Blogger Blog Ke Custom Domain Ke Liye Free SSL Https Kaise Enable Kare

Friends ager aap ek new blogger hai ya aapka blog free blogger platform par hai to ye post aapke liye bahut hi important rehni wali hai kyunki aaj ish post me maine aapko btane wala hun ki apne blogger blog par https security ko free me kaise enable karte hai ?

blogger blog me custom domain ke liye free ssl https security kaise enable kare

Friends jaisa ki aap jante hai ki ager hume humare blog ko google top search ranking me lana hai to uske liye humare blog me https security ka hona bhi bahut jaruri ho jata hai kyunki kuch samay pahle google ne hi ye allowance kiya tha ki wo http ki bjay https site ko jyada importance dega. Ish liye jyadater bloggers ne apne blog ko http se https me convert kar liya tha.

But jin bloggers ne aisa kiya wo ya to wordpress blogger the ya unhe paise de kar https ko purchase karna pda tha.


But ek new blogger ke liye wordpress par blog bnana ya https service ko buy karna sahi nhi rehta hai aur nahi unka itna budget hota hai, ish liye wo https service ko purchase nhi kar skte hai. So ager aap bhi meri trah unhi bloggers me se hai jinka blog blogger par aur phir apne blog ko free me https security se less karna chahte hai to aap bahut hi aasani se aisa kar skte hai. Ish post me maine ishi ke bare me btane wala hun.


Iske bare me btane se pahle ynha maine aapko ek baat aur btana chahunga ki ager aapne apne blog par koi custom domain lga rakha hai tab bhi aap ush par https security ko enable kar skte hai. Ye maine ish liye bol rha hun kyunki kuch samay pahle tak https blogger blog ke custom domain ke liye free me available nhi tha but abhi ye custom domain ke liye bhi available ho gya hai. Ish liye ager aapne apne blogger blog par koi custom domain lga rakha hai tab bhi aap ushe free me https security se less kar skte hai.

Abhi aap ye jarur soch rhe honge ki ager blog me https enable kar liya to humari her post me jo dusri post ke link add hai jo ki http me hai, unka kya hoga ? unme koi error to nhi aayegi ?

To ynha maine aapko btana chahunga ki aapke http wale kisi bhi post ke url me koi error nhi aayegi kyunki wo automatic hi http se https par redirect ho jayega. Ish liye jab bhi koi aapke blog ke http wale link par click karega to wo page automatic hi https me redirect ho jayega.


To chaliye abhi hum jan lete hai ki blogger platform ke blog me free https security ko kaise enable karte hai ?

Blogger Blog Me Custom Domain Ke Liye Free Https Security Service Ko Kaise Enable Kare ?


To iske liye sabse pahle aapko blogger.com par jana hai aur apne account ko log in karna hai.

blogger setting, anable https in free blogger blog

1. Uske baad sabse pahle Settings par click kare.

2. Uske baad Basic par click kare.

3. Phir Https availability ke samne 'NO' hoga aapko ush par click karke Yes karna hai. uske baad aapke blog par https security enable ho jayegi. But abhi hume apne https wale pages ko bhi https par redirect karna hai.

4. Ish liye Https Redirect ke samne 'NO' hoga ushe par bhi click karke ushe Yes kar de.

( Redirect wala option thodi der ke baad active hoga ish liye Https Availability ko ON karne ke baad apne browser ko refresh kare ya kuch time ke baad phir se check kare aapka Https wala option bhi active ho jayega. )


To ish trike se to aap apne blogger blog ke custom domain me free me SSL https security ko enable kar skte hai. but abhi aapka kaam khatam nhi hua hai kyunki abhi aapko apne blog ko sitemap ke sath google webmaster me phir se submit karna hoga, taki google search me bhi aapka blog http ki jgah https me dikhai de.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ