Jio Sim Par Free Caller Tune Kaise Lgaye

How to Set Free Caller Tune on Jio Number ?


Friends ager aapke pass jio sim hai to ish post ko last tak jarur padhe, kyunki ish post me main aapko jio ki ek aisi free service ke bare me bataunga, jiske bare me jyadatar jio users ko pta nhi hai aur wo free service ye hai ki abhi aap free me apne jio number par kisi bhi gaane ( song ) ko caller tune ke rup me lga skte hai.

Jio Sim Par Free Caller Tune Kaise Lgaye

Friends apni jio sim par free caller tune Active krane ke liye aapko apne number par alag se koi recharge krane ki jrurat nhi pdegi, balki aapne apne number par jo free internet aur calls ke liye recharge kraya tha, ye free caller tune wali service bhi ushi me include hai.

Jio Sim Par Free Caller Tune Kaise Lgate Hai ?


Ager aapko nhi pta hai ki apne jio number par caller tune ko free me kaise activate karwate hai ? to koi baat nhi hai, kyunki aaj ish post me main aapko ishi ke bare me batane wala hu.

Friends iske liye pahle to hume ish service ko activate krwane ke liye ya apne mann pasand gaane ya dialog ko apne number par as a caller tune lgane ke liye jio costumer care me ek massage send karna hota tha. But abhi aap apne android mobile me Jio Saavn app me jakar bhi apne favorite song ya dialog ko apne number par caller tune ke rup me save kar skte hai.

Iske liye sabse pahle to aapko play store me jakar Jio Saavn app download karna hai, ager aapke mobile me ye app pahle se download hai to ek baar check jarur kar le ki ye updated hai ya nhi. Ager nhi hai to pahle ishe update kar le.

Jio Saavn app abhi download ya update karne ke liye yaha click kare.

Download karne ke baad aapko ish app ko open karna hai aur iske ander sign karna hai. Ager aapne jio ke kisi bhi app ke ander account bna rkha hai to aap wahi number aur password dalkar ish me sign kar skte hai, aur ager aapne abhi tak jio ke kisi bhi app me account nhi bnaya hai to koi baat nhi. Aap abhi apne jio number se iske ander account bna le.

Uske baad aapko iske ander language select karni hai, yaha aap jo language select karenge, uske baad aapko jio music app ke home page par jyadatar gaane ushi language ke milenge. Ish liye aap hindi language select kar le. uske baad aage iska home page open ho jayega, jaha par aapko bahut sare music mil jayenge.

Ish app ke ander aapko India ke almost sare gaane aur dialog mil jayenge. Jinhe aap apne number par caller tune ke rup me set kar skte hai. Aap iske ander kisi bhi song ko search bhi kar skte hai.

Aapko ush gaane ko play karna hai, jise aap apne number par as a caller tune set karna hai. Song ko play karne par aapke samne aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko Caller Tune icon par click karna hai.

Uske baad aage aisa page open hoga.


Yaha par aapko wohi gana 3 4 alg alg jagah se mil jayega, aapko gana ki jo lines caller tune me lgani ho uske samne wale Set button par click kare de. Bas uske baad 5 minute ke ander ander aapke jio number par massage aa jayega ki aapke number par caller tune set kar di gyi hai. Ager aap ush caller tune ko wapas deactivate karna chahe to aap kar skte hai. Ush massage ke ander aapko iski information mil jayegi.


FAQ

Jio Caller Tune Set Toll Free Number Kya Hai ?

Aap apne jio number se 56789 par call karke apne number par apni fevorite caller tune lga sakte hai.

Jio Saavn App Se Caller Tune Kaise Set Kare ? 2024

> Sabse pahle Jio Saavn app me wo song play kare jise caller tune par lgana ho.

> Fir side me dikh rhe Caller Tune icon par click kare.

> Agle page me Set button par click kare, bas itna karte hi wo caller tune aapke no par lag jayegi.

Kya Hum Apne Jio Number Par Khud Ke Naam Ki Caller Tune Lga Sakte Hai ?

Ji haa, aap aisa bhi kar sakte hai, Jio Saavn app me naam ki caller tune lgane ka option bhi aa gya hai.

Kya Jio Sim Par Caller Tune Lgana Free Hai ?

Ji haa, agar aapke jio number par unlimited call wala plan active hai to aap bilkul free me apne jio number par caller tune lga sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apne jio number par kisi bhi gaane ya dialog ko free me apni caller tune ke rup me set kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai aur ager aapko ye jankari achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ