Truecaller Par Apna Naam Change Kaise Kare

How To Change Sim Owner Name On Truecaller ?

Dosto truecaller ke bare me to aap jarur jante honge, jab bhi hume kisi anjan number ki detail nikalne ki jarurat padti hai to hum truecaller ke dwara ush mobile number ke malik ka naam pta lga skte hai.

Truecaller kya aur kaise kaam krta hai ? iske alawa truecaller 100% sahi detail deta hai ya nhi ? ish par humne pahle se article likh rkhe hai, ager aap chahe abhi niche link par click karke wo articles padh skte hai.


Ish article me hum baat krne wale hai ki truecaller par humare khud ke number search krne par jo humara asli naam dikhai deta hai, ushe kaise change ya edit karte hai, ya truecaller par apne khud ke mobile number ka naam kaise change karte hai ? iske bare me batane wale hai.

Truecaller Par Apna Naam Change Kaise Kare

Kyunki truecaller her kisi ke mobile number se uske malik/owner ka naam bta deta hai. Ish liye ager aap nahi chahte ki truecaller par aapke mobile number search krne par aapka real naam dikhai de, to ish trick ki madad se aap truecaller par apna naam edit krke ushe change ya update kar skte hai.


Truecaller Par Apna Naam Change Kaise Kare ?


1 Iske liye aapko sabse pahle apne mobile me Truecaller application download krni hai. Ager truecaller app aapke mobile me already install hai aur aapne uske ander apne ushi mobile number ko register kar rkha hai jiska naam aap change krna chahte hai to aap steps no. 1 se 4 ko chhod kar step no. 5 se post ko follow kare.

Iske alawa ager aapke mobile me Truecaller app install nhi hai to aap sabse pahle play store me jakar ishe apne mobile me istall kare.

Truecaller application abhi download krne ke liye yaha click kare

2 Iske baad ish application ko open krne ke baad sabse pahle aapko ‘Get Started’ par click krna hai aur aapse jo bhi permissions mange, unhe allow krna hai.

3 Iske baad aapse mobile number manga jayega, yaha aapko wo mobile number dalna hai jiska naam aap truecaller par change krna chahte hai.

4 Mobile number register krne ke baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko 'TYPE NAME MANUALLY' par click krke wo naam type krna hai jo aap abhi apne mobile number par set krna chahte hai ya truecaller par dikhana chahte hai.

Naam set karne ke baad Final Submit kar de, uske baad truecaller par aapke mobile number ke sath aapka naya wala naam update ho jayega, aur iske baad truecaller par jab bhi koi aapke mobile number search krega to ushe aapka naya wala naam hi dikhai dega.

Truecaller App Mobile Me Pahle Se Install Hone Par...

5. Sabse pahle Truecaller application open kare.

6. Uske baad Menu Button ( 3 Lines ) par click kare.

7. Uske baad aisa page open ho jayega.


8. Yaha 'Edit Profile' par click krna hai aur uske baad aap truecaller par apna naam change krke save kar de.

Bas iske baad jab bhi koi aapke mobile number truecaller par search krega to ushe aapka update kiya hua naya wala naam hi dikhai dega.

Ye Bhi Padhe...

To friends ummid krta hu ki ye article aapko pasand aaya hoga. ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare. 

Tags:- truecaller name change online, how to change truecaller name in android, how to change name in truecaller for others

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ