Computer Me Android Apps Aur Games Ko Kaise Chlaye

Computer Me Android Apps Aur Games Ko Kaise Chlaye:- Dosto android ek bhaut hi famous operating system hai jo ki google ke dwara develop kiya gya hai. Yeh itna famous hai ki duniya ke sabhi mobile users me se almost 80% log ishe hi use karte hai.

Android OS ko itna famous bnane ke pichhe sabse bada hath android applications ka rha hai. Kyunki in apps ki madad se hum aise bahut se kaam apne mobile me bhi kar skte hai jo pahle sirf ek computer me possible the. Balki abhi to bahut se android apps itne advanced ho gye hai ki wo computer se better result de dete hai. Ishi liye log ishe itna pasand karte hai.

Ye Bhi Padhe... Google play store par hume aise lakho apps aur games mil jate hai, jinhe hum apne phone me install karke use kar skte hai. Ye android apps aur games android os par hi based hote hai, ish liye hum sirf android phone me inhe run kar skte hai.

Computer Me Android Apps Aur Games Ko Kaise Chlaye

But aaj kal technology itni advanced ho gyi hai ki ab kuch bhi impossible nhi hai. Ish liye ab hum internet par mojud in android apps aur games ko apne computer me bhi chla skte hai. Iske bare me kuch visitors ne bhi mujse puchha tha ki..

Sir 'Kya hum android apps ko computer me chla skte hai ?' ya 'Kya android apps aur games ko pc me chlana possible hai ?' Aise hi aur bhi kai sawal mujse puchhe gye. Ish liye mene iske bare me post likhne ke bare me socha.

Ager aapke bhi sawal kuch ish trah ke hai to aap sahi jgah par hai. Ish post me main aapko ishi ke bare me batane wala hun.

Waise to in android apps aur game ko computer me chlane ke liye aapko internet par kai emulator softwares mil jayenge. But ish post me main aapko Bluestack software ke bare me btaunga.

Kyunki ye baki sabhi softwares se jyada famous hai aur muje bhi ye kabhi achha lga. Ish liye main aapko ishi ke bare me btane wala hun.

Computer Me Android Apps Aur Games Ko Kaise Chlaye

To iske liye sabse pahle to aapko yaha click karke ya Bluestack ki website par jakar apne computer me ish software ko download krna hai uske baad ishe open kare.


Open krne ke baad ‘Install Now’ par click karke ishe install kar le. Uske baad iske ander aapko apni email id aur password se sign krna hoga. Bilkul waise jaise hum play store me karte hai.

To sign in complete hone ke baad ye software ish trah se open ho jayega.


Ynha par aapko jis bhi app ya game ko apne computer/laptop me download krna hai. Ushe search box me search kare.


Uske baad install par click karke ushe computer me install kar le. Ye software bilkul play store ki trah kaam karta hai. Ish liye isme apps ko install krne ki same wahi process hai jo hum play store me puri karte hai.

Installation complete hone ke baad aap ush application ko apne pc me use kar skte hai.


FAQ

Kya Hum Android Apps Ko Computer Me Chla Skte Hai 

Android apps ko computer me chlaya ja sakta hai, iske liye aapko apne pc me BlueStack software download krna pdega.

Android Apps Ko Computer Me Chlane Wala Software Konsa Hai ?

Android apps ko computer me chlane wale software ka naam BlueStack hai. 


Ye Bhi Padhe...


To ish trike se aap apne computer me android apps aur games ko chla skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ