Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nhi Kaise Pta Kare

How To Check Aadhaar and Bank Linking Status ?

Friends jaisa ki aap sabhi jante hai ki ab government ke dwara humare sabhi bank accounts ko aadhar card se link krana jaruri kar diya gya hai. Aur ishi liye shayad ab tak aapne apne bank account ko aadhar card se link kra bhi liya hoga.

Ager aapne ab tak aadhar card ko bank account se link nhi karwaya hai to ye post padhe. Aadhar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare

Ager aapne apne aadhar card ko bank se link karwa liya hai to aapko ek baar ye confirm jarur kar lena chahiye ki aapka bank account aadhaar se successfully link hua ya nhi. Kyunki kai baar aisa hota ki humare dwara bank me aadhaar de dene ke baad bhi bank ki traf se ushe humare account se link nhi kiya jata hai.

Waise to aisa hone ke bahut kam chance hai but phir bhi aapko ek baar aadhar aur bank linking status ko check kar lena chahiye. Taki koi doubt na rahe.

Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nhi Kaise Pta Kare

Ish liye ish baat ko dhyan me rakhte huye mene ye post likhi hai. Taki aap ghar baithe apne mobile ya computer se iske bare me pta lga ske. Ish post me main aapko 3 trike btaunga, jinki madad se aap aasani se pta lga skte hai ki aapka aadhaar bank se link hai ya nhi.

Ye Bhi Padhe...

Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nhi Kaise Pta Kare


1. Online Trike Se

Ish trike se aap Uidai.gov.in ki site par jakar check kar skte hai ki aapka aadhaar kon konse bank account se link hai. Uidai ke site par jane ke baad iska home page ish trah se open ho jayega.


Ynha par aapko 'Check Aadhaar & Bank Account Linking Status' par click krna hai. Uske baad aisa page open hoga.


1. Ynha apna 12 digit aadhar number dale.

2. Ynha box me diya hua captcha type kare.

3. Send OTP par click kare.

Phir aapke aadhar card se registred number par ek OTP aayega. Aage wo OTP sahi se type kar de. Uske baad next page me aap dekh payenge ki aapka aadhaar kon kon se bank accounts se link hai.


2. USSD Code Se

Ye method sabse aasan hai. Ish trike se aapko internet ki bhi jarurat nhi hai. Aap apne keypad wale mobile se bhi ish trike se apne bank aur aadhaar ke linking ke bare me jan skte hai.

Iske liye phone dialer me *99*99# type karke call kare. Uske baad ish trah se aapko 2 options milenge.


Ynha 1 type karke send par click kar de. Phir next page me apne aadhaar number dale aur phir se send par click kar de.

Uske baad ek baar phir se aadhaar number confirm krne ke liye kaha jayega to aap confirm kar de.

Phir aapka aadhaar card jitne bhi bank account se link hoga uski puri detail aa jayegi.

Ye Bhi Padhe...

3. Bank Me Jakar.

Aap bank passbook aur aadhar card ke sath apni nearest bank branch me jaye aur sambandit officer se iske bare me puchhe. Wo aapko check karke iske bare me bta dega.


FAQ

Bank Me Aadhar Link Hai Ya Nahi Kaise Check Karte Hai ?

Aap uidai ki website par jakar aadhar Bank linking status check kar sakte hai.

Aadhar Bank Link Status Konsi Website Se Check Karte Hai ?

Aap Uidai.gov.in ki website par jakar aadhar Bank link status check kar sakte hai.

Mera Aadhar Bank Me Link Hai Ya Nahi Kaise Pta Chlega ?

Ish article me humne aise 3 trike btaye hai jinse aap pta lga sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trah in 3 trike se aap pta lga skte hai ki aapka bank account aadhar card se successfully link hua hai ya nhi. Friends ager aapko ye jankari Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nhi Kaise Pta Kare achhi lge to ishe social media par apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

3 टिप्पणियाँ