Phone Ko Touch Kiye Bina Usme Apps Download Kare

Apne Mobile Kisi Dusre Mobile Me Apps aur Games Kaise Download Kare ?


Phone Touch Kiye Bina Usme Koi Bhi Apps Install Kaise Kare ? Friends ager hume apne mobile me koi app ya game install krna ho to iske liye hume ushi mobile ke play store me jakar wo app install krna pdta hai. But kai baar hume jis phone me app download krna ho, wo humare pass nhi hota hai.

Ish liye ishi situation me hum ush mobile me koi bhi app install nhi kar pate hai.

But kya aapko pta hai ki hum apne mobile ko touch kiye bina bhi usme apps aur games install kar skte hai.

Shayad aapko iske bare me pta na ho, aur shayad aapne iske bare me pahle kbhi suna bhi nhi hoga. But ye sach hai. Hum apne phone ko chhuye bina bhi usme koi bhi app install kar skte hai.

Kisi bhi phone ko touch kiye bina usme koi bhi app ya game kaise download kare

Android mobile ko touch kiye bina usme koi bhi app kaise download karte hai iske bare me btane se pahle me aapse kehna chahunga ki ager aapko android mobile, facebook aur whatsapp se related sabhi parkaar ki tips and tricks ki jankari pdhni achhi lgti hai ? to aap niche subscription box me apni email id dalkar humare blog ko subscribe kar skte hai. Uske baad jab bhi hum koi new post dalenge to uska notification aapko mil jayega.

To chliye abhi hum topic par aate hai aur jyada time waste na karte huye aapko bta dete hai ki apne mobile se kisi dusre phone me koi app ya game kaise download karte hai ?


Ek Mobile Se Dusre Mobile Me Apps Download Kare, Bina Ushe Touch Kiye


Iske liye aapko niche btaye gye steps follow krne hai.

1. Sabse pahle aapko ush mobile me internet connection on krne ke liye bolna hai, jisme aapko app install krna hai.

2. Uske baad koi bhi ek dusra android phone lena hai aur usme chrome browser open krna hai. Aap chahe to computer ya laptop me bhi ye kar skte hai.

2. Uske baad chrome browser me ynha click karke ya google me search karke google play store ki site par jaye. Jab aap play store ki site par jayenge to aapse puchha jayega ki aap play store site ko kis app ya browser me open krna chahte hai ? Wanha aapko chrome browser me hi play store ki site open krni hai.

3. Uske baad play store ki site par aapko wo app ya game search krna hai, jo aap apne ush phone me install krna chahte hai. Jaise example niche image dekhe.

Play store messenger app

Phir aapko Install button par click krna hai.

4. Jab aap install button par click krenge aapko log in krne ke liye kaha jayega. Ab ynha thoda dhyan de. Ynha aapko apni wo hi gmail id sign krni hogi, jo ish samay ush mobile me log in hai jisme aapko wo app install krna hai.

Yani ki un dono mobile ke play store me same gmail id log in honi chahiye, tabhi aap ek mobile se dusre me koi app install kar payenge.

5. To aapko play store me wo gmail id aur password dal kar sign in kar lena hai. Uske baad aapse phir se puchha ja skta ki aap play store site ko konse app ya browser ne open krna chahte hai ? Aapko phir se chrome browser hi select krna hai.

6. Uske baad wo hi app ke samne aa jayega. Aapko phir se install button par click krna hai. Phir aisa lage open hoga.

Play store site

1. Ynha click karke aapko wo mobile model select krna hai jisme aapko wo app install krna hai.

2. Uske baad Install par click kr dena hai.

Bas uske baad wo app ush mobile me install on start ho jayega aur kuch der ke baad puri tarh se install ho jayega.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap kisi bhi mobile ko touch kiye bina usme koi bhi app install kar skte hai. To friends I hope ki ye jankari aapke liye helpful rhi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ