Youtube Par Channel Kaise Bnaye - Full Guide In Hindi

Dosto ager aap internet par online paise kmana chahte hai to ye post aapke liye hi hai. Kyunki aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai.

Friends Google hume internet se online paise kmane me 2 platform deta hai jinse hum apne ghar baithe mobile aur computer se paise kma skte hai. Wo 2 platform blogger aur youtube hai. Inse koi bhi person online paise kma skta hai. But blog ya youtube se paise kmane ke liye aapko bahut mehnat bhi krni padegi.

Blog ya Youtube ? Internet Se Paise Kmane Ke Liye Konsa Best Hai ?

Abhi aap ye bhi jarur soch rhe honge ki internet par online paise kmane ke liye blog aur youtube me se jyada better konsa hai.

To iske liye me aapko advise dena chaunga ki ager aap internet par nye hai aur abhi tak aapko blog ke bare me jyada kuch pta nhi hai to aap youtube ko hi chune.

Kyunki youtube par hume sirf apne khud ke videos upload krne hote hai, jabki blog par hume post likhne ke sath sath aur bhi bahut si chijo ka dhyan rkhna padta hai. Blog ke bare me mai aapko next post me btaunga.

Ish post me hum sirf youtube ke bare me baat krenge.

Youtube Se Paise Kaise Kmaye ?

Friends Youtube se koi bhi internet user paise kma skte hai. Iske liye sabse pahle to ek new youtube channel pdta hai aur uske baad ush channel par khud ke bnaye huye video upload krne hote hai.

Youtube Par Channel Kaise Bnaye - Full Guide In Hindi

Uske baad jab ush youtube channel ke sabhi videos par pichhle 365 days me 4,000 hours watch time aur 1,000 subscribers honge, tab wo channel review me chla jayega.

Youtube ke employees ush channel ke sabhi videos ko dekhenge aur ager ush channel par koi bhi copyrighted video nhi hua to aapke channel monetization on kar di jayegi aur aapke videos par paise aane shuru ho jayenge.


Youtube Hume Paise Kyun Aur Knha Se Dega ?

Blog aur Youtube dono google ki hi service hai. Inke alwa google adsense bhi google ki hi service hai jo hume blogger aur youtube par paise deti hai. Youtube par channel bnane ke baad jab aapke channel par last 356 days me 4000 hours watch time aur 1000 subscribers ho jayenge. tab aapko apne channel par monetization ko bhi enable krna hoga. Jab aap apne channel ki monetization enable krnge to aapko google adsense par account bhi bnana pdega.

Adsense account banne ke baad 24 hours ke andr andr aapka adsense account approve ho jayega aur uske baad jab youtube aapke channel review complete kar lega to aapke video par ads aane shuru ho jayenge aur jab un ads par koi viewer click karega ya ads ko dekhega to uske paise google adsense aapko dega.

Aapne youtube par videos dekhte time dekha hoga ki kai baar video shuru hone se pahle kuch seconds ka ek ad aata hai. Bas wahi ads hote hai, jin par jab koi viewer click krta hai to uske paise video owner ko milte hai.


Google Adsense Se Kmaye Hue Paise Hume Kaise Milenge ?

Jab google adsense par aapki earning 10$ ho jayegi tab sabse pahle to aapko apna address verify krna hai, aur jab aapke adsense account me total earning 100$ ho jayenge. tab aap un paiso ko apne bank account me transfer kar skte hai.

Adsense ke liye address verify kaise krte hai ?Iske bare me mai aapko next post me btaunga.

To abhi mai ummid krta hu ki ab tak aapko aapke sare swalo ke jwab mil gye honge. To chliye ab hum youtube par ek new channel kaise bnate hai ? Iske bare me baat krte hai.

Youtube Par Channel Kaise Bnate Hai ?

Youtube par channel bnana bahut hi aasan hai. Niche mene kuch steps btaye hai, aap unhe follow karke aasani se apna khud ka channel bna skte hai.

Step:- 1

Sabse pahle aapko apne pc ya mobile ke chrome browser me Youtube.com par jana hai. ( Ager aap mobile use kre rhe hai to chrome browser me upper right corner me aapko 3 dots milengi. Un par click karke aap 'Request Desktop Site' par click karke ushe enable kar le. )

Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.


Ynha aapko upper right corner me profile photo par click krna hai. Ager aap youtube me pahle se log in nhi hai to pahle to aapko apni gmail id aur password daal ke log in krna hai, uske baad phir se aapko ishi profile icon par click krna hai.

Step:- 2

Ab aapke samne aisa page open hoga.


Ynha par aapko setting ke icon par click krna hai.

Step:- 3

Ab aisa page open hoga.


Ynha par  'Create a new channel' par click kare.

Step:- 4

Uske baad aisa page open hoga.


1. Ynha par apne channel ka 1st name dale.

2. Ynha par channel ka last naam dale.

3. uske baad 'Create Channel' par click kar dena hai.

Step:- 5

Ab aapke samne ek aisa page open hoga.


Ynha par aap dekhenge ki aapka channel ban chuka hai. But abhi aapko isme logo, banner aur description bhi add krna hai. Taki aapka channel achha lge aur youtube bhi aapke channel ko achhe se samjh ske.

1. Ynha click karke aap apne channel ke liye logo set kar skte hai.

2. Ynha par click karke aap banner set kar skte hai.

3. Ynha par click kar ke aapko apne channel ke bare me likhna hai ki aapka channel kis topic par hai.

Bas iske baad aapka channel puri trah se tyar ho jayega aur ab aap apne channel par videos upload krna start kar skte hai. Channel bnane ke baad verify krna bhi bahut jaruri hota hai. Ish aap apne channel ko bhi jarur verify kar le. Youtube channel ko verify kaise karte hai ? iske bare me janne ke liye ye post padhe. Youtube Channel Ko Verify Kaise Kare

Ye Bhi Padhe...

Final Words:-

Friends last mai aapse bas yehi kehna chahunga ki aap youtube par sirf apne khud ke bnaye hue video hi upload kre. Kyunki ager aap kisi aur ke video upload krenge to youtube aapke channel ko delete kar dega.

Dosto ager youtube ko lekar aapke dimga abhi bhi koi swal ho to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ

  1. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं