How to Download New and Latest Apps and Games from Play Store ?
Friends aaj ish post me main aapko btaunga ki play store par jab bhi koi naya app ya game aata hai to uska pta kaise karte hai ya play store se new aur latest application kaise download karte hai. Ish liye ager aapko iske bare me janna hai to ish post ko last tak jarur padhe.So ager aap ek youtuber hai to ye aapke aur bhi jaruri ho jata hai,Iske alwa ager aap ek normal android user hai tab bhi aapko iske bare pta hona bahut jaruri hai. taki aapko android mobile ke liye new aur latest applications ke bare me pta rahe aur aap sabse pahle un apps ya games ko use kar ske.
To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye topic par aate hai aur baat karte hai ki play store se new aur latest application ya game ko kaise pta karte hai ya unhe kaise install karte hai ?
To iske liye sabse pahle to aapko apne mobile me play store ko open karna hai, uske baad google play store ka home page aapke samne ish tarh se open ho jayega.
Ynha par aap un apps aur games ko dekh skte hai jo abhi abhi play store par upload huye hai ya kuch hi der me upload hone wale hai.
Apps In Development
Ynha par aap un applications ko dekh skte hai jinka abhi kaam chal rha hai ya jo abhi devlpment me chal rhi hai aur kuch hi time me completely tyar hone wali hai.
Games In Development
Ynha par aap un games ko dekh skte hai jinka kaam ya development abhi chal rha hai aur kuch hi time me completely tyar hone wale hai.
Ye Bhi Padhe...
Ager aap in me se kisi bhi app ya game ko download karna chahe to kar skte hai. iske liye aapko jis application ko download karna hai, ush par click karna hai. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.
Friends waise to aap in me se jyadatar apps ko download karke unhe turant use kar skte hai. Lekin in me se kuch apps aise bhi hote hai jinka kaam yani ki unka development ush time tak complete nhi hua hota hai ish liye aap unhe download to kar skte hai but unhe turant use nhi kar skte hai.
Ager aap aise kisi app ya game ko apne mobile me install karte hai to wo aaapke mobile me aasani se install ho jayega aur jab ush app ka kaam pura ho jayega tab aap ko ek notification mil jayega ki abhi ish app ka kaam pura ho chuk hai aur abhi aap ishe use kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap play store par aane wale new aur latest apps aur games ka pta lga skte hai aur unhe apne mobile me install ya download kar skte hai. ager aapko ish process me koi peoblem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
To friends ummid karta hu ki ye post aapke liye helpful rahi hogi aapko achhi lgi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lge to ish post ko apne friends ke sath bhi share kare.
0 टिप्पणियाँ