Youtube Channel Ko Verify Kaise Kre, Full Guide

Kya aapne youtube par apna ek new channel bnaya hai ? Ager ha, to kya aapko pta hai ki aapka channel verified hai ya nhi. Ager aap ye nhi jante to koi baat nhi, kyunki aaj ish post me hum ishi bare me baat karne wale hai ki Youtube channel ko verify kaise krte hai ? Ya channel verified hai ya nhi ye kaise pta krte hai.

Pichhli posts me humne aapko btaya tha ki youtube se paise kaise kmate hai, channel kaise bnate hai aur youtube par video upload kaise krte hai. Ager aapne wo post nhi padhi to aap abhi niche link par click karke wo posts padh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ish post me hum aapko btayenge ki youtube channel ko verify kaise krte hai. Friends youtube se paise kmane ke liye channel ko verify krna bahut hi jaruri hai. Ager aapne abhi tak apne channel ko verify nhi kiya hai to koi baat nhi, aap ish post ko follow karke abhi apne channel ko verify kar skte hai.

To chliye ab hum aapko btate hai ki youtube channel ko verify kaise krte hai. Iske liye humne niche kuch steps btaye hai, aap unhe follow karke aasani se apne youtube channel ko verify kar skte hai.

Youtube Channel Ko Verify Kaise Kre, Full Guide


Step:- 1
Sabse pahle aapko apne mobile ya pc ke chrome browser me youtube.com par jana hai.
(Ager aap mobile use kar rhe hai to chrome ka 'Desktop Mode' enable kar le)

Step:-2
Uske baad aapke samne aisa page open hoga.

Youtube Channel Ko Verify Kaise Kre, Full Guide

Ynha par aapko profile icon par click krna hai. Ager aapne youtube me sign in nhi kar rakha hai to pahle aapko apni gmail id aur password dal kar sign in krna hai aur uske baad phir se profile icon par click krna hai.

Step:- 3
Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par aapko 'Creator Studio' par click krna hai.

Step:- 4
Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par aapko channel par click krna hai.

Step:- 5
Ab aisa page open hoga.


Ynha par aap dekh skte hai ki aapka channel verified hai ya nhi. Ager ynha par blue colour me 'Verify' likha hua hai, jaisa ki image me hai to iska matlab hai ki aapka channel abhi tak verify nhi hua.

Ager aapka channel bhi verify nhi hai to ushe turant verify kar le. Channel ko verify krne ke liye aapko verify par click krna hai.

Step:- 6
Uske baad aisa page open hoga.


1. Ynha par aapko apni country select krni hai.

2. Channel verify krne ke liye aap OTP kaise prapat krna chahte hai call or massage, wo aapko ynha select krna hai.

3. Ynha par aapko apne mobile number dalne hai.

4. Last me aapko submit par click krna hai.

Step:- 7
Uske baad aapke samne ek massage show hoga ki aapka youtube channel verified ho chuka hai.


To ish trike se aap apne youtube channel ko verify kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ