Aadhaar Card Me Mobile Number Register Hai Ya Nhi ? Kaise Pta Kare ?

Aadhaar Card Me Konse Mobile Number Link Hai ? Kaise Pta Kare ? Aadhar card me mobile number registered hai ya nhi ? ye kaise pta karte hai ? friends jaisa ki aap jante hai ki humare aadhar card me mobile number registered hona bahut jaruri hota hai.

Aadhaar card me mobile number link hone ke bahut sare fayde hote hai. ager humare aadhaar card se mobile number link ho to hum ghar baithe hi apne aadhar ko mobile ya computer se download kar skte hai.

Iske alawa mobile number registered hone par hum apne aadhaar card me address change kar skte hai. kai baar biometric par humare finger nhi aate hai, aisi situation me aadhaar me mobile number register hone par otp se humara kaam ho jata hai.

Iske alawa bhi aadhaar card me mobile number register hone ke bahut sare fayde hote hai.

Ish se related humne aur bhi bahut sare articles likhe hai, aap ynha click karke unhe bhi padh skte hai.

Aadhaar Card Me Mobile Number Register Hai Ya Nhi ? Kaise Pta Kare ?

Ish article me hum baat krne wale hai ki humare aadhaar card me phone number registered hai ya nhi ? ye kaise jante hai ? kyunki bahut se logo ko ye bhi pta nhi hota hai.


Ish Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Niche Video Par Click Kare



To chliye shuru karte hai, aur hum iske bare me jaan lete hai. iske bare me janne ke liye niche ke steps follow kare.


Aadhaar Card Me Mobile Number Register Hai Ya Nhi ? Kaise Pta Kare ?

1 Sabse pahle ynha click karke Uidai ki website par jaye.


2. Ynha ‘Aadhaar Services’ me ‘Verify a Aadhaar Number’ par click kare. Uske baad aisa page open hoga.


3. Yaha Check Aadhaar Validity par click krna hai. Uske baad aage aisa page open ho jayega.


Ynha par apna 12 digit ka aadhaar number dale aur captcha code dalkar ‘Proceed to Verify’ par click kare

4. Iske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha par aap dekh payenge ki aapke aadhaar me mobile number registered hai ya nhi.

Image me dikhaye gye trike se ager Mobile Number ke aage numbers dikhaye to samjh jaye ki aapke aadhaar me mobile number link hai. aap last ke 3 digit dekh kar pta lga skte hai ki aapke konse number aadhaar me link hai.

Iske alawa ager mobile number ke samne koi bhi number na dikhaye to samjh jaye ki aapke aadhaar card me koi bhi mobile number registered nhi hai. ish liye jald hi apne nearest aadhaar center jakar apna aadhaar update karwaye aur usme apne mobile number link karwaye.


FAQ

Aadhar Card Me Register Mobile Number Check Karne Ka Naya Tarika Kya Hai ? 2024

Abhi agar aap uidai ki website par Verify Aadhar Number par click karte hai to agle page me aapko fir se Check Aadhaar Validity option par click krna padta hai, uske baad aapko aadhar me register number dikha diye jate hai.

Mere Aadhar Me Konse Mobile Number Link Hai ?

Aap aadhar ki official website Uidai.gov.in par jakar apne aadhar me link mobile number dekh sakte hai.

Aadhar Me Register Mobile Number Kaise Check Kiye Jate Hai ?

Aadhar me register mobile number check karne ka process ish article me step by step detail se btaya gya hai.

Aadhar Me Register Mobile Number Konsi Website Se Check Hote Hai ?

Aap Uidai.gov.in website par jakar aadhar me register number dekh sakte hai.


Ye Bhi Padhe...
To friends ummid karta hu ki aadhaar card me mobile number link hai ya nhi ? kaise pta karte hai ? ye article aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare. Aadhar Card me konse mobile number link hai ? Kaise check kare ? 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ