme hume presentation & ceremonies jaise extra features bhi mil jate hai. Ish game ko khel kar aapko bahut maza aane wala hai kyunki isme bahut hi drama aur action bhi hota hai. But ye game size me thoda heavy hai. Ish liye ager aapka phone purana hai ya kam storage wala hai to aap ishe thik se nhi khel payenge.

Ish game ko bhi aap play store se ya abhi niche download button par click karke download kar skte hai.



5. World Cricket Championship

Ye Game world cricket championship ka first part hai. Ager aapke phone ki storage aur ram kam hai to aapke liye ye game sabse best rhega. Kyunki ye size me baki games se thoda lite hota hai.

Ye game low size me sabse best cricket games me se ek hai. Isme aapko kai tournaments aur quick play matches mil jayenge. Jinhe aap apne mobile me khel skte hai.

Ye game bhi aapko play store par mil jayega, ya aap chahe to niche download button par click karke bhi ishe download kar skte hai.



6. Sachin Saga Pro Cricket

Ager aap Sachin Tendulkar ke fan hai to ish game se behtar aapke liye koi dusra game nhi ho skta hai. Ish game me aap sirf ms dhoni ko control kar skte hai.

Isme aapko bahut sare stadiums milenge. Sath hi isme aapko Real Time Multiplayer feature bhi mil jata hai. Jiske dwara aap real time me apne kisi dost ke sath ye cricket game khel skte hai.

Ish game ko bhi aap play store se ya abhi niche download button par click karke download kar skte hai.



7. World of Cricket

Ish game ko best android cricket game list me add krne ki sirf ek hi wajah hai, aur wo hai iski low size. Ye low size ka sabse best cricket game hai. Ye game aapke purane se purane aur kam storage wale mobile me bhi bahut hi achhe se kaam krega. Ish liye ager aapke phone ki storage bahut hi kam hai aur usme World Cricket Championship game bhi achhe na chal rha ho to ye aapke liye sabse best cricket game rhega.

Ish game me aapko lagbhag sabhi bade tournaments khelne ke liye mil jayenge. Jaise World Cup, Aisa Cup, T-20 World Cup etc.

Ish game ko bhi aap play store se ya abhi niche download button par click karke download kar skte hai.


To ye the android mobile ke liye top 5 cricket games jinhe khel kar aapko ab tak ke sabse best cricket games ka experience hone wala hai.

FAQ Related to Cricket Games


Top 5 Android Cricket Games Konse Hai ?

Android mobile ke liye top 5 cricket games ki list ye hai.

1. World Cricket Championship

2. World Cricket Battle

3. Real Cricket 20 

4. Sachin Saga Pro Cricket

5. World of Cricket

Android Mobile Ke liye No. 1 Cricket Game Konsa Hai ?

World Cricket Championship game android mobile ke liye no. 1 cricket game hai.


Multiplayer Cricket Game Konsa Hai ?

Sachin Saga Pro Cricket game me aapko multiplayer feature milta hai.


Ye Bhi Padhe...


To friends I hope ki Android mobile ke sabse best cricket games kaise download kare ? Ye article aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- best cricket game for android with high graphics, best cricket game for android 2024, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ