Google Drive Kya Hai ? Google Drive Me Photos, Documents Ko Save Kaise Kare

What is Google Drive ? Full Detail in Hindi:- Friends aapne google drive ka naam to jarur suna hoga, kyunki aaj kal lagbhag sabhi internet users android mobile use karte hai aur sabhi android Mobile's me google drive ki ek alag se application hoti hai, jisko shayad aapne kai baar open bhi kiya hoga, Par kya aapko pta hai ki google drive kya kaam aata hai aur ye kaise kaam karta hai ?

Google Drive Kya Hai ? Full Detail


Ager aapko iske bare me nhi pta hai to main aapko btana chahunga ki, google drive ke andar hum apni photos, videos, audios, documents aur other sabhi types ki files ko online save karke rakh skte hai.

Google Drive Kya Hai ? Google Drive Me Photos, Documents Ko Save Kaise Kare

Kuch naye users ke mann me ye dar rehta hai ki knhi google drive me save ki gyi unki photos aur video public to nhi ho jati hai ya unhe koi dekh to nhi skta hai.

To iske liye me main aapse kehna chahunga ki, google drive me save ki gyi photos ya other sabhi types ki files completely safe rehti hai, unhe  aapke alawa unhe koi bhi nhi dekh skta hai.

Ager aapko aisa lagta hai ki google drive me save aapki files ko koi bhi dekh skta hai, to aap bilkul galat hai. Google drive me save aapki files sirf aap dekh skte hai, aur wo bhi tab jab aapko apni gmail id aur password yaad ho. Kyunki google drive me save files ko dekhne ke liye sabse pahle hume apni gmail id aur password se isme sign in karna hota hai. Uske baad hi hum apni photos ya videos ko dekh skte hai.

Iske sath hi iska ek aur fayda ye hai ki iske ander ek baar kisi file ko save krne ke baad hum ush file ko kisi bhi mobile ya computer me apni gmail id ki madad se dekh skte hai, aur ager wo file kabhi galti se humse google drive me se delete bhi ho jaye tab bhi hum ushe wapas recover kar skte hai.

Google drive kis kaam aata hai ? ye to abhi aap jan gye honge , ish liye abhi hum jan lete hai ki google drive me photos, videos ya other files ka backup kaise lete hai ya files ko isme save kaise karte hai.

Ager aapko bhi nhi pta hai ki google drive me kisi bhi file ko kaise save karte hai ya unka backup kaise lete hai. To ish post ko last tak jarur padhe.

Google Drive Me Photos, Documents Ko Save Kaise Kare


To chliye abhi main aapko bta deta hun ki google drive me kisi bhi photo, video ya other file ko save kaise karte hai. Iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kare.

Step 1
Sabse pahle apne mobile me google drive application ko open kare aur ager aapne isme pahle se sign nhi kar rkha hai to apni gmail id aur password dalkar sign kare. Uske baad aisa page open ho jayega.

google drive kya hai

Ynha par aapko plus ( + ) icon par click karna hai.

Step 2
Uske baad aapke samne kuch ish trah se options aa jayenge.

google drive me documets upload kaise kare

1 Ynha par click karke aap isme ek naya folder bna skte hai.

2 Ish par click karke aap direct ynhi se koi document ya image capture karke upload kar skte hai.

3 Ynha click krake aap apne mobile ki file storage me se koi bhi photo, video, audio, document ya other koi bhi file select karke upload kar skte hai.

Google drive me file upload krne ke liye jab aap upload par click krenge to aapke mobile ki file storages jaise phone storage aur sd card apke samne aa jayenge, ynha aap related folder me jakar ush file par click kare, jise aap google drive me upload krna chahte hai. Uske baad wo file upload hona shuru ho jayegi. Jaisa ki aap niche image me dekh skte hai.


Ek baar file ko upload krne ke baad aap ushe kabhi bhi aur knhi bhi wapas download kar skte hai. Iske liye sirf aapko apni gmail id aur password yaad hone chahiye.

Ye Bhi Padhe

To ish trike se aap google drive me photos, videos, documents ya other kisi bhi file ko save kar skte hai. Ager aapko isme kuch problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Dosto ager aapko ye post Google Drive Kya Hai ? Google Drive Me Photos, Documents Ko Save Kaise Kare pasand aayi ho aur aap humari posts free me apni email id par prapat krna chate hai to abhi dainiktricks ko subscribe kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ