Humare Mail Ko Samne Wale Ne Padha ya Nhi Kaise Pta Kare

Humare Mail Ko Samne Wale Ne Padha ya Nhi Kaise Pta Kare:- Friends email ke dwara hum kisi bhi person ko mail to bahut hi aasani send kar skte hai but samne wale ne humara mail padha ya nhi padha iske bare me hume pta nhi chlta hai, kyunki gmail ke ander aisi koi facility available nhi hai jiske dwara hum ye pta kar ske.

Ishi baat ka fayda uthakar kai baar samne wala person, jisko humne koi mail send kiya hai wo jhut bhi bol deta hai ki usne aapka mail nhi padha tha ish liye wo aapka kaam nhi kar paya, ishi liye hum ushe jyada kuch bol bhi nhi pate hai, kyunki hume ye pta nhi hota hai ki usne humara mail sach me padha ya nhi.

Ye Bhi Padhe...

But ush time hum ye jarur sochte hai ki kash jis trah se whatsapp me 2 blue tick aane se pta chal jata hai ki samne wale ne humara message read kar liye hai, thik ushi trah se gmail me bhi ye pta kar paye ki samne wale ne humara mail read kiya hai ya nhi kiya hai, aur ager read kiya to kab aur kis time par kiya.

So ager aap bhi kuch aisa hi sochte hai to ye post sirf aapke liye hi hai kyunki aaj ish post me hum aapko btayenge ki humare android mobile se send kiya gya mail samne wale person ne read kiya hai ya nhi kiya ? iske bare me kaise pta lgate hai ? ya ager mail read kiya gya hai to kis time par aur kitni baar padha gya hai, iske bare me puri details kaise nikalte hai ? ya apne mail ko track kaise karte hai ?

Ish liye ager aap bhi in sabhi sawalo ke jwab janna chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe.

Humare Mail Ko Samne Wale Ne Padha ya Nhi Kaise Pta Kare

To chaliye abhi jyada time waste na karte huye hum direct aapko iske bare me bta deta hai.

Ye Bhi Padhe...

Humare Mail Ko Samne Wale Ne Padha ya Nhi Kaise Pta Kare


1 Iske liye sabse pahle to aapko apne android mobile me google play store se ek application download karni hogi, jiska naam ‘Track-Email Tracking’ hai. Ish app ko abhi download karne ke liye ynha click kare.

2 Ishe mobile me install karne ke baad open kare aur ‘ACTIVATE TRACK FOR FREE’ par click kare.


3 Uske baad browser open ho jayega, jnha par aapko apni wo email id select karni hai, jiske mails ko aap track karna chahte hai. Ager aapne ush browser me pahle se koi email id sign in nhi kar rakhi hogi to pahle aapko apni wo email id sign in karni hai.

4 Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko ‘ALLOW’ par click karna hai. Uske baad phir se Track application me aa jana hai.


5 Abhi aapko pencil icon par click karna hai aur next page me wo email id dale jis par aap mail send karna chahte hai aur ‘Prepare Tracked Email’ par click kar de.

6 Uske baad aapse puchha jayega ki aap ye mail konse app yani mobile ke Gmail ya Email konse app se send karna chahte hai ? aapko ek app choose karna hai.

7 Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko simply mail ka subject aur matter type karke send kar dena hai.

Bas abhi aapka kaam khatam ho chuka hai. Abhi ager aap dekhna chahte hai ki aapka mail samne wale na pdha ya nhi to iske liye aapko Gmail/Email app me jakar ush mail ko open karna hai, jise aapne send kiya tha.


Ynha par ager ek right tick (  ) to iska matlab hai ki usne mail abhi tak read nhi kiya hai, aur ager ynha par 2 right tick (  ) ho to iska matlab hai ki samne wale ne humara mail read kar liya hai.

Ye Bhi Padhe...

Ager aap dekhna chahte hai ki ush person ne humara mail kis time par aur kitni baar read kiya hai to iske liye aapko ‘Track' application me jana hai aur ush mail par click karna hai jiski details aap dekhna chahte hai.

Ush par click karne ke baad aapke samne ush mail ki puri details aa jayegi ki ushe kab aur kitni baar samne wale ne pdha hai. To ish tarike se aap apne mails ko track kar skte hai aur pta kar skte hai ki jisko humne mail send kiya hai usne mail pdha ya nahi


FAQ

Kaise Pta Chlega Ki Samne Wale Ne Mail Padh Liya Hai ?

Iske liye aapko Track-Email Tracking app download krna pdega, isme ye feature milta hai.

Usne Mail Padha Ya Nahi Hame Kaise Pta Chlega ?

Track-Email Tracking app download krne ke baad jab samne wala aapka mail padh lega to usme double tick dikha dega.

Mail Tracking App Konsa Hai ?

Track-Email Tracking ek aisa app hai jiske dwara aap apne mails ko track kar sakte hai.

To dosto ummid karta hun ki ye jankari aapke liye helpful rahi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ