Gmail Me 2 Step Verification Security Kaise Enable Kare

What is 2 Step Verification in Gmail ID:- Friends aapne 2 step verification security ke bare me to jarur suna hoga. Ager aap iske bare me jyada nhi jante hai to main aapko btana chahunga ki 2 step verification internet par humare accounts ki ek extra security layer hoti hai, jise cross karna kisi bhi hacker ke liye muskil hota hai. Ish liye ishe use karne se internet par humare accounts pahle se jyada safe ho jate hai.


Yani ki ager hum internet par apne kisi account par 2 step verification security ko enable karte hai to uske baad humara account pahle se jyada secure ho jata hai.

Gmail Me 2 Step Verification Security Ko Kaise Enable Kare

Gmail 2 Step Verification Kya Hai ?


Ager hum gmail account ki baat kare to ager hum gmail yani ki apne google account me ish security ko ON kar lete hai, to uske baad ager humare account ka username and password kisi unknown person ko pta bhi chal jata hai tab bhi wo humare account ko sign in nhi kar payega.

Kyunki ish security ko ON karne ke baad jab bhi humare gmail account ko kisi bhi device me sign karne ki kosis ki jayegi to humare account ko sign in karne se pahle ush device me ek otp dalna pdega, jo ki sirf humare set kiye gye mobile number par hi aayega.


Ish liye ish security ko enable karne ke baad ager humari gmail id ka username aur password bhi kisi ko pta chal jaye tab bhi wo humare gmail account ko use nhi kar skta hai.

Ish liye age aap apne gmail account ko safe rakhna chahte hai to behtar yehi hai ki aap gmail me 2 step verification security ko ON kar le. To chliye abhi main aapko bta deta hun ki gmail ke ander 2 step verification security ko kaise enable karte hai.

Ye Bhi Padhe...

Gmail Me 2 Step Verification Security Kaise Enable Kare


1 To iske liye sabse pahle Myaccount.google.com ki site par jaye aur apna username aur password dalkar sign in kare.

2 Uske baad aisa page open hoga.


Yaha ‘Signing in to Google’ par click kare.

3 Phir aisa page open hoga.


Yaha aap dekh payenge ki aapke account me ‘2 Step Verification’ Off hoga, ish liye ishe ON karne ke liye ush par click kare.

4 Phir next page me ‘GET STARTED’ par click kar de.

5 Uske baad ek baar phir se apne password dale.

6 Phir aisa page open hoga.


Yaha ‘Don’t Use Prompt’ par click kare. (Ager aap chahe to ‘Try It Now’ par click karke Google Prompt ko bhi use kar skte hai. Ishe use karne se jab aapke account ko kisi other device me sign kiya jayega to aapke mobile me OTP ki jgah ek notification aayega. But muje OTP wala trika jyada secure lga ish liye main aapko uske bare me bta rha hun. )

7. Don't Use Prompt par click karne ke baad aisa page open ho jayega.


Yaha par apni country select karke wo mobile number dale, jis par aap otp prapat karna chahte hai.

Phir select kare ki otp kaise prapat karna chahte hai... Message ya Call se.

Phir send button par click kar de. Uske baad aapke number par otp aa jayega wo next page me dal de.

8. Phir aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Turn ON par click karna hai. Bas uske baad aapke gmail account me 2 step verification security enable ho jayegi. Ager aap isko wapas disable karna chahe to ish trah se aap ishe wapas off bhi kar skte hai.

Ish jankari ko video me dekhne ke liye yaha click kare


FAQ Related to Gmail Two Step Verification

Google 2 Step Verification Chalu Karne Se Kya Hota Hai ?

Jab aap apne google account me 2 step verification chalu kar lete hai to aapka Google account pahle se jyada safe ho jata hai, kyunki iske baad kisi dusre person ko aapke account ke password pta hone ke baad bhi wo aapke account ko login nahi kar sakta hai.

Bina Account Login Kiye 2 Step Verification Kaise Band Kare ?

Account login kiye bina 2 step verification band krne ke liye aapko wo mobile chahiye jisme aapka account pahle se login hai. Fir ush phone se aap 2 step verification ko band kar sakte hai.

2 Step Verification Ke Bina Gmail Account Ko Login Kaise Kare ?

Agar kisi gmail account me 2 step verification security hai aur aap ish security ke bina account login krna chahte hai to aap aisa nahi kar payenge, pahle aapko ish security ko band krna pdega, uske baad hi aap aisa kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...


To ish trike se aap apne gmail account me 2 step verification security ko enable kar skte hai. Ager aap isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Friends ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare taki wo bhi apne gmail account ko secure rakh ske.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ