Gmail ID Ke Mobile Number Kaise Change Kare

How to Change Mobile Number in Gmail ID:- Dosto ek time tha jab email I'd ki jarurat sirf internet use krne walo ko hoti thi, but ab ye jaruri nhi hai ki ager aap internet use krte hai tabhi aapko email id ki jarurat hogi.

Ager aap internet use nhi krte hai tab bhi aapko email id ki jarurat padti hai. jaise ki koi jab online forum fill karwana ho ya kisi jab ke liye apply karna ho ya phir koi new document banwana ho, ush time aur iske alawa abhi bhi bahut si jgah iski jarurat padti hai.

Ab ek common problem jo ki hum sabhi ke sath hoti hai, wo ye ki hum apni email id ke password bhul jate hai ish liye hum kuch time ke baad apne gmail account ko log in nhi kar pate hai.

Waise ager hume apni gmail id ke password yaad na ho tab bhi hum ushe recover kar skte hai, but iske liye aapke ush gmail account me pahle se koi ek mobile number ya email address add ya register hona chahiye, tabhi hum apne account ko recover kar pate hai.

Ye Bhi Padhe..

But kai baar aisa hota ki jis mobile number se humne apna email account bnaya hua hota hai wo sim knhi kho jati ya khrab ho jati hai. ish liye ush number ke lost hone ke baad hum apni gmail id ko recover nhi kar pate hai.

Ish liye ager aapke sath bhi kabhi aisa hota hai aur aapka mobile ya wo sim card knhi kho jaye jisse apne wo id bnayi thi to aapko turant apne gmail account se mobile number change kar dene chahiye taki koi bhi aapki email id ka misuse na kar paye.

Gmail Account Ka Mobile Number Kaise Change Kare Full Guide

Ager aapko gmail account ka mobile number change ya update krne nhi aate to ish post ko last tak padhiyega. kyunki ish me hum aapko yahi batane wale hai ki gmail id ke mobile number kaise change krte hai.

Gmail ID Ke Mobile Number Kaise Change Kare


To chliye ab hum topic par aate hai aur apne email account ke mobile change krne ke bare me baat krte hai. To iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kre.


Step:- 1

Sabse pahle apne mobile ke kisi browser me google accounts ki site myaccount.google.com par jaye.


Step:- 2

Uske baad 'Personal Info & Privacy' me jaye. phir ek aisa page open hoga.

my gmail

Yaha par aapko phone number par click krna hai.


Step:- 3

Uske baad aisa page open hoga.

-change mobile numbe of gmail id

Yaha par aapko aapke mobile number ke samne ek pencil ka icon milega, ush par click kre. uske baad security reasons ki vjah se aapse aapke password phir se dalne ke liye kaha ja skta hai. ager aapse password mange, to password daal de.


Step:- 4

Uske baad aisa page open hoga.

update mobile number in gmail id

Yaha par aapko 'Update Number' par click krna hai.


Step:- 5

Uske baad ek aisa page open hoga.


Yaha par aapko 'Use Other Number' par tick karke 'Next' par click krna hai.


Step:- 6

Uske baad aapke samne jo page open ho usme apne new mobile number dale aur 'Verify' par click kar de.

phir aapke mobile number par ek OTP aayega, ushe next page me dal kar apne mobile number ko verify kar le. Bas uske baad aapke gmail account ke mobile number change ho jayenge.


FAQ Related to Update Mobile in Gmail

Kya Hum Gmail Account Ke Mobile Number Change Kar Skte hai ?

Ji haa, aap jab chahe tab apne gmail account ke mobile number badal sakte hai.

Gmail Me Naye Mobile Number Kaise Jode ?

Aap myaccount.google.com ki website par jakar bahut hi aasani se gmail me naye mobile number jod sakte hai.

Gmail ID Me Mobile Number Edit Kaise Kare ?

> Gmail mobile number edit karne ke liye sabse pahle myaccount.google.com ki website par jaye.

> Fir Personal Info & Privacy option par click kare.

> Phone option par click krke purane number remove kare aur naye number jod de.

Gmail ID Me Register Number Band Ho Jaye To Kya Kare ?

Agar aapki gmail id me register number band ho gye hai to aap gmail id ke mobile number change kar dijiye.

Ye Bhi Padhe..


To ish trike se aap apne gmail account ke mobile number change/ update/ edit kar skte hai. dosto ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ