Play Store App/ Game Ka Link Kaise Pta Kare

How to Get Downloading Link of Any App on Google Play Store ?

Friends aaj kal lagbhag sabhi internet users ke pass android mobile hota hai. Isliye hum aksar apne mobile me new aur latest apps aur games install karte rehte hai.

Hume apne android mobile me hume jab bhi koi new ya old app ya game download karna hota hai, to hum google play store se hi ushe download karte hai.

To ab kai baar aisa hota hai ki humne jo app play store se download kiya hua hota hai wo hume apne kisi friend ke sath bhi share karna pdh jata hai. To wo app share krne ke liye hum ushe sirf ush app ka naam hi bta pate hai.

Kyunki humare pass ush app ka downloading link nhi hota hai aur na hi hume ye pta hota hai ki play store par kisi bhi app/ game ka downloading link kaise pta krte hai ? Ish liye hum ush app ka link ushe send nhi kar pate hai.

Play Store App/Game Ka Link Kaise Pta Kare

Ish liye aaj ish post me hum aapko yahi batane wale hai ki play store par kisi bhi app ya game ka downloading link kaise pta krte hai ? To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko iske bare me bta dete hai.

Play Store App/ Game Ka Link Kaise Pta Kare 


1. To iske liye sabse pahle aapko apne mobile ki Play Store application me jana hai.

2. Uske baad aapko jis bhi app ya game ka link pta krna ush par click krna hai.

3. Ush app ya game par click krne ke baad wo ish trah se open ho jayega.


Ab ynha se aapko thoda niche jana hai. Niche ush app ko share krne ke liye ek option milega aapko ush par click krna hai.


Ush par click krne ke baad ushe share krne ke liye aapko bahut se options mil jayenge. Aap facebook, whatsapp ya other koi bhi option select karke apne friend ko ush app ka link send kar skte hai ya ager aap chahe to wnha se ush app ka link bhi copy kar skte hai aur uske baad manually apne friend wo link send kar skte hai.


FAQ Related to App Link

Kisi App Ka Link Kaise Prapt Kare ?

Play store me ush app ko open karke 3 dots par click kare aapko share ka option milega, ish option par click krke kisi bhi app ka link prapt kiya ja sakta hai.

Mujhe Kisi App Ka Url Kaha Milega ?

Aap play store me jakar ush app ko open kare aur waha 3 dots par click kare aapko url prapt krne ke liye Share ka option mil jayega.

Kisi Bhi App Ka Link Kaise Copy Kare ?

Aap google me search krke ya play store me ush app ko search krke uska link copy kar sakte hai.

Play Store Me App Link Option Nahi Aa Rha Hai Kya Kare ?

Agar play store me app ka link copy krne ka option nahi aa rha hai to aap ek baar play store ka app data clear kare fir check kare aapko option mil jayega.

Ye Bhi Padhe...


Ok to ish trike se aap play store ke kisi bhi app ya game ka downloading link pta kar skte hai.

To dosto ummid karta hu ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share jarur kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ