Friends ager aap ek youtuber aur aapke kuch subscribers hai. To aapko unke bare me kam se kam kuch basic jankari to jaurur pta honi chahiye. Kyunki wahi humare viewers hote hai, jo ki humare videos ko dekhte hai.
Ish liye hume unke bare me thodi bahut jankari to rakhni hi chahiye. Jaise humare subscribers ko kon kon hai ? unhone humare channel ko kab se subscribe kar rakha hai aur unke khud ke kitne subsribers hai etc.
Lekin jyadater new youtubers ko yeh nhi pta hota ki apne youtube channel ke subscribers ko kaise dekhte hai ya unse contact kaise karte hai.
Ish post me main aapko ishi ke bare me btane wala hun ki humare youtube channel ke subscribers ko kaise dekhte hai ya direct youtube par unhe message send karke unse contact kaise karte hai ? iske alawa ish post me btaye gye trike se aap apne subscribers ke bare me kuch aur basic details aur bhi dekh skte hai. Jo ki main aapko aage practical btane wala hun.
Ye Bhi Padhe...
To apne subscribers ke bare me ye basic jankari janne ke liye humne niche kuch steps btaye hai, inhe follow kare.
Step 1
Sabse pahle aapko youtube.com ki site par jana hai, ager aap mobile use kar rhe hai to site ka desktop mode enable kar le. Kyunki ye process hum sirf youtube site ke desktop mode me kar skte hai.
Uske baad ish site ka home page kuch ish trah se open ho jayega.
Ager isme aapne pahle se sign nhi kar rakha hai to sabse pahle profile icon par click karke apni gmail id aur password dalkar sign kar le. Uske baad phir se profile icon par click kare.
Step 2
Abhi aapke samne kuch ish trah ke options aa jayenge.
Ynha par aapko 'Creator Studio' par click krna hai.
Step 3
Uske baad aisa page open ho jayega.
Ynha par aapko Community par click krna hai, community par click krne ke baad iske ander hume kuch aur options mil jayenge. Ynha aapko Subscribers par click krna hai.
Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.
1. Aapko sabse pahle ynha par click karke results ko filter karna hai aur most recent ki jgah 'Most Popular' select krna hai. Uske baad aapke sabhi subscribers aapke samne aa jayenge.
2. Jaisa ki aap page me dekh skte hai, jin jin logo ne humare channel ko subscribe kiya hoga unka ya unke channel ka naam ynha par aa jayega.
3. Ynha par hum dekh skte hai unhone humare channel ko kitne time se subscribe kar rakha hai.
4. Ynha par hum apne subscribers ke kitne subscribers hai ye dekh skte hai.
5. Ynha message icon par click karke hum direct ynhi se apne subscribers ko message send kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Note:- Ynha par ek baat me aapko btana chahunga ki aapke subscribers me se jin jin logo ne apni subscription privacy ko public kar rakha hoga, hum sirf unhi ke naam ynha par dekh payenge. Jin viewers ne apni privacy ko private kar rakh hoga unhe hum nhi dekh skte hai.
To ish trike se aap apne youtube channel ke subscribers ko dekh skte hai aur unhe direct youtube par hi message bhi send kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya youtube se related aapka koi bhi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.
Ish liye hume unke bare me thodi bahut jankari to rakhni hi chahiye. Jaise humare subscribers ko kon kon hai ? unhone humare channel ko kab se subscribe kar rakha hai aur unke khud ke kitne subsribers hai etc.
Lekin jyadater new youtubers ko yeh nhi pta hota ki apne youtube channel ke subscribers ko kaise dekhte hai ya unse contact kaise karte hai.
Ish post me main aapko ishi ke bare me btane wala hun ki humare youtube channel ke subscribers ko kaise dekhte hai ya direct youtube par unhe message send karke unse contact kaise karte hai ? iske alawa ish post me btaye gye trike se aap apne subscribers ke bare me kuch aur basic details aur bhi dekh skte hai. Jo ki main aapko aage practical btane wala hun.
Ye Bhi Padhe...
To apne subscribers ke bare me ye basic jankari janne ke liye humne niche kuch steps btaye hai, inhe follow kare.
Apne Youtube Channel Ke Subscribers Kaise Dekhe
Step 1
Sabse pahle aapko youtube.com ki site par jana hai, ager aap mobile use kar rhe hai to site ka desktop mode enable kar le. Kyunki ye process hum sirf youtube site ke desktop mode me kar skte hai.
Uske baad ish site ka home page kuch ish trah se open ho jayega.
Step 2
Abhi aapke samne kuch ish trah ke options aa jayenge.
Step 3
Uske baad aisa page open ho jayega.
Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.
2. Jaisa ki aap page me dekh skte hai, jin jin logo ne humare channel ko subscribe kiya hoga unka ya unke channel ka naam ynha par aa jayega.
3. Ynha par hum dekh skte hai unhone humare channel ko kitne time se subscribe kar rakha hai.
4. Ynha par hum apne subscribers ke kitne subscribers hai ye dekh skte hai.
5. Ynha message icon par click karke hum direct ynhi se apne subscribers ko message send kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Note:- Ynha par ek baat me aapko btana chahunga ki aapke subscribers me se jin jin logo ne apni subscription privacy ko public kar rakha hoga, hum sirf unhi ke naam ynha par dekh payenge. Jin viewers ne apni privacy ko private kar rakh hoga unhe hum nhi dekh skte hai.
To ish trike se aap apne youtube channel ke subscribers ko dekh skte hai aur unhe direct youtube par hi message bhi send kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya youtube se related aapka koi bhi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.
2 टिप्पणियाँ
Creator studio Aisa option hi nhi aa Raha hai
जवाब देंहटाएंThanks for sharing
जवाब देंहटाएं