Play Store Me Installed Apps Ki History Kaise Dekhe

Friends aapne apne pehle android mobile me play store se sabse pehla app ya game konsa install kiya tha ? kya aapko yaad hai ? ya kya aapko pta hai ki play store par installed/downloaded apps history ko kaise dekhte hai ? Ager aapko iske bare me nhi pta hai aur aap iske bare me janna chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki isme hum ishi ke bare me baat karne wale hai.

Play Store Me Installed Apps Ki History Ko Kaise Dekhe

Friends waise to ish baat se koi khas fark nhi padta ki hume ye yaad hai ya nhi ki humne ab tak ya kai saal pahle play store se kon kon se apps ya games install kiye hai, but iske bare me hume pta hona bhaut jaruri hai. Kyunki ye jankari humare liye bahut hi helpful ho skti hai ?

Aap soch rhe honge ki kaise ? To kalpana kijiye ki aapke android mobile me kuch samay pahle tak koi aisa application tha, jo ki aapke bahut kaam ka tha, but mobile change karne ki wajah se ya other kisi reason se wo app aapse delete ho gya hai aur aapko ush application ka naam yaad nhi ish liye aap ushe wapas download nhi kar skte hai to aisi situation me ye jankari aapke bahut kaam aa skti hai.

Ye Bhi Padhe...
Kyunki ish trick se aap pta kar skte hai ki aapne aaj tak play store se kon kon se apps ya games install kiye hai. Ager aapne apna phone change kar liya hai to purane phone me aapne kon konse apps install  kiye the, wo bhi aap dekh skte hai aur unhe dubara download bhi kar skte hai.

But iske liye ek condition ye hai ki aap jis samay ki play store se installed apps ki history check karna chahte hai, ush samay aapke android mobile me jo Gmail ID log in thi, wo hi gmail ID abhi aapke mobile me log in honi chahiye, kyunki tabhi aap play store se installed apps history ko dekh payenge.

Kyunki jaisa ki aap jante hai ki play store se koi bhi app ya game download karne se pahle hume usme apni koi ek gmail ID log in karni padti hai. Ish liye hum jo bhi gmail id play store me log in karke apps download karte hai wo ush gmail history me save ho jate hai. Ish liye hum ush gmail id ko kisi dusre mobile me log in karke play store me ush Gmail id se downloaded sabhi apps/games ki history dekh skte hai.


Play Store Me Installed Apps Ki History Kaise Dekhe


To chliye abhi main aapko bta deta hun ki hum kaise iske bare me pta kar skte hai. Iske liye simply steps follow kare.

Step:- 1
Sabse pahle apne mobile me ush gmail id ko log in kar le jiski aap history dekhna chahte hai. Ager aapne abhi apne mobile me koi dusri email id log in kar rakhi hai ya aap apni wo gmail id ya uske password bhul gye hai to ye post padhe.

Step:- 2
Uske baad play store open kare.


Yaha par Menu (3 lines) par click karke “My apps & games” par click kare.

Step:- 3
Uske baad aisa page open ho jayega.

Yaha “Manage” par click kar de. Uske baad aapke samne wo sabhi apps aur games aa jayenge jo aapke mobile me install hai. Agar aapko un apps ki history dekhni hai jo abhi aapke mobile me nahi par aapne pahle install kiye the to "Installed" option par click krke "Not Installed" option select kar le. Uske baad un sabhi apps ki list aa jayegi jo aapne aaj tak ush gmail id se apne mobile me install kiye the. Aap results ko filter/sort bhi kar skte hai aur un apps ko phir se apne mobile me install bhi kar skte hai.


FAQ 

How To Check Previously Downloaded Apps in Play Store ?

Play store se previously downloaded apps dekhne ke liye My Apps & Games option par click krke Manage option par click kare, aapko apps ki list mil jayegi.

Play Store Se Kon Konse Apps Download Kiye Gye Hai Kaise Pta Kare ?

Aap apne mobile me play store me jakar My Apps and Games option me jakar aaj tak download kiye gye sabhi apps ki history dekh sakte hai.

Play Store Se Sabse Pahle Konsa App Download Kiya Tha ?

Play store me installed apps ki history me aap dekh sakte hai ki sabse pahle konsa app download Kiya gya tha.

Play Store Se Ab Tak Kitne Apps Download Kiye Gye Hai ?

Agar aap dekhna chahte hai ki aapne aaj tak play store se kitne apps download kiye hai to aap play store me My Apps and Games me jakar dekh sakte hai.

एक टिप्पणी भेजें

3 टिप्पणियाँ