Play Store Par Kisi Bhi App Ka Beta Version Kaise Download Kare

Dosto aapne internet par aisi bahut si post padhi hongi ya youtube par bahut se videos dekhe honge, jinme facebook, whatsapp jaise apps ke new features ke bare me btaya jata hai, but aap un features ko use nhi kar pate hai.

Kyunki ush time tak wo new features sirf ush app ke beta version me hi available hote hai. Jise sirf ush app ke beta tester hi use kar skte hai.

Ish liye hum me se jyadatar log ush app ka beta version download nhi kar pate hai kyunki hume ye pta hi nhi hota hai ki play store se kisi app ka beta version kaise download karte hai ?

Play store par kisi bhi app ka beta version kaise download karte hai

Ish liye ishi baat ko dhyan me rkhte huye aaj ish post me main aapko btane wala hu ki play store par kisi bhi app ka beta tester kaise bante hai ya kisi bhi app ka beta version kaise download karte hai. Par ush se pahle hum ye jan lete hai ki beta version aakhir hota kya hai.

Beta Version Kya Hota Hai ?


Friends play store par jab bhi kisi app ke devlopers apne app ke ander kuch new features add karke ushe update karne wale hote hai. Tab ush app ko update karne se pahle wo uske un features ko apne beta users ke liye play store par upload karte hai taki beta users un new features ko use karke unhe ush new update ke bare me apne suggestions de ske.

To jab ush app ke devlopers ko lgta hai ki ye update achha rhega, tab wo play store par ushe normal users ke liye bhi upload kar dete hai.

To abhi aap jan gye honge ki beta version kya hota hai, abhi main aapko bta deta hi ki kisi bhi app ka beta tester kaise bante hai ya beta version kaise download karte hai.

Iske liye sabse phale aapko apne mobile ke play store me ush app par jana hai, jiske aap beta tester banna chahte hai. Jab aap play store me ush app par aa jaye to thoda scroll down kare. Wnha par aapko beta tester banne ka option mil jayega. Niche image me dekhe.

Became a beta tester on play store

Ynha par aapko 'I'M IN' par click karna hai, uske baad next page me aapko join par click karna hai.

Jab aap join par click kar de to wapas scroll karke upper jaye wnha par aap dekh payenge ki aapki beta tester banne ki request progress me chal rhi hogi.

Facebook app on google play store

Aap 5 minutes wait kare. Uske baad aap ush app ke beta tester ban jayenge aur aap uska beta version download kar payenge.

Ye Bhi Padhe...

Note:- friends ager aap apne mobile me play store ka purana version use kar rhe hai to ho skta hai ki aapke mobile me beta tester banne ka option na aaye. Ish liye beta tester wala option lane ke liye aapko apne mobile ke play store ko update karna hoga.

Ager aapko play store update karna nhi aata to ye post padhe.


Isme humne play store ko update karne ke bare me btaya hai.

To friends ummid karta hu ki ye jankari aapke liye jarur helpful rahi hogi. Ager aapko play store se kisi bhi app ka beta version download karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ