Gmail Id Aur Password Bhul Jaye To Kaise Pta Kare - Full Guide

Gmail ID aur Password Dono Bhul Jaye to Wapas Kaise Pta Lgaye:- Bhai main apni gmail id aur password dono bhul gya ab kya karu ? ye sawal mere ek visitor Vijay Kumar  ne mujse puchha tha, to mene socha kyu na ish par ek post hi likh du, kyunki aisa bahut se logo ke sath hota hai ki wo email account bnane ke baad ushe bhul jate hai ya uske password bhul jate hai.

Dosto ye problem sirf kuch hi logo ki nhi hai. Ager hum india ke logo ki baat kare to sabhi email/gmail account holders me se lagbhag 75% log apna account bnane ke baad ushe regularly use nhi karte hai, jiske karan ya to wo uske password bhul jate hai, ya apni gmail id bhul jate hai.
Ager aapke sath bhi aisa hua to ab aapki ye problem khatam hone wali hai. Kyunki ish post me main aapko btauga ki apni purani gmail id aur password kaise pta karte hai. To sabse pahle hum email id kaise pta karte hai iske bare me baat krenge. 

Dosto jitne bhi email users hai unme se 95% logo ke pass google ka gmail account hai. Ish liye main aapko gmail account ko recover karne ke bare me bta rha hu.

Ager aapko apni gmail id yani ki aapne jis naam se wo id bnai thi, uska pta karna chahte hai to iske liye aapko sirf ek chij ki jarurat padegi, aur wo aapke mobile number. Apne wo gmail id jis mobile number se bnai thi, aapko wo number yaad hone chahiye aur aapke pass wo sim card hona chahiye, kyunki hume account recover karne ke liye sirf ishi ki jarurat padne wali hai.

Ye Bhi Padhe...

Ish liye ager aapke pass wo sim card hai to aap apni email id aur password dono pta kar skta hai. Iske liye sabse pahle aapko yaha click karke ya apne pc ya mobile ke kisi bhi browser me gmail ki site par jana hai.

Uske baad ager aapke browser ke ander pahle se koi dusri id log in nhi hogi to aisa page open ho jayega, aur ager apne pahle se koi account log in kar rkha hai to pahle ushe log out kar de. Phir aage ke steps follow kare.

google accountt

Yaha par aap dekh skte hai ki hume apni email id dalni hai, par hume to ushe hi recover karna hai, kyunki hume wo yaad nhi hai. Ish liye aapko niche ‘Find My Account’ par click karna hai.

Uske baad aisa page open hoga.

find google account

Yaha aapko apne wo mobile number dalne hai, jis se aapne wo account bnaya tha, number dalne ke baad aapko next par click karna hai.

Uske baad aisa page open hoga.

naam se gmail search kare

Yaha par aapko apna first aur last name dalna hai, jo aapne account bnate waqt dala tha. Naam dalne ke baad ‘Next’ par click karna hai.

Uske baad aisa page open hoga.

forget gmail id

Yaha par aapko 'Send Text Message' par click karna hai, uske baad aapke mobile number par ek code aayega, next page me aapko wo dalna hai aur Ok karna hai. Uske baad aapke samne aapki email id aa jayegi.


Yaha par aap aapni email id dekh payenge. To abhi hume email id mil chuki hai. Ab hum iska password bhi recover krenge. Iske liye aapko yahi par apni email id par click karna hai.

forget password

Uske baad next page me aapse password manga jayega, hume password yaad nhi hai, ish liye niche 'Need Help ?' par click karna hai. Uske baad next page me aapse phir se password puchha ja skta hai, ager aapse puchhe to aapko niche 'Try Another Way' ka option milega, aapko ush par click karna hai.

Ye Bhi Padhe...

Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

bina mobile number ke gmail recover kais kare

Yaha par aapko phir apne mobile number ke dwara apne password recover krne honge. Ish liye aapko 2 option mil jayenge ki aap apne number par verification code text message me prapt krna chahte hai ya call se, aap jis bhi trike se otp code prapt karna chahe, ush par click kar de.

Uske baad aapke ush number otp aa jayega aur next me aapko wo hi code dalna hai.

Account verify hone ke baad aapke samne aisa page open ho jayega.

create new password  for gmail

Yaha par aapko apne new password set krne hai. Yaha dono box me aapko new password dalkar 'Change Password' par click karna hai.

Bas abhi aapke password bhi change ho chuke hai. Abhi aap apni email id aur password dalkar apne account ko log in karke use kar skte hai.


FAQ Related to Forgot Gmail ID and Password

Apni Gmail Id Kaise Pta Kare ?

Aap accounts.google.com ki website par jakar apne mobile number gmail id pta kar sakte hai.

Apni Purani Gmail Id Kaise Recover Kare ?

Aapke pass chahe kitni hi purani gmail id ho aap usme register mobile number se usko recover kar sakte hai.

Gmail Id Aur Password Dono Kaise Pta Kare ?

Ish article me gmail id aur password dono ko recover krne ka trika btaya gya hai. Aap ish article me btaye steps follow krke apni I'd aur password recover kar sakte hai.

Gmail ID Ke Password Kaise Dekhe ?

Gmail I'd ke password dekhna possible nahi hai, agar aapko password yaad nahi hai to yaha btaye gye trike se aap gmail ke password reset kar sakte hai.

Gmail Me Mobile Number Register Na Ho To Gmail ID aur Password Kaise Pta Kare ?

Agar aapki gmail id me koi bhi mobile number register nahi hai aur aap gmail id aur password dono bhul chuke hai to unhe recover nahi kiya ja sakta hai.

Kya Bina Password Ke Gmail Me Mobile Number Jod Sakte Hai ?

Nahi, agar aap apni gmail id me naye mobile number jodna chahte hai to aapko password yaad hone jaruri hai.

Gmail ID, Password, Mobile Number Kuch Bhi Yaad Na Ho To Kya Kare ?

Agar aapko inme se kuch bhi yaad nahi hai to aap purane account ko recover nahi kar sakte hai, isliye aapko ek Naya gmail account bna Lena chahiye

Ye Bhi Padhe...


Ek baat yaad rakhe dosto ki email account recover krne ke liye aapke pass wo sim card hona bahut jaruri hai, jis number se aapne wo account bnaya tha.

Bina ush number ke aap apne email id aur password pta nhi kar skte hai. Ish liye ish baat ko dhyan me rakhe. To ummid karta hu ki ye post aapke liye helpful rhi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kre.

To ish trike se aap apni gmail id aur password pta kar skte hai. Ager aapko ish process how to recover Gmail id and password in hindi me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai. Dosto ager aapko humari posts free me apne mail box me chahie to aap humare blog ko subscribe kar skte hai. 

एक टिप्पणी भेजें

25 टिप्पणियाँ

  1. Hello, me apni email id k password bhul gya hu or us id pr koi recovery email ya recovery no. Bhi dala hua nhi h nujhe bs email id pta h to kya me apni id open kr skta hu kya ...pls help me

    जवाब देंहटाएं
  2. Nhi bina recovery email ya mobile number ke aap apni id ko recover nhi kar skte hai.

    जवाब देंहटाएं
  3. Sir ma apna Fb Jis no se use krta hu bhul gaya hu mere pass jitne bhi no ha mane sub dekh liye pr Kisi bhi no se mera account nahi open hua Sur mera account kis no se use ho raha ha ma kase Pata karu Sur plz help me

    जवाब देंहटाएं
  4. Ager aapko ush account ke password yaad hai to aap mobile number k jgah ush account ka username dal kar ushe login kar skte hai.

    Facebook account ka username kaise pta karte hai ? iske bare me humne ish post me btaya hai. https://www.dainiktricks.com/2018/06/ek-number-se-2-facebook-id.html

    जवाब देंहटाएं
  5. Mera Email account setup show kar raha hai tho main mera Email id type kiya or password bi type kiya Email id ka to bata raha hai ki user name aur password is incorrect to main kya karun

    जवाब देंहटाएं
  6. Sir mere kuch prsnal photos kise ke pass hai app lock me or insan mere pass nahi hai to kaise email or password pata kare plz sir

    जवाब देंहटाएं
  7. Aur mera facebook id me his number se Bana tha. Wo sim card bhula gya...sath me password v bhool Gye .. koi options hai..sir facebook recovery karne ke liye

    जवाब देंहटाएं
  8. Facebook aur gmail dono ke hi password recover krne ke liye aapko ush mobile number ki jarurat pdegi, jis mobile number se wo account bnaye gye the, kyunki ush mobile number par ek otp aayega, udh otp ke bina aap un accounts ke password recover nhi kar payenge.

    जवाब देंहटाएं
  9. sir meri gmail id muze pata hai.
    lekin password bhul gaya hu.
    Aur jo gmail mai mobile number dala wo band ho gaya hai.
    Ab wo mobile no change krna hai.
    To ye ho sakata hai kya.
    Pleese reply sir.

    जवाब देंहटाएं
  10. Ager aapko password yaad hai tabhi aap apni gmail id ke mobile number change kar payenge, bina password ke mobile number change nhi kar skte hai, ish par mene article likha hai aap search box me search karke wo padh skte hai

    जवाब देंहटाएं
  11. main apne dusre facebook id ka naam ke alawa kuchh nhi janta main apne us id ko log in kaise karun? Please batao yaaar main bahut pareshaaan hun

    जवाब देंहटाएं
  12. Ush ID ko login karne ke liye ya to aapko uske password yaad hone chahiye ya ush se registered mobile number hone chahiye. Tabhi aap ushe recover kar paoge.

    जवाब देंहटाएं
  13. Bhai me apne Gmail password Ko recover Ni kr pa rha hu Mene apni I'd me recovery I'd add kr rakhi he but mujhe uska password bhi yad Ni he but numbers he mere pass fir bhi me apni I'd Ko access Ni kr pa rha hu..

    जवाब देंहटाएं
  14. Aap jis mobile me aap apni gmail id use karte the ush mobile me account recover krne ki koshish kijiye

    जवाब देंहटाएं
  15. Sir mery 2 gmail account hen dono id ak dosry par recovery email par lgi hoi hen or dono id k number bh different hen bas password nhi yad ab ma recover krny jata hon to email par code jata hen ma dono id k password bhol gya hon kisi ny mara mobile reset kr diya plz help me mery personal information hen in account ma or documents bh

    जवाब देंहटाएं
  16. mera facebook account praveenverma ke name se hain parantu uska password bhul chuka hou yadi mei mobile no. dalta hou to kisi aur ki image show hoti hai parntu show ho jata hai par na to gmail id link hain usme aur mobile no. ke duwara bhi show nahi hota hain to kiya apni imge dekhkar hum use recover kar sakte hain yadi kar sakte hain to jarur hi kuch trick send kijiy pleage

    जवाब देंहटाएं
  17. ager aapko ush account ke password yaad hai to aap ush account ka username pta karke ushe log in kar skte hai. iske bare me bare mene ish video me detail se btaya hai, ye dekhe. https://youtu.be/VmnDmfT_ulU

    जवाब देंहटाएं
  18. Vai mera email or password mujey pata ha...but login k liye phone no dena parta ha...par Mera phone number offf ha...iss liye login nhi ho Raha ha...kya kare plzzz...koi solutions bolo na...

    जवाब देंहटाएं
  19. मेरे पास मेरा मोबाइल नंबर है और मुझे वेरिफिकेशन कोड मिल रहां है लेकिन गूगल मुझसे backup codes 8 digit का पूछ रहा है जो की मेरे पास उपलब्ध नहीं है मैं कैसे गूगल एकाउंट रिकवर करूँ ?
    कृपया सहायता करिये।

    जवाब देंहटाएं
  20. Bhai mera ek chenal tha vo me bhul gaya hu or dusra bana liya hu to pahele wa chenal ko band karna hai to kya se Kate piz batao na bhai

    जवाब देंहटाएं
  21. M meri gmail id password or first& last name bhul gya mobile number h

    जवाब देंहटाएं