Mobile Se Android Created Aur Empty Folders Ko Kaise Delete Kare, Sirf Ek Click Me

Friends hum daily apne android mobile me naye naye apps aur games install karte rehte hai aur baad jab wo hume pasand nhi aate to hum unhe wapas uninstall bhi kar dete hai. Lekin un Apps ko wapas uninstall krne ke baad bhi unke kuch empty aur faltu folders humare mobile ki phone storage aur sd card me store ho kar reh jate hai.

Inke alawa bhi humare mobile ke ander android created bahut sare faltu aur khali folders hote hai, jo humare kisi kaam ke nhi hote hai aur faltu me mobile ki storage ko full karke rkhte hai. Ish liye storage ko khali karne me liye hume baar baar un empty folders ko ek ek karke delete krna padta hai.

Kyunki ager hum unhe delete na kre to un folders ke ander faltu data store hota rehta hai, jis se humare mobile ki storage full hone lagti hai.

Mobile Se Android Created Aur Empty Folders Ko Kaise Delete Kare, Sirf Ek Click Me

Ish liye ishi baat ko dhyan me rakhte hue mene ye post likhi hai. Ish post ke ander me aapko ek aisa trika btane wala hu, jiski madad se aap apne mobile se sabhi khali aur faltu folders ko sirf ek click me delete kar skte hai.

To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye jaan lete hai ki android mobile me sirf ek click me khali folders ko delete kaise krte hai.

Friends play store par ek app hai jiski madad se hum aisa kar skte hai. Ush App ka naam 'Empty Folder Cleaner' hai. Ye size me only 2MB ka hai. Aap aasani se ishe play store se download kar skte hai.

Empty Folder Cleaner App abhi download krne ke liye Ynha Click Kare.

App ko download krne ke baad aapko simply ishe open krna hai.

Open krne ke baad iska interface kuch ish trah se open hoga.


1. Ager aap android created yani humare mobile  me android dwara bnaye gye folders ko bhi delete krna chahte hai to setting icon par click kre.

Setting icon par click karne par aisa page open hoga.


Ynha par aapko 'Sacn ANDROID created folders' ke samne wale box ko check karke enable karna hai aur back aa jana hai.

2. Uske baad aapko clean ke icon par click krna hai. Clean icon par click krte hi ye app aapke mobile ki storage aur sd card me se folders ko scan krna shuru kar dega, aur scanning complete hone ke baad ye app automatic hi empty folders ko aapke mobile me se delete kar dega.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apne mobile me se android created aur empty folders ko sirf ek click me delete kar skte hai. To friends ummid krta hu ki ye jankari aapke liye jarur helpful rahi hogi ager aapko ye article achha lga ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ