Play Store Par Fake Application Ki Report Kaise Kare

How To Report Fake Application On Play Store ?
Friends kya aapko pta hai ki hum google play store par kisi bhi fake ya galat application ki report karke ushe play store se delete ya remove karwa skte hai. Ager aapko iske bare me nhi pta hai aur aap iske bare me janna chahte hai to ish article ko last tak jarur padhe, kyunki aaj hum ishi topic par baat karne wale hai.

Kisi app ke kaam nahi krne ki report kaise kare, jab aap play store par kisi app ki report krte hai to kya hota hai.

Play Store Par Fake Application Ki Report Kaise Kare

Dosto jaisa ki aap jante hai ki aaj kal na sirf play store par balki pure internet par fake applications aur websites bahut jyada ho gyi hai, jo ki logo ko bewkuf bnati hai aur unhe misguide karne ki kosis karti hai. Jinke jaal me fsakar bahut se log apna kimti samay aur paise waste karte rehte hai.


To in sab ko rokne ke liye ya ek internet user hone ke nate ye humari duty hai ki hum aisi fake aur buri websites ya apps ko delete karwane me madad kare. To ishi baat ko dhyan me rakhte huye main ye post likha rha taki aap bhi fake apps ko delete karwa ske.

Ager aap bhi play store se download kiye gye kisi app ko fake pate hai ya ager aapko kisi particular app ke bare me aisa lagta hai ki ye app galat hai, aur ish liye ye google play store par nhi hona chahiye to iske liye aap ush fake app ko flag karke play store se uski report kar skte hai.

Jab ush app ko bahut sare flag milenge to google play store ushe phir se review karega aur ager wo app fake hui to google ushe play store se delete kar dega.


Play Store Par Fake Application Ki Report Kaise Kare


To chliye abhi main aapko bta deta hun ki play store par kisi bhi fake app ko flag karke uski report kaise karte hai ? iske liye humne kuch steps btaye hai inhe follow kare.

1. Sabse pahle aapko play store me ush application par aa jana hai jise aap flag karna chahte hai aur usme scroll karke sabse niche aana hai.


Yaha niche aapko ‘Flag as inappropriate’ ka option milega, ush par click kar de.

2. Uske baad aapko kuch ish trah ke options ya reasons milenge ki aap ish app ki report kyun karna chahte hai.


Yaha par aapko wo reason select karna hai ki aap ish app ko flag kyun karna chahte hai ya aapko ye app fake kyun lgi. Ager aap chahe to ‘Other objection’ par click karke apna koi custom reason bhi bta skte hai.

3. Reason select karne ke baad ‘Submit’ par click kar de.

Uske baad aapki report submit ho jayegi aur jab ush application par kuch aur log bhi flag krenge to google khud uska review krega aur ager wo application fake ya galat hui to google ushe play store se remove kar dega.


FAQ

Play Store Par Kisi App Ki Report Karne Se Kya Hota Hai ?

Agar play store par kisi app ki report bahut sare users ke dwara ki jaye to ush app ko play store se remove kar diya jata hai.

Play Store Par Farzi Apps Ko Kaise Htaye ?

Aap ush app ki report karke ushe play store se hatwa sakte hai.

Froud Apps Ko Play Store Se Kaise Delete Karwaye ?

Aap apne dosto ke sath mil kar play store par ush app ko report kijiye fir ush app ko play store se hata diya jayega.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap google play store par kisi bhi fake application ki report karke ushe play store se remove ya delete karwa skte hai.

To friends ummid karta hun ki ye jankari aapko achhi lgi hogi. Ager aapko ye article pasand aaye ho to ishe apne friends ke sath bhi share kare, taki wo bhi play store par fake apps ki report kar paye.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ