Gmail ID Me Contact Numbers Save Kaise Kare

How to Save Contact Number in Gmail ID:- Friend ager aapse puchha jaye ki aapke liye aapke mobile ka konsa data sabse jyada important hai. To shayad aapka jwab hoga, aapke important photos, videos ya contact numbers.

Ish liye hum humesha inko safe rakhte hai. But hum chahe aise important data ko kitna bhi safe rakhne ki kosis kar le but phir bhi kai baar ye data kisi na kisi karan se ye delete ho hi jate hai.

Ish liye jab bhi humare aise important photos, videos ya phone me add contact numbers mobile me se delete ho jate hai to hume bahut dukh hota hai aur iske karan hume bahut si preshaniyo ka samna bhi karna padta hai.

Android mobile se delete photos aur videos ko wapas kaise late hai ya unhe recover kaise karte hai ? ye main pichle articles me bta chuka hun. Ager aapne wo post nhi padhi to niche link par click karke aap wo padh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ager aapko apne contact numbers ko bhi humesha ke liye safe rakhna hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki ish post me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai.

Gmail ID Me Contact Numbers Save Kaise Kare

Gmail ID Me Contact Numbers Save Kaise Kare

Dosto contact numbers ko safe rakhne ka sabse achha trika yeh hai ki aap unhe apni email/gmail id me save kar le taki ager future me kabhi aapka mobile ghum bhi jaye ya galti se aapke phone me se contact numbers delete ho jaye to aap unhe wapas recover kar ske.

Iske alawa ager aap apne sabhi contact numbers ko gmail id me add ya save kar lete hai to uske baad aap duniya ke kisi bhi kone me kisi bhi mobile ya computer par un saved contact numbers ko dekh skte hai.

Iske liye bas hume apne sabhi contact numbers ko apni gmail id me save karke rkhna hoga, taki ager future me kabhi aisi situation ho to hum apne contact number ko recover kar paye.

Ye Bhi Padhe...

Iske bare me humare kuch visitors ne bhi humse puchha tha ki, Sir gmail ke ander phone numbers ko kaise add karte hai ? ish liye mene socha kyun na ish topic par bhi post likhi jaye. Kyunki abhi bhi bahut se logo ko iske bare me pta nhi hai.

Ager aapko bhi abhi tak iske bare me nhi pta hai to koi baat nhi, kyunki aaj hum aapko fully details se iske bare me batane wale hai. Ish liye aap ish post ko last tak dhyan se padhe. Uske baad aapko pta chal jayega ki Google me number save kaise kiya jata hai, 

Dosto me aapko 2 trike btauga, jinse aap apne contact numbers ko online safe rakh skte hai.

1. Google Drive Me

2. Gmail Account Me

Pahle me aapko google drive ke ander contact numbers ko save karne ke bare me bta deta hun, kyunki google drive ke ander inko save karna jyada easy hai.

Ager aapko google drive ke bare me bilkul bhi nhi pta hai ki google drive kya hai ? Aur ye kis kaam aata hai ? To niche wali post pdhe.


To abhi aap samjh gye honge ki google drive kya hai aur ye kis kaam aata hai. Ish liye chliye abhi main aapko bta deta hun ki iske ander contact numbers ko save karne ke liye kya karna hoga.

Google Drive Me Contact Number Save Kaise Kare ?


1 Iske liye sabse pahle aapko apne smartphone ke contacts me jana hai aur sabhi contacts ko mark karna hai.

2 Uske baad aapko mobile me unhe share krne ka option mil jayega. Jis par click karne ke baad aapko kai sharing options mil jayenge jaise Bluetooth, gmail, File Go etc.

Wnha aapko ek option ‘Drive’ ya ‘Google Drive’ ka bhi milega. Aapko ush par click karna hai.

Uske baad google drive me wo sabhi contacts ek chhoti si file me collect ho ke save ho jayenge.

Uske baad maan lijiye ki kabhi aapko un numbers ki jarurat pade aur aap unhe dekhna chahe to iske liye aapko ush file ko google drive se wapas download karna hoga jisme aapke contact numbers add hai, aur uske baad un numbers ko wapas aapko apne phone me add krna hoga.

Don't worry aapko number ek ek karke add nhi krne pdenge. Iske liye bas aapko google drive se wo file download krni hai jisme wo contacts numbers add hai. Uske baad ush file ko open kar le. Jab aap ushe open krne to wo sare phone numbers wapas aapke mobile me add ho jayenge.

To ish trike se to aap goole drive ke ander apne contact numbers ko save rakh skte hai.

Abhi main aapko bta deta hu ki gmail id me phone numbers kaise save karte hai ?


How to Add Contacts in Gmail

1. Iske liye sabse pahle aapko apne android phone me contacts me jana hai.

2. Wnha aapko knhi na knhi kuch options mil jayenge, un me se aapko Import/ Export ya Import par click karna hai.

( aap apne mobile me contact application me check kare, aapko ye option knhi na knhi mil jayega.)

Ager aapke mobile me ye option nhi hai to ye post padhe.


3. Uske baad aage aapke samne kuch ish trah se options aa jayenge.


Yaha par hume apne contacts ko gmail account par Import karna hai, ish liye ynha par aapko Import contacts select karna hai.

Next page me aapko sim ya phone storage me se ek ko select krna hai. Aapke contact numbers jisme ho wo select kar le.

Ager aap ‘Import from Sim’ ko select karte hai aur aapke mobile me 2 sim card hai to aage aapko wo sim select karni hai, jiske contacts aap gmail me upload karna chahte hai.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko apni gmail id par click karna hai. Uske baad aage aisa page open ho jyega.


Yaha par aapko sim card ya phone storage me add un sabhi contacts ko mark krna hai, jinhe aap gmail par upload karna chahte hai, aur uske baad ‘OK’ karna hai.

Phir next page me ek message show hoga ki kya aap in contacts ko gmail id par import karna chahte hai ? to wnha aapko OK karna hai.

Itna karte hi wo sabhi contacts gmail id par upload ho jayenge. Ab ager aap un contacts ko dekhna chahe to aap https://contacts.google.com/ ki site par jakar unhe dekh skte hai. Ish site ko open krne ke baad ager aapse log in krne ke liye kaha jaye to aapko simply apni gmail id aur password daal kar log in kar lena hai.

Ek baat ka dhyan rakhe ki aapke sabhi contacts gmail me save me hone me 5 se 10 minutes tak ka samay lag skta hai. ish liye aap 10 minute ke baad check kare aapke sabhi contacts aapko ish site par mil jayenge


FAQ Related to Gmail Contacts 

Gmail Id Me Save Contact Number Kaise Dekhe ?

Gmail id saved contact number mobile ki contact app me dikha diye jate hai. Kintu agar ush app me gmail ke contacts na dikhaye to aapko Google ki Contacts app download karni hogi.

Google Contact Number Kaise Nikale ?

Google me save contact number dekhne ke liye Google Contacts app download kare usme aapko sare contacts dikha diye jayenge.

Gmail ID Me Contact Number Kaise Add Kare ?

Jab bhi aap koi naye number phone me save kare to ushi page me aapko number kaha save krne hai ? Iska option milta hai, ishliye aap waha gmail id select krke number gmail me save kar sakte hai.

Ye Bhi Padhe...


To ish trike se aap apne contact numbers ko gmail id me save ya add kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai aur ager aapko ye jankari Gmail ID Me Contact Numbers Save Kaise Kare achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ