Gmail ID Ka Naam Kaise Change Kare

How to change gmail address name:- Friends pichhle kafi samay se mujhe ek sawal jo aksar puchha gya hai wo hai ki sir kya hum apni gmail id change kar skte hai ?, kya hum apni purani gmail id ka naam edit kar skte hai ? Kya hum Gmail account ka email address change kar skte hai ? etc.

Goggle gmail account ka email address kaise change kare

In sabhi swalo ka sirf ek hi jwab hai aur wo ye hai ki aap apni gmail id ke username me koi bhi change nhi kar skte hai. Ek baar gmail id bnane ke baad ushe change krna ya edit krna impossible ho jata hai. Ish liye aap apni gmail id change nhi kar skte hai.

But wait wait, abhi article khatam nhi hua hai. Ish liye article ko last padhe kyunki ho skta hai ki aage aapko aapki ish problem ka solution mil jaye. Ish liye ish post ko last tak jarur padhe.

Gmail ID Ka Naam Kaise Change Kare 


To friends sabse pahle hum ye janne ki kosis karte hai ki aakhir koi bhi person apni gmail id ke naam ko kyu change krna chahega ? I think iske liye sabhi ka ek hi reason hota hai aur wo ye ki jab usne wo gmail id bnayi thi tab ushe jyada knowledge nhi tha, ish liye usne apni gmail id ka naam kuch aisa rakh liya jo ab ushe pasand nhi hai.

Aur ab wo ek naya gmail account bhi nhi bnana chahta kyunki usne bahut si jagaho par apni purani gmail id di hui hoti hai. Ish liye wo apne purane email address ko hi change krne ke bare me sochta hai.

Iske alawa ho skta hai ki aapka reason koi aur ho but ush se koi fark nhi pdta, aapka reason chahe jo bhi ho but at last sabhi yahi chahte hai ki wo apni purane email address ko change kar paye. But jaisa ki maine pahle bta chuka hu ki email address ko edit ya change krna possible nhi hai.

To ab aisi situation me mere pass ish problem ka ek solution hai jo ki shayad aapke kaam aa skta hai, aur wo ye hai ki aap apni pasand ki ek nayi gmail id bnaiye aur apni purani gmail id par aane wale sabhi mails ko ush nayi wali gmail id par forward kar lijiye.

Ish se fayda ye hoga ki aapka email address bhi aapki pasand ka hoga aur ush par aap apne purane gmail account ke mails bhi prapat kar payenge.

To ager aapko lgta hai ki ye trika aapki problem ka ek achha solution ho skta hai to niche btaye gye trike se aap apni purani gmail id ke mails nayi gmail id par forward kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ek Gmail Account Ke Mails Dusre Gmail Account Par Forward Kaise Kare ?

Iske bare me btane se pahle hum maan lete hai ki abhi aapke pass sirf ek gmail id hai, jis par aane wale mails aapko apni new gmail id par forward krne hai.

1. To iske liye sabse phale aapko ek nayi Gmail Id bnani hai. New gmail account kaise bnaye ? Ynha click karke aap ek nayi gmail id bna skte hai.

2. Uske baad computer ke kisi bhi browser me gmail.com par jaye aur apne purane gmail account ko log in kare.

Ager aapke pass computer nhi hai to mobile me Puffin browser me gmail.com ki site ko open kare. Ya chrome browser me gmail ki site open krne ke baad 3 lines par click karke niche jaye, wnha aapko Desktop Version ka option mil jayega, ush par click kar de.

3. Phir aisa page open ho jayega.

Gmail mails

Yaha Settings par click kare.

4. Uske baad Forwarding and POP/IMAP par click kare.

Forward mails

Aur phir Add A Forwarding Address par click kare.

5. Phir next page me aapko apni nayi wali gmail id dalkar Add button par click krna hai.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.

Send verification code to gmail

Yaha Send Verification Instructions par click kare.

7. Uske baad google ki traf se aapke purane wale gmail account par ek mail aayega jisme ek Confirmation Code hoga. Aapko wo code copy krna hai ya kisi paper par likh le.

8. Uske baad browser ki new tab me phir se gmail ki site par jakar Settings>Forwarding and POP/IMAP me jaye.

9. Ish baar aapke samne aisa page open ho jayega.

Enter confirmation code

Ynha aapko wo Confirmation code dalkar Verify button par click krna hai.

Bas iske baad aapke purane email address par aane wale sabhi mails ab aapke naye email address par aana start ho jayenge.

To ish trike se aap ek email account ke mails dusre email account par forward kar skte hai.


FAQ

Kya Me Apni Gmail ID Ka Naam Edit Kar Sakta Hu ?

Nahi

Kya Gmail ID Ka Username Edit Karna Possible Hai ?

Nahi


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki Gmail account ka email address kaise change karte hai ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- how to change my gmail address, can I change my gmail address without creating a new account, gmail id name change kaise kare

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ