Gmail Account Ko Humesha Ke Liye Delete Kaise Kare

How to delete gmail id permanently full detail in hindi:- Friends gmail ek bahut hi badi company hai jo hume free me mails send karne aur receive krne ki service deti hai hai. Iske dwara hum kisi bhi text, document ya media file ko sirf kuch seconds me ek sthan se dusre sthan par send kar skte hai.

Ye Bhi Padhe

Yeh google ki hi ek service hai ish liye hum sirf gmail par account bna kar google ki baki services jaise Google Drive, Google Maps, Google Play Store, Youtube, Blogger etc ko bhi use kar skte hai.

Friends kai baar aisa hota hai ki humare pass bahut sare gmail accounts ho jate hai jiske karan na to hum un sabhi ko use karte hai aur na hi unko yaad rakh pate hai. Ish liye aisi situation me behtar yahi rehta ki hum un useless gmail accounts ko delete kar de.

Gmail account ko humesha ke liye kaise delete kare

Ye Bhi Padhe

Ager aap nhi jante hai ki Gmail ID ko permanently yani ki humesha ke liye kaise delete karte hai to koi baat nhi. Kyunki aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai.

Ish liye ish post ko last tak jarur padhe, iske alawa ager aap gmail se related other koi sawal puchhna chahe to post ke niche comment box me comment karke puchh skte hai. To chliye abhi shuru karte hai.

Gmail Account Ko Humesha Ke Liye Delete Kaise Kare


1. Sabse pahle yaha click karke ya Myaccount.google.com ki site par jaye aur usme ush gmail id ko log in kare, jise aap delete karna chahte hai.

( Ager aapne browser me pahle se koi email id log in kar rakhi hai to pahle ushe logout kar de aur phir ush ID se log in kare )


2. Log in karne ke baad ish site ka home page open ho jayega. Wnha aapko sabse niche ‘Account Preferences’ par aa jana hai.

Google account delete kare

Yaha par aapko ‘Delete Your Account or Services’ par click karna hai.

3. Uske baad aisa page open ho jayega.

Gmail id aur data deactivate kare

Yaha par ‘Delete Google Account and Data’ par click kare.

4. Phir next page me ush ID ke password enter kare.

Ye Bhi Padhe

5. Uske baad ek long page open ho jayega, jaha par aap dekh payenge ki ush account ke sath aur kya kya delete hone wala hai. ( jaise youtube channel, mails etc.)

Gmail id delete kaise kare

Yaha par aapko sabse pahle dono Boxes par click karke unhe mark kar le. Uske baad ‘Delete Account’ par click kar de.


FAQ

Gmail Account Delete Karne Wali Website Konsi Hai ?

Aap Myaccount.google.com website par jakar apna gmail account humesha ke liye delete kar sakte hai.

Kya Gmail ID Delete Karne Ke Liye Uske Password Pta Hona Jaruri Hai ?

Yes

Kya Hum Bina Password Ke Gmail ID Delete Kar Sakte Hai ?

Nahi, Bina password koi bhi account delete nahi ho sakta hai.

Kya Gmail Account Delete Karne Ke Baad Fir Se Recover Kar Sakte Hai ?

Gmail account delete krne ke baad Google kuch din ka samay user ko deta hai, agar ush samay tak hum account ko recover kar le to ho jayega par ush samay ke nikal jane ke baad nahi hoga.


Ye Bhi Padhe...

Bas ab aapko wo Gmail Account delete ho chukka hai. Ishi trah se aap apne baki accounts ko bhi delete kar skte hai. Ager ish process me aapko koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ