Android Mobile Se New Gmail Account Kaise Bnaye

How to Create a New Gmail Account:- Friends currant time me hum sabhi ke pass ek email id ka hona bahut jaruri hai. Kyunki aaj kal ager koi person internet use nhi karta hai, tab bhi ushe email id ki jarurat bahut si jgah par padti hai.

Jaise ager hume kisi school, collage ya kisi job ke liye koi forum fill karna ho tab hume waha apni email id dalni padti hai. Thik ishi trah se aur bhi bahut si jgah par hume email id ki jrurat padti rehti hai. Ish liye hum sabhi ki ek personal email id honi hi chahiye.

Ye Bhi Padhe...

But abhi bhi aise bahut se log hai jinke pass koi email id nhi hai, kyunki unhe pta hi nhi hota hai ki apne liye ek new gmail id kaise bnate hai ?

How to create a gmail account on mobile phone, create new gmail account for others, 

Android Mobile Se Email Account Kaise Bnaye

To ager aapko bhi nhi pta hai ki ek new gmail account kaise bnate hai, How to create a gmail account on mobile phone, ? to koi baat nhi, kyunki aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai. Ish liye ish article ko last jarur padhe.

Ish post me btaye gye trike se aap apne android mobile se hi apne liye ek new gmail account bna skte hai. To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum iske bare me jan lete hai.

Ye Bhi Padhe...


Android Mobile Se New Gmail Account Kaise Bnaye 


1. Iske liye sabse pahle aapko apne android mobile ki Settings me jana hai.

2. Uske baad settings me ‘Accounts’ me jaye.

3. Waha ‘Add Account’ par click kare.

4. Uske baad kuch option aa jayenge. Aapko Google par click karna hai, kyunki yaha hum aapko gmail id bnane ke bare me bta rhe hai.

5. Uske baad aisa page open hoga.


Yaha Create a New Account par click kare de.

6. Uske baad aisa page open hoga.


Yaha aapko apna First aur Last Name dalna hai aur Next Button par click krna hai.

7. Uske baad next page me aapko apni date of birth aur gender dalna hai aur phir se Next button par click karna hai.

8. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko apni gmail id ke liye ek unique username dalna hai.

Aisa username dale jo pahle kisi na rkha ho. Kyunki ager aap pahle se register username dalenge to wo google accept nhi krega. Ish liye aap apne naam ke sath me kuch numbers bhi add kar skte hai, Jaise mene hajariprajapat ke baad 123 number add kiya hai.

Username dalne ke baad Next button par click kar de.

Note:- Aap jo username dalenge, ager wo pahle se register hua to aapko phir se koi naya aur unique username dalna hoga. Aapko waha kuch suggestions bhi mil jayenge, so ager aap chahe to unme se bhi koi ek username apni gmail id ke liye select kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

9. To sahi username dalne ke jab aap Next button par click krenge to uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Yaha aapko dono boxes me apne account ke liye ek new aur hard sa password dalna hai. Dono boxes me same password dale aur Next par click kar de.

10. Phir aisa page open ho jayega.


Yaha aapko 'More Options' par click karna hai.

11. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko option milega ki kya aap ish account se apne mobile number ko register krna chahte hai ? Ager aap number register nhi karna chahe to 'No don't add my phone number' ko select kare aur Done par click kar de.

But mai aapko advise dena chahunga ki aap apne account se mobile number ko register kar le, taki future me jab kabhi aap apne account ke password bhul bhi jaye to ushe wapas recover kar ske.

Mobile number ko account se link ya register karne ke liye 'Add my number for account security only' ko select karke 'Done' par click kar de.

Ye Bhi Padhe...

12. Phir next page me apne mobile number dal kar Next button par click kar de, uske baad aapke mobile number par ek OTP ( One Time Password ) aayega, next page me otp dalkar apne mobile number ko verify kar de.

13. Uske baad next page me aapko Google ki Privacy and Term ko accept karne ke liye ke kaha jayega, so aap I Agree par click karke ushe accept kar le.

14. Uske baad ek page aur open hoga, usme bhi aapko Next par click karna hai.

15. At last aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Payment Info dalne ke liye puchha jayega, yaha aap No Thanks ko select karke Continue button par click kar de.

Bas uske baad aapka Gmail account completely bna chuka hoga aur wo aapke mobile ke sabhi Google Applications me log in ho chuka hoga, aap kisi bhi google application me jakar check kar skte hai.

Iske alawa ager aap chahe to apne account ko kisi other device me bhi login kar skte hai. Iske liye aapko usme apni gmail id aur password dalkar log in karna hoga. Yaad rakhe ki gmail account bnate waqt aap uska jo username rakhenge, wo hi aapki gmail/email id ya uska address hoga.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap bahut hi aasani se apne mobile se ek new email/gmail id bna skte hai. Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Naya Gmail Account Kaise Bnate Hai ? 2024

Ish article me humne naya gmail account bnane ka pura process detail se btaya hai. Isme btaye gye steps follow karke aap new gmail account bna sakte hai.

Kya Bina Mobile Number Ke Naya Gmail Account Bna Sakte Hai ?

Haa, aap aisa kar sakte hai.

Kya Gmail ID Bnana Free Hai ?

Ji haa gmail id bnana ekdum free hai.


To dosto ummid karta hun ki ye jankari Android Mobile Se New Gmail Account Kaise Bnaye ? aapke liye jarur helpful rhi hogi. Ager aapko ye article achha lga ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ

  1. Brother blogger ke liye konsi theme use kar rhe ho.M bhi rajasthan se hu. Please tell me surely. Aapne ise itna better kaise bnaya ??

    जवाब देंहटाएं
  2. Mene isme jyada editing nhi ki hai, ye aisi hi thi.

    And Sorry mujhe iska naam yaad nhi kyunki ishe upload kiye huye bahut din ho gye hai. But ha ye Arlina Design ki theme hai.

    जवाब देंहटाएं